Seerat E Paak Syeda Khadijatul Qubra.(Mukhtasar)
10 Ramadan Youm E Wisal, Syeda Khadijatul Qubra Radiallahu Anha,
Seerat E Paak Se Aapka Mukhtasar Tazkira....
Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaa(n)
Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho(n) Salaam
ﷺ
رضی الله عنہ
رضي الله تعالى عنها
Arab Ke Raeeso Me Hazrat Khadija Binte Khuwelid Bahot Imtiyazi Shaan Rakhti Thi, Quraish Ke Tijarati Qafle Jab Chalte The To Aadha Saman Aapka Hota Tha Aur Aadha Pure Qafle Ka, Doulat Ke Sath-sath Allah Ne Us Daur E Jihalat Me Bhi Aapko Gair Mamuli Husn O Jamal Ke Sath Ismat O Iffat, Sharafat O Najabat Se Bhi Malamaal Rakha Tha.
Isi Bina Par Apka Laqab Tahera Tha, Apka Nasab Paachvi Pusht Me Hazrat Kusay Par Huzur Se Mil Jaata Hai, Aap Bewa Ho Chuki Thi, Aapko Kisi Tajurbekaar, Rastbaaz, Amanatdaar Aadmi Ki Talash Thi, Jo Aapke Tijarati Qafle Ko Ba-husn O Khoobi Anjam De,
Qudrati Tor Par Aapke Dil Me Huzur Ki Aqeedat O Mohabbat Paida Huwi Aur Aapne Bade Adab O Ehteram Se Guzarish Ki Ke Aap Mera Maal Lekar Tijarati Qafle Ke Sath Tashrif Le Jaaye Aur Mere Tijarati Muammlat Ko Sambhale Huzur Ne Ba-khushi Manzoor Kar Liya Hazrat E Khadija Ne Raste Ki Zaruriyat Aur Tijarati Kaamo Me Taa'woon Ke Liye Apne Wafadar Gulam Maisra Aur Ek Kareebi Rishtedar Khuzaima Ko Sath Kar Diya.
Saiyeda Khadijatul Qubra Ka Kabool E Islam.
Jab Hazrat Saiyeda Khadijatul Kubra Ne Apne Chachazad Bhai Warqa Bin Nofil Ki Zuban Se Allah Ke Pyaare Habib Ke Mutallik Hakikat Afroz Baate Suni To Kalma E Taiyeba Padhkar Imaan Se Musharraf Ba Islam Huwe.
Ulema E Kiram Ne Farmaya Ke Ye Sabse Pehli Khatoon E Mohtaram Hai Jinhone Sabse Pehle Islam Qabool Kiya Hai Aur Allah Ke Pyaare Habib Ki Nabuwwat O Risalat Ki Tasdik Ki Hai.
Huzur Ki Bargah Me Hazrat E Saiyeda Khadijatul Kubra Ki Mehboobiyat W Maqbooliyat.
Ummil Momineen Hazrat E Saiyeda Ayesha Siddiqa Farmati Hai Ke Huzur Rehmat E Aalam Jab Mere Hujre Me Tashrif Farma Hote Ya Hujre Se Bahar Tashrif Le Jaate To Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra Ka Zikr Kisi Na Kisi Tarike Par Zaroor Karte.
Ummul Mo'mineen Hazrat E Saiyeda Ayesha Siddiqa Farmati Hai Ke Ek Martaba Allah Ke Pyaare Habib Mere Hujre Se Bahar Tashrif Le Jaa Rahe The Aapne Apne Mamool Ke Mutabik Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra Ka Tazkira Farmaya,
Mene Bade Adab Se Arz Kiya Ya Rasoolallah Aapki Aur Bhi Ajwaz E Paak Hai Aap Khususi Tor Par Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra Ka Hi Zikr Aksar Kyon Farmaya Karte Hai ?? Allah Ke Pyare Habib Ne Bade Purwaqar Aur Mushfikana Andaz Me Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Jhumla Ajwaz E Mutahharat Apni Jagah Par Hai, Lekin Meri Jouza Mohtarma Khadijatul Qubra Ki Shaan Bahot Buland Aur Judagaana Hai.
Meri Khadija Ki Ye Shaan Ye Hai Jab Logo Ne Meri Nabuwwat Ka Inkar Kiya Unhone Meri Tasdik Ki Aur Imaan Le Aayi,
Jab Meri Qoum Meri Mukhalifat Kar Rahi Thi Wo Bil Ae'laan Meri Tasdik Kar Rahi Thi, Jab Meri Qoum Mujhpar Zulm Kar Rahi Thi Wo Apne Maal-o-zarr Ke Zariye Meri Dil Juyi Aur Mere Kaamo Me Meri Madad Kar Rahi Thi.
Aur Aye Ayesha Siddiqa ! Khadijatul Qubra Hi Meri Wo Jouza E Mohtarma Hai Ke Unhi Se Meri Aulad Aur Nasl Ka Silsila Hai, Lihaza Meri Aur Ajwaz E Mohtaram Apni Jagah Par Hai Lekin Khadijatul Qubra Ki Azmat Koi Nahi Paa Sakta.
Pehli Maa Hone Ka Sharf .
Quran Majeed Me Hai, Allah Taa'la Ne Huzur Ki Paak Bibiyo Ko Musalmano Ki Maawo Ka Darja Diya Hai, Inme Se Jin Pehli Khatoon E Mohtaram Ko Ummat E Muslima Ki Maa Hone Ka Sharf Hasil Hai Wo Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra Hai, Huzur Ne Pehla Nikaah Aapse Hi Farmaya.
Aur Jab Tak Aap Hayat E Zahiri Me Rahi Allah Ke Pyare Habib Ne Dusra Aqd Nahi Farmaya, Aap Makkah Mukarrama Me Sabse Badi Tajira Aur Doulatmand Thi, Huzur E Aqdas Se Nikaah Ke Ba'ad Aapne Apna Tamam Maal Huzur Ki Khidmat Ne Pesh Kar Diya.
Arsh Se Aap Par Taslim Ka Nuzool.
Bukhari W Muslim Sharif Me Hazrat Abu Hurraira Se Riwayat Hai Ke Huzur Ki Khidmat E Aqdas Me Hazrat Jibraeel Aleyhissalam Ne Hazir Hokar Salam Arz Kiya Ya Rasoolallah Khadijatul Qubra Ko Unke Rabb E Kareem Aur Meri Taraf Se Salam Pahocha Dijiye Aur Unhe Jannat Me Aise Ghar Ki Basharat Dijiye Jo Motiyo Se Bana Huaa Hai, Naa Wahan Taklif Aur Na Hi Koi Shor Hai,
Huzur Ne Jab Is Baat Ki Ittela Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra Ko Di To Aapne Kaha Mera Allah Salam Hai Aur Wohi Sabko Salamati Ata Farmata Hai Aur Jibraeel Par Salam Ho.
Aapka Wisal E Paak 10 RAMADAN Ko Hai.
Comments
Post a Comment