❤MAUTABAR TAKHT Aur Sarkar Shah E Aalam Ke HAM SHABIH-E-RASUL (SALL'ALLAHU ALAIHI WA AALHI WASALLAM) HONE KI DALIL:-


MAUTABAR TAKHT Aur Sarkar Shah e Alam k HAM SHABIH-E-RASUL (SALL'ALLAHU ALAIHI WA AALHI WASALLAM) HONE KI DALIL:- 

HAZRAT SAIYEDNA SHAH-E-AALAM Bahot Bade Aalim-E-Din Aur Paaye Ke Wali'Allah hai. MADINATUL AULIA AHMEDABAD SHARIF (GUJARAT, HIND) me AAP Nihayat hi Lagan ke saath ILM-E-DIN ki taalim Dete the. Ek Martaba Achaanak HAZRAT SHAH-E-
AALAM Ki Tabiyat Naasaaz ho Gayi Aur Aap Bistare Alaalat Par Daraaz Ho Gaye Aur Padhaane Ki Chhuttiya ho Gayi, Jiska Aapko Behad Afsos Tha.

Takriban Ek Ashrah Ke Baad Sehatyaab Hue Aur Madrase Me Tashrif Laakar Hasbe Maamul Apne Takht Par Tashrif Farma Huve, Ek Ashrah Pehle Jaha Se Sabak Chhoda Tha Wahi Se Padhaana Shuru Kiya. Talba (Shagird,Student) Ne Muta'ajjib Hokar
Arz Ki :

"Huzur ! Aapne Ye Mazmun (Chapter) To
Bahut Pehle Padha Diya Hai, Guzishtaah
Kal To Aap Ne Falaa Sabak Padhaaya Tha!"

Yeh Sunkar Aap Fauran Takht Ke Niche Utar Aaye Aur Usi Waqt Sarkare Madina Allah Ke Pyaare Rasul (Sall'allahu Alahi Wa Aalhi Wsallam) Ki Aap Ko Ziyarat Nasib Huyi.

Sarkar E Do Alam Huzur (Sall'allahu Alahi Wa Aalhi Wasallam) Ne Farmaya: "Shah-e-aalam! Tumhe Apne Sbaak Reh Jaane Ka Bahot Afsos Tha, Lihaaza Tumhari Jagah Takht Par Beth Kar Mai Rozaana Sabak Padha Diya Karta Tha."

Jab Is Baat Ka Ilm Aap Ke Madrase Me Padh Ne Wale Talba-e-kiram 
Ko Hua To Un Mese Kisi Talba-e-kiram Ne Farmaya: "Abhi Tak To Buzurgo Se Suna Tha Ke Saiyedi Ustaazi Ham Shabih-e-rasul (Sall'allahu Alahi Wa Aalhi Wasallam) Hai. Ab Ayni Mushaahida Ho Gaya."

>jis Takht Par Sarkare Madina (Sall'allahu Alahi Wa Aalhi Wasallam) Tashrif Farma Huva Karte The Us Par Ab Hazrat
Shah-e-aalam (Radi'allahu Anhu) Kis
Tarah Beth Sakte The Lihaaza Fauran Takht Par Se Uth Gaye. Takht Ko Yaha Ki Masjid Me Muallak Kar Diya Gaya. Iske Baad Hazrate Saiyedna Shah-e-alam (Radi'llahu Anhu) Ke Liye Dusra Takht Banaaya Gaya. Aapke Wisaal Ke Baad Us Takht Ko Bhi Yaha Muallak Kar Diya Gaya.
Is Makaam Par Dua Kubul Hoti Hai.

Photo Me Jo Red (Laal) Color Ke Do Noorani Takht Dikhayi De Rahe Hai Ye Wahi Mubarak Takht Hai.
.


Comments

Popular posts from this blog

🌷GULZAR-E-SHOHDA🌷 ALBUM NO-01....

💟SEERAT E PAAK KHATOON E JANNAT💟

SEERAT-E- SAIYEDNA SHER-E-KHUDA ALI-E-MURTUZA.