❤ ‏𝙎𝙀𝙀𝙍𝘼𝙏 𝙀 𝙈𝙐𝙎𝙏𝘼𝙁𝘼 ‎ﷺ ❤.


Huzur Ke Walidain Karimain Ka Dobara Zinda Hona....

Hazrat Urwa Bin Zubair Ummul Momineen Hazrat E Ayesha Siddiqa Ne Farmaya Ke Huzur Ne Apne Rabb E Kareem Se Duwa Ki Aye Mere Rabb E Kareem Mere Walidain Ko Zinda Farma De To Rabb Taa'la Ne Apne Habib E Paak Ki Duwa Ko Qabool Farmate Huwe Aapke Walidain Karimain Ko Zinda Farmaya Aur Wo Dono Hazraat Dobara Zinda Hokar Huzur Par Imaan Laaye Aur Fir Apni Qabro Me Aaram Farma Ho Gaye..

Huzur Ke Walidain Karimain Inteqal Se Pehle Bhi Ahle Imaan W Touheed W Momin The Aur Jab Allah Taa'la Ne Apne Habib E Paak Ki Duwa Ke Sadqe Me Unhe Dobara Zinda Farmaya To Ye Dono Hazraat Apne Lakhte Jigar Huzur Nabi E Kareem Par Imaan Lakar Sahabiyat Ke Sharf Se Musharraf Ho Gaye Ya'ni Huzur Ke Walidain Karimain Momin Hai, Musalman Hai, Aur Sahabi Hai.

(Shumulul Islam, Aa'la Hazrat - Al Burhan)

Huzur Ke Walid Majid Hazrat Saiyedna Abdullah Ki Ek Azeem Karamat Jiska Zahoor 1400 Saal Se Ziyada Ke Ba'ad Huwa...

Sann 1978 Me Saudi Najdi Hukumat Ne Masjid E Nabawi Sharif Ko Badhane Ka Progrram Tartib Diya, Chunache Is Progrram Ke Tahat Saudi Hukumat Ne Ye Tay Kiya Ke Masjid E Nabavi Sharif Ke Kareeb Qabristan Me Jo Qabre Hai Unhe Jannatul Baqi Sharif Me Muntaqeel Kar Diya Jaaye,

Usi Qabristan Me Huzur Ke Walid Majid Hazrat Saiyedna Abdullah Aur Sath Hi Mashoor Sahabi Hazrat Malik Bin Sanan Aur Dusre 6 Sahaba E Kiram  Ke Mazarat Bhi The,

Chunache Jab Un Mubarak Qabro Ko Khola Gaya To Huzur Ke Walid Majid Hazrat Saiyedna Abdullah Aur Dusre Saat Sahaba E Kiram Ke Mubarak Jism Bilkul Tarr--taaza Sahih Halat Me Nihayat Noorani W Paakiza The,

Kafan Bhi Asli Halat Me The, Jaise Abhi Pehnaye Gaye Ho, Aur Un Mubarak Jismo Se Nihayat Pakeeza Bheeni-bheeni Lateef Khushbu Aa Rahi Thi Jisse Puri Fiza Mahak Rahi Thi, Uske Ba'ad Us Mubarak Pakeeza Jismo Ko Jannat Ul Baqi Sharif Me Bade Hi Ae'jaz O Ehteram Ke Sath Dafn Kiya Gaya.

(Maahnaama Ziya E Haram Eid Milad Un Nabi, November W Dicember, Sann-1989)

Hazrat Abu Saeed Mufti Muhammad Aminuddin Sahab Bayan Karte Hai Ke Me Hajj Ke Mouke Par 29 November Sann 1994 Ko Madina Taiyeba Hazir Huwa Aur Waha Meri Mulakat Thekedar Abdul Latif Se Huwi, Unhone Muje Bataya.

Jab Rehmat E Aalam Ke Walid Majid Hazrat Saiyedna Abdullah Ke Jism Sharif Ko Jannat Ul Baqi Sharif Me Muntaqil Kiya Gaya To Mene Bhi Kuch Fasle Se Ziyarat Ka Sharf Hasil Kiya, Jism Sharif Bahot Hi Tarr-o-taaza Aur Bahot Noorani Tha Aur Kafan Bhi Be-daag Noorani Tha Aur Fiza Aisi Mehki Ke Bayan Se Bahar Hai.

(Al-burhan)

-------------

Ya RasoolAllah 
Teri Nasl-e-paak Mein Hay Bacha Bacha Noor Kaa,
Tu Hay ‘ain-e-noor Tera Sab Gharana Noor Kaa.
.
HUZUR KE AABA E AJDAD W UMMAHAT YA'NI DAADAWO, NAANAWO, DAADIYO, NAANIYO, AUR WALIDAIN KARIMAIN KA NOORANI TAZKIRA....

 وَ تَوَكَّلْ عَلَى الْعَزِیْزِ الرَّحِیْمِۙ الَّذِیْ یَرٰىكَ حِیْنَ تَقُوْمُۙ وَ تَقَلُّبَكَ فِی السّٰجِدِیْنَ.

Tarjuma : 
Aur Aye Mehboob Fir Uspar Bharosa Karo Jo Izzat Wala Reham Wala Hai, Jo Tumhe Dekhta Hai Jab Tum Khade Hote Ho Aur Namaziyo Me,Tumhare Doure Ko.

(Tarjuma E Razviya)

Hazrat Saiyedna Imam Fakhruddin Raazi Is Ayate Karima Ke Mutallik Farmate Hai Ke Is Ayate Karima Ke Ma'na Ye Hai Ke Huzur Ka Noor E Paak Hamesha Sajido Sr Sajido Ki Taraf Muntaqil Hota Raha Hai.

Chunache Ulema E Ahle Sunnat Se Muhakkin Ka Aqeeda Hai Ke Hazrat Saiyedna Adam Aleyhissalam Se Lekar Hazrat Saiyedna Abdullah Tak Aur Hazrat Saiyedna Hawwa Aleyhisaalam Se Lekar Hazrat Saiyeda Aamena Tak Huzur Ke Jhumla Aaba W Ajdad W Ummhat(Maaye) Sab Ahle Islam W Imam W Touhid Hai, Momin Hai, Jannati Hai, Aaba Sab Kiram Hai, Ummhat Sab Pakeeza Hai,

(Shumulul Islam, Aa'la Hazrat)

Ek Zaroori Mas'ala....

Hazrat Saiyedna Ibrahim Aleyhissalam Ke Walid Majid Ka Naam Ta'rrukh Hai, Jo Mo'min Muwahhid The Aur Aazar Apka Sagga Baap Naa Tha Balke Chacha Tha Ya Rishte Me Kuch Aur Tha Aur Butt Parast Tha.

Khayal Rahe Ke Sagge Baap Ko Arabi Zuban Me Walid Kehte Hai Aur Lafz E ABD Aam Hai Ke Sagge Baap Ko Bhi ABD Kehte Hai, Aur Soutele Baap Aur Daada Aur Chacha Wagaira Ko Bhi ABD Kehte Hai.

Hazrat Saiyedna Sadrul Afazil Moulana Saiyed Muhammad Nayimuddin Muradabadi Ne Tafsire Khazainul Irfan Me Aur Hazrat Mufti Ahmed Yaar Khan Nayimi Ne Tafsir E Nayimi Me Hazrat Allama Jalaluddin Suyuti Ki Qitab Masalikul Hunfa Aur Mufradat E Imaam Ragib Aur Tafsir E Kabeer Aur Tafsir E Rooh Ul Ma'ani Ke Hawale Se Is Mas'ale Ko Bahut Mustanad Tarike Par Tafseel Se Likha Gaya Hai, Neez Tafsir E Ibne Kaseer Me Bhi Yahi Likha Hai...

Huzur Ko Doodh Pilane Wali, Khilane Wali Maaye...

Huzur Saiyed E Aalam Ko Jitni Bibiyo Ne Doodh Pilaya Sab Islam Laayi, Sab Mo'mina, Saaleha, Sahabiya Jannati Hai.

(Sirajul Muridin Imam Abu Bakr Bin Arabi)

Ya RasoolAllah 

Teri Nasl-e-paak Mein Hay Bacha Bacha Noor Kaa,
Tu Hay ‘ain-e-noor Tera Sab Gharana Noor Kaa.
.
HUZUR KE AABA E AJDAD W UMMAHAT YA'NI DAADAWO, NAANAWO, DAADIYO, NAANIYO, AUR WALIDAIN KARIMAIN KA NOORANI TAZKIRA....

 وَ تَوَكَّلْ عَلَى الْعَزِیْزِ الرَّحِیْمِۙ الَّذِیْ یَرٰىكَ حِیْنَ تَقُوْمُۙ وَ تَقَلُّبَكَ فِی السّٰجِدِیْنَ.

Tarjuma : 
Aur Aye Mehboob Fir Uspar Bharosa Karo Jo Izzat Wala Reham Wala Hai, Jo Tumhe Dekhta Hai Jab Tum Khade Hote Ho Aur Namaziyo Me,Tumhare Doure Ko.

(Tarjuma E Razviya)

Hazrat Saiyedna Imam Fakhruddin Raazi Is Ayate Karima Ke Mutallik Farmate Hai Ke Is Ayate Karima Ke Ma'na Ye Hai Ke Huzur Ka Noor E Paak Hamesha Sajido Sr Sajido Ki Taraf Muntaqil Hota Raha Hai.

Chunache Ulema E Ahle Sunnat Se Muhakkin Ka Aqeeda Hai Ke Hazrat Saiyedna Adam Aleyhissalam Se Lekar Hazrat Saiyedna Abdullah Tak Aur Hazrat Saiyedna Hawwa Aleyhisaalam Se Lekar Hazrat Saiyeda Aamena Tak Huzur Ke Jhumla Aaba W Ajdad W Ummhat(Maaye) Sab Ahle Islam W Imam W Touhid Hai, Momin Hai, Jannati Hai, Aaba Sab Kiram Hai, Ummhat Sab Pakeeza Hai,

(Shumulul Islam, Aa'la Hazrat)

Ek Zaroori Mas'ala....

Hazrat Saiyedna Ibrahim Aleyhissalam Ke Walid Majid Ka Naam Ta'rrukh Hai, Jo Mo'min Muwahhid The Aur Aazar Apka Sagga Baap Naa Tha Balke Chacha Tha Ya Rishte Me Kuch Aur Tha Aur Butt Parast Tha.

Khayal Rahe Ke Sagge Baap Ko Arabi Zuban Me Walid Kehte Hai Aur Lafz E ABD Aam Hai Ke Sagge Baap Ko Bhi ABD Kehte Hai, Aur Soutele Baap Aur Daada Aur Chacha Wagaira Ko Bhi ABD Kehte Hai.

Hazrat Saiyedna Sadrul Afazil Moulana Saiyed Muhammad Nayimuddin Muradabadi Ne Tafsire Khazainul Irfan Me Aur Hazrat Mufti Ahmed Yaar Khan Nayimi Ne Tafsir E Nayimi Me Hazrat Allama Jalaluddin Suyuti Ki Qitab Masalikul Hunfa Aur Mufradat E Imaam Ragib Aur Tafsir E Kabeer Aur Tafsir E Rooh Ul Ma'ani Ke Hawale Se Is Mas'ale Ko Bahut Mustanad Tarike Par Tafseel Se Likha Gaya Hai, Neez Tafsir E Ibne Kaseer Me Bhi Yahi Likha Hai...

Huzur Ko Doodh Pilane Wali, Khilane Wali Maaye...

Huzur Saiyed E Aalam Ko Jitni Bibiyo Ne Doodh Pilaya Sab Islam Laayi, Sab Mo'mina, Saaleha, Sahabiya Jannati Hai.

(Sirajul Muridin Imam Abu Bakr Bin Arabi)

Hazrat Saiyeda Shifa...

Huzur E Aqdas Ke Paida Hote Waqt Huzur Ko Sabse Pehle Aapne Apne Hatho Me Liya, Hazrat Shifa Mashoor Sahabi Hazrat Abdurrehman Bin Aouf Ki Walida Majida Hai Aur Aap Bhi Bade Martabe Ki Sahabiya Hai..

Hazrat E Fatima Binte Takziya...

Aapko Bhi Ye Sharf Hasil Hai Ke Huzur Ki Pedaish Mubarak Ke Waqt Aap Bhi Hazrat E Shifa Ke Sath Khidmat Guzari Me Sharik Thi Aur Aap Bhi Bade Martabe Ki Sahabiya Hai..

Hazrat E Suwaiba...

Suwaiba Ke Ma'na Hai Fazl E Ilahi Se Acchi Tarah Behrawar, Sabse Pehle Aapne Hi Huzur Ko Doodh Pilaya..

Hazrat E Halima Sa'adiya..

Aapke Qabeele Ka Naam Bani Sa'ad Hai, Aapke Walid Ka Naam Abdullah Aur Dada Ka Naam Haris Hai, Aap Bhi Sahabiya Hai, Jab Aap Gazwa E Hunain Ke Din Allah Ke Pyare Habib Ki Bargah Me Hazir Huwi To Huzur Azrahe Shafkat O Karam Unhe Nawazne Ke Liye Khade Ho Gaye Aur Apni Chadar E Anwar Bichakar Uspar Apko Badi Muhabbat Se Bithaya.

Ek Mouke Par Huzur Ne Aapse Farmaya Aye Halima Sa'diya Tumhari Do Aadate Allah W Rasool Ko Bahot Pyaari Hai Ek To Acchi Soojh-Boojh Dusra Sabr O Tahmmul....

HAZRAT E SEEMA SA'ADIYA...

Seema Ke Ma'na Hai Nishani Wali, Alamat Wali Jo Door Se Chamke, Hazrat Seema Sa'adiya Huzur Ki Rajai Badi Behan Hai, Hazrat Halima Sa'adiya Ki Beti Hai, Aap Kabhi Huzur Ko Godd Me Lekar Khilati Aur Kabhi Apne Seene Par Litakar Batour Lori Ke Duwaiya Asha'ar Padhti Aur Aapko Sulati.

Isi Liye Aap Bhi Huzur Ki Maa Kehlayi Aap Bhi Musharraf Ba Islam Huwi Aur Sahabiya Kehlayi..

HAZRAT E HARIS SA'ADI...

Hazrat E Haris Sa'adi Aap Hazrat Halima Sa'adiya Ke Shohar Hai, Aur Huzur Ke Rajai Baap Hai, Huzur Rehmat E Aalam Ke Ae'lan E Nabuwwat Ke Baad Jab Huzur Nabi E Kareem Ki Qadam Bosi W Ziyarat Ke Liye Makkah Mukarrama Aaye To Raste Me Quraish Ke Log Mile Aur Aapse Kaha Ke Aye Haris Tum Apne Rajai Bete Muhammad Ki Suno, Wo Kehte Hai Murde Zinda Honge, Allah Taa'la Ne Do Ghar Jannat W Jahannam Bana Rakhe Hai.

Chunache Jab Hazrat Haris Huzur Ki Bargah Me Hazir Huwe To Arz Kiya Ke Aye Mere Bete Aapki Qoum Kehti Hai Ke Aap Kehte Hai Ke Murde Zinda Honge Aur Allah Taa'la Ne Jannat W Jahannam Naam Ke Do Ghar Bana Rakhe Hai To Kya Mua'mla Hai ??

Huzur Rehmat E Aalam Ne Ye Sunkar Irshad Farmaya Ke Aye Mere Baap ! Haan Me Aisa Farmata Hu Aur Jab Wo Din Aayega Me Tumhara Hath Pakadkar Bata Dunga Ke Dekho Ye Wo Din Hai Ya Nahi Jiski Me Khabar Deta Tha Ya'ni Roz E Qayamat...

Hazrat Haris Aap Bhi Musharraf Ba Islam Huwe Aur Sahabi Hai, Musharraf Ba Islam Hone Ke Ba'ad Aap Huzur Ke Is Irshad E Paak Ko Yaad Karke Kaha Karte The Agar Qayamat Ke Din Mere Bete Muhammad Mera Hath Pakdenge To Inshaa Allah Na Chorenge Jab Tak Mujhe Jannat Me Dakhil Na Farma Le...

(Tajalliyat E Rehmatullil Aalamin, Safa, 26 To 30)

HUZUR KE RAJAI BHAI HAZRAT ABDULLAH SA'ADI...

Huzur Ka Ma'mool Tha Ke Doodh Pine Ke Zamane Me Aap Hazrat Halima Sa'adiya Ke Dahine(Right) Pistan Se Hi Doodh Nosh Farmate The Aur Baaya(Left,)Pistan Apne Rajai Bhai Hazrat Abdullah Sa'adi Ke Liye Chorh Diya Karte The,

Sarkar E Aala Hazrat Farmate Hai..

Bhaiyo Ke Liye Tark E Pista Kare,
Bachpane Ki Adalat Pe Laakho'n Salam.

Hazrat Abdullah Sa'adi Bhi Musharraf Ba Islam Huwe Aur Sahabi E Rasool Hai..

TEEN AATEQA AURTE...

Ek Martaba Halima Sa'adiya Huzur Rehmat E Aalam Ko Apni Godd Me Ek Raste Se Liye Guzar Rahi Thi, Raaste Me Qabeela E Banu Sulaim Ki Teen Kunwari Ladkiyo Ne Huzur Ki Pyaari Surat Dekhi..

Kudratan Unke Dilo Me Huzur Rehmat E Aalam Ki Muhabbat Josh Marne Lagi, Unhone Aage Badhkar Baari-Baari Apko Badi Aqeedat O Muhabbat Ke Sath Godd Me Liya Aur Apni Pistane Aapke Dahan E Aqdas Me Rakhi, Kudrati Torr Par Doodh Utar Aaya, Aapne Doodh Nosh Farmaya...

Un Teeno Paakbaaz Aurto Ka Naam Aateqa Tha, Aateqa Ka Ma'na Hai Zann E Sharifa, Raeesa, Kareema, Sarapa, Itr Aalood, Ba'az Ulema Ne Farmaya Hadees E Paak Hai Huzur Ne Farmaya Bani Sulaim Ki Aateqa Aurto Ka Beta Hu, Ye Usi Janib Ishara Hai...

HUZUR KA IRSHAD E PAAK HAI ME AATEQA AURTO KA BETA HU...

Huzur Rehmat E Aalam Ki Wo Maaye Jinka Naam Aateqa Tha Kayi Qoul Hai, Ba'az Ulema Ne Farmaya Ke Huzur ﷺ Ki Maaye Jinka Naam Aateqa Tha Wo 9 Hai, 
Ba'az Ulema Ne Farmaya Ke Huzur Ki Maaye Jinka Naam Aateqa Tha Wo 12 Bibiya Hai,

Hazrat Saiyedna Imam Jalaluddin Suyuti Ne Apni Qitab Ja'me Kabeer Me Likha Hai Ke Imam Abu Abdullah Adusi Ne Farmaya Ke Huzur Rehmat E Aalam Ki Wo Maaye Jinka Naam Aateqa Tha Unki Ta'dat 14 Hai.

Tafsil Is Tarah Hai :- 

Aateqa Naam Ki Teen Aurto Ka Talluk Quraish Se Hai, Chaar Paakbaaz Bibiyo Ka Talluk Qabeela E Banu Sulaim Se Hai, Do Paakbaaz Bibiyo Ka Talluk Qabeela E Adwaniya Se Hai, Ek Bibi Sahiba Qabeela E Huzliya Se Hai, Ek Bibi Sahiba Qabeela E Kahtaniya Se Hai, Ek Bibi Sahiba Qabeela E Kazaiya Se Hai, Ek Bibi Sahiba Asadiya Hai, Ya'ni Qabeela E Bani Asad Khuzema Se Hai.

HAZRAT UMME AYMAN....

Aapka Asl Naam Barkat Hai, Umme Ayman Qunniyat Hai, Aap Bade Martabe Ki Sahabiya Hai, Aapke Mutallik Huzur Nabi E Kareem Ne Irshad Farmaya.

TUM MERI MAA KE BA'AD MERI MAA HO...

Aapne Bhi Hijrat Farmayi Hai, Hijrat Ke Raaste Me Aapko Pyaas Lagi Aasman Se Noorani Rassi Me Bandha Huwa Ek Doll Utra Us Doll Se Paani Pikar Sairab Ho Gayi Fir Zindagi Bhar Kabhi Aapko Pyaar Nahi Lagi, Sakht Garmi Me Aap Roze Rakhti Thi Magar Aapko Pyaas Ka Ehsas Nahi Hota Tha...

Huzur Rehmat E Aalam Ko Acche Naam Pasand W Mehboob The...

Ummul Mo'mineen Hazrat E Ayesha Siddiqa Farmati Hai Ke Huzur Bure Naamo Ko Badal Dete The..

(TIRMIZI SHARIF)

Dusri Hadees E Paak Me Hai Agar Huzur Kisi Ka Bura Naam Sunte To Usse Behter Badal Dete.

(Tibrani Sharif)

Hazrat Burida Aslami Farmate Hai Ke Huzur Rehmat E Aalam Kisi Cheez Se Badshaguni Nahi Lete The, Jab Kisi Ohde Par Kisi Ko Mukarrat Farmate To Naam Puchte Agar Pasand Aata To Khush Hote Aur Uski Khushi Chehra E Anwar Me Nazar Aati Aur Agar Napasand Aata To Nagawari Ka Asar Chehra E Anwar Par Zahir Hota Tha,
Aur Jab Kisi Shehar Me Tashrif Le Jaate To Us Shehar Ka Naam Dariyaft Farmate Agar Pasand Aata To Khush Ho Jaate Aur Uska Asr Rukh E Anwar Me Dikhayi Deta Aur Agar Na'Pasand Aata To Khushi Ka Asr Chehra E Anwar Me Nazar Aata.

#Abu Dawood Sharif.

Huzur Rehmat E Aalam Farmate Hai TUMHARE NAAMO ME SABSE ZIYADA PYAARE NAAM ALLAH TAA'LA KO ABDULLAH AUR ABDURREHMAN HAI...

Huzur E Aqdas Farmate Hai Tumhare Naamo Me Haris Aur Humaam Bahot Sacche Aur Pyaare Naam Hai...

Allah Tabarak W Taa'la Ki Huzur Par Poshida Gaibi Khususi Inayate W Nawazishe...

Huzur Rehmat E Aalam Ki Pedaish Mubarak Se Pehle Hi Rabb Taa'la Ne Apne Mehboob O Mukarram Ke Aaba W Ajdad W Ummahat(Maawo) Ko Acche-Acche Paakiza Naam Ata Farmaye Ke Jab Mere Mehboob Duniya Me Tashrif Laaye To Un Mubarak Naamo Ko Sunkar Mere Mehboob Ko Khushi W Masarrat Hasil Ho, Rabb Taa'la Aalimul Gaib Washahada Hai Use Pehle Hi Se Ilm Hai Ke Duniya Duniya Me Jalwa Farma Hone Wale Mere Mehboob O Mukarram Ko Acche Naam Bahot Mehboob O Pasandida Hai...

Ab Huzur Rehmat E Aalam Ke Kuch Aaba W Ajdad W Ummahat Ke Mubarak Naamo Ka Tazkira Karne Ki Sa'dat Hasil Kar Rahe Hai..

Huzur Rehmat E Aalam Ke Walid E Mohtaram Ka Naam E Paak Hazrat Abdullah Hai, Ye Mubarak Naam Ummat E Muhammadiya Ke Naamo Me Afzal W Aa'la Hai, Aur Jaisa Ke Aap Pehle Padh Chuke Ki Huzur Ne Farmaya Ke Tumhare Naamo Me Sabse Ziyada Pyare Naam Allah Ko ABDULLAH Aur ABDURREHMAN Hai.

Huzur Rehmat E Aalam Ki Walida Majida Ka Naam Aamena Hai, Is Mubarak Naam Se Aman O Amaan Aur Imaan Ki Tajalli Numaya Hai, 

Huzur Rehmat E Aalam Ke Daada Ka Naam Abdul Muttalib Shebatul Hamd Hai, Shebatul Hamd Se Is Janib Ishara Hai Ke Is Paak Hasti Ki Nasl Me Wo Zaat E Paak Jalwagar Hogi Jo MUHAMMAD, AHMED, Aur HAMID W MEHMOOD Hogi..

Huzur Ki Daadi Sahiba Ka Naam FATIMA BINTE AMR BIN AAYIZ Hai, Is Mubarak Naam Ki Khoobi Suraj Se Bhi Ziyada Roshan Hai,

Hazrat Saiyeda FATIMA ZAHRA Naam Rakhne Ki Wajah Huzur Nabi E Kareem Ne Ye Bayaan Farmayi Ke Allah Taa'la Ne Meri Is Beti Ka Naam FATIMA Isi Liye Rakha Hai Ki Meri Is Beti Ko Aur Isse Aqeedat Rakhne Walo Ko Naar E Dozakh Se Aazad Farmaya Hai.

Huzur Rehmat E Aalam Ke Naana Ka Naam WAHAB Hai, Wahab Ke Ma'na Hai ATA W BAKSHISH, Aapke Qabeele Ka Naam Bani Zohra Hai Jiske Maa'na Hai JAMAL O TABISH, 
Huzur Ki Naani Sahiba Ka Naam E Paak BARRA Hai Barra Ke Ma'na Hai NEKO'KAAR...

Huzur Ko Sabse Pehle Doodh Pilane Wali Khatoon E Mohtaram Hazrat E SHUWAIBA Hai, Shuwaiba Ke Ma'na Hai Fazl E Ilahi Se Puri Tarah Behrawar, 

Huzur Rehmat E Aalam Ki Rajai Maa Hazrat HALIMA SA'ADIYA Unke Mubarak Naam Ki Barkate Zahir Hai Huzur Nabi E Kareem Ne Aapke Mutallik Farmaya Ke Aye Meri Maa Halima Sa'adiya Tumhari Do Khaslate Allah W Rasool Ko Bahot Pyaari Hai, 

Ek Tumhari Soojh Boojh Aur Dusra Tumhara Sabr O Tahammul, Aapka Qabeela Bani Sa'ad Jisse Sa'adat W Nek Bakhti Numaya Hai..

Hazrat E Halima Sa'adiya Ke Ke Shohar Aur Huzur Ke Rajai Baap Hazrat E HARIS Haris Naam Ki Barkate Bhi Bahot Zyada Hai, Huzur Rehmat E Aalam Ne Farmaya Sab Naamo Me Sacche Naam HARIS W HUMAAM Hai..

Huzur Ke Rajai Bhai Ka Naam ABDULLAH SA'ADI Hai, Aap Hazrat E Halima Sa'adiya Ke Sahibzade Hai, Huzur Ki Rajai Behan Ka Naam Seema Sadiya Hai, Seema Ke Ma'na Hai Nishaniwali, Alamat Wali, Jo Door Se Chamke...

Huzur Rehmat E Aalam Ko Ek Aur Khaas Doodh Pilane Wali Khatoon E Mohtaram Ka Naam Barkat Hai, Aur Qunniyat Umme Ayman Hai, Is Mubarak Naam Ki Shaan O Azmat Bahot Badi Hai,

Huzur Ki Wiladat E Paak Ke Waqt Sabse Pehle Jin Paakbaaz Khatoon E Mohtaram Ne Sabse Pehle Aapko Apne Hatho Me Liya Unka Naam SHIFA Hai, Inhi Hazrat Shifa Ke Sath Ek Aur Khatoon Thi Jinka Naam FATIMA BINTE ABDULLAH TAZKIYA HAI, In Mubarak Naamo Ki Azmate Zahir W Bahir Hai..

ULEMA E AHLE SUNNAT KE MUHAKKIKIN KA AQEEDA....

Allah Ta'ala Ne Jab Apne Habib E Paak Ke Noor E Paak Ko Bure Naam Walo Se Bachaya To Kya Wo Is Noor E Paak Ko Bure Kaam Walon Me Rakhega ?? Aur Bura Kaam Bhi Konsa Ma'azallah Kufr W Shirk... !

Ulema E Ahle Sunnat Ke Muhakkikin Ka Aqeeda Hai Ke Hazrat Saiyedna Aadam Aleyhissalam Se Lekar Hazrat Saiyedna Abdullah Tak Aur Saiyeduna Hawwa Aleyhissalam Se Hazrate Aamena Tak Huzur E Aqdas Ke Tamam Aaba W Ajdad W Ummahat(Maaye) Daaiya, Sab Ahle Islam W Imaan W Touhid Hai, Mo'min Hai, Jannati Hai.

HUM ISHQ KE BANDE HAI ISKE ALAWA KUCH NAHI JAANTE...

Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur Rehmat E Aalam Ne Apne Maqam E Maddah Aur Bayan E Fazaeel E Karima Me Apne Walid E Majid Hazrat Saiyedna Abdullah Se Hazrat Saiyedna Adnan Tak 21 Pusht Tak Apna Nasabnaama Irshad Karke Farmaya Me Nasab Me Sabse Afzal Hu..

To Huzur Rehmat E Aalam Ke Irshad Ke Mutabik Zaroor Hai Ke Huzur Ke Jhumla Aaba W Ajdad W Ummahat Sab Muslimin W Muslimat Ho.

#Shumulul Islam, Aa'la Hazrat 

NASAB NAA'MA SHARIF...

HUZUR SAIYEDNA MUHAMMADURRASOOLALLAH 

IBNE

Hazrat Saiyedna ABDULLAH.

IBNE

Hazrat Saiyedna ABDUL MUTTALIB.

IBNE

Hazrat Saiyedna HASHIM.

IBNE

Hazrat Saiyedna ABDE MANAAF.

IBNE

Hazrat Saiyedna KUSAY.

IBNE

Hazrat Saiyedna KILAAL.

IBNE

Hazrat Saiyedna MURRAH.

IBNE

Hazrat Saiyedna QA'AB.

IBNE

Hazrat Saiyedna LUA'AY.

IBNE

Hazrat Saiyedna GALIB.

IBNE

Hazrat Saiyedna FIHAR.

IBNE

Hazrat Saiyedna MALIK.

IBNE

Hazrat Saiyedna NAZAR.

IBNE

Hazrat Saiyedna KINANAAH.

IBNE

Hazrat Saiyedna KHUZAIMA.

IBNE

Hazrat Saiyedna MUDRIKAH.

IBNE

Hazrat Saiyedna ILYAS.

IBNE

Hazrat Saiyedna MUZAR.

IBNE

Hazrat Saiyedna NIZAAR.

IBNE

Hazrat Saiyedna MA'AD.

IBNE

Hazrat Saiyedna ADNAN.

رضی الله عنہ
رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ

Huzur Ke Dada Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib..

Aap Hazrat Saiyedna Hashim Ke Sahibzade Hai Apki Walida Majida Ka Naam Salma Hai, Aapka Asal Naam Shaibatul Hamd Hai, Iski Wajah Ulema Ne Ye Bayan Ki Ke Pedaish Ke Waqt Se Hi Aapke Ser Mubarak Ke Kuch Baal Safaid The, Lihaza Ghar Ke Logo Ne Aapka Naam Shebah Rakha, Shebah Ke Ma'ne Hai Budhe, Lekin Nizam E Qudrat Ke Aage Chalkar Aap Abdul Muttalib Ke Naam Se Mashoor Ho Gaye Aur Log Aapka Asli Naam Bhool Gaye.

Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Saat Ya Aanth Saal Madina Sharif Me Apne Nana Ke Ghar Rahe, Makkah Sharif Ke Rehne Wale Ek Saksh Jinka Taa'lluk Kabeela E Bani Haras Se Tha, Kisi Kaam Se Madina Taiyeba Aaye, Jab Wo Us Mohalle Se Guzre Jisme Saiyedna Abdul Muttalib Ke Nana Ka Makan Tha To Unhone Dekha Kuch Bacche Teer Andazi Kar Rahe Hai,

Unme Ek Sahibzade Jo Nihayat Haseen O Jameel Aur Ba'waqar Hai Unka Teer Jab Nishane Par Lagta Hai To Bade Hi Fakhr Aur Purwaqar Lehze Me Kehte Hai Me Hashim Ka Beta Hu Me Makkah Ke Sardar Ka Beta Hu.

Qabeela E Bani Haras Ke Wo Saksh Madina Taiyeba Se Lautkar Makkah Mukarrama Aaye To Hazrat Saiyedna Hashim Ke Chote Bhai Muttalib Se Mile Aur Unse Aankho Dekha Haal Bayan Kiya, Aur Kaha Ke Aye Muttalib Ye Munasib Nahi Maloom Hota Ke Aapke Bade Bhai Jo Makkah Ke Sardar The Aur Jinka Inteqal Mulke Shaam Me Ho Gaya Hai Unka Beta Nanihal Me Parvirash Paaye,

Balke Behter Hoga Aap Madina Taiyeba Tashrif Le Jaaye Aur Us Bacche Ke Nana Wagaira Se Mulakat Karke Aur Unse Guftagu Karke Us Bacche Ko Yahan Laaye Aur Apne Khandani Mahol Me Us Bacche Ki Parwarish Kare Taake Jis Tarah Apke Bade Bhai Hazrat Hashim Makkah Ke Sardar The Aapka Ye Bhatija Bhi Makkah Ka Sardar Bane Aur Aapke Khandan Ka Waqar Do'bala Ho Jaye,

Kabeela E Bani Haras Ke Us Aadmi Ke Is Mufid Mashware Ko Qabool Karte Huwe Muttalib Madina Taiyeba Aaye Aur Hazrat Abdul Muttalib Ke Nana Amr Bin Labid Aur Aapki Walida Majida Hazrate Salma Se Mulakat Ki Aur Unse Guftagu Ki Aur Unhe Is Baat Par Raazi Kar Liya Ke Wo Hazrat Abdul Muttalib Ko Aapke Sath Makkah Mukarrama Rawana Kar De.

Hazrat E Abdul Muttalib Aur Zam-Zam Ke Kunwe Ki Dobara Khudai.

Ek Din Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Hateem Sharif Me So Rahe The Khawab Me Dekha Ke koi Keh Raha Hai Ke Aye Abdul Muttalib Paak Cheez Ko Khodo.

Munadi Ye Kehkar Gayab Ho Gaya, Aap Khawab Se Bedar Hokar Dinbhar Fikr Mand Rahe Ke Wo Pakeeza Cheez Kya Hai, Dusri Raat Munadi Ne Fir Khawab Me Aapse Yahi Kaha Aur Gayab Ho Gaya, Fir Teesri Raat Munadi Ne Kaha,
Aye Abdul Muttalib Maznoona Ko Khodo, Aur Ye Kehkar Munadi Fir Gayab Ho Gaya.

Chouthi Raat Fir Munadi Aaya Aur Kaha Aye Abdul Muttalib Zam-Zam Ko Khodo, Aaj Saiyedna Abdul Muttalib Ko Mouka Mil Gaya Aur Apne Bade Adab Se Munadi Se Kaha Ke Zam-Zam Ka Kunwa To Senkdo Saal Se Chupa Huwa Hai Uski Kuch Nishani Bata Ke Zam-Zam Ka Kunwa Kahan Hai To Me Use Khodu,

Ispar Munadi Ne Bade Purwaqar Lehze Me Kaha Zam-Zam Ka Kunwa Tumhare Baap Ismail Aleyhissalam Ki Miras Hai, Zam-Zam Ka Paani Na Kabhi Ganda Hoga Na Kabhi Maila Hoga, Na Kum Hoga, Fir Munadi Ne Kaha Zam-Zam Ke Kunwe Ki Pehchan Ye Hai,

Pehli Nishani : Jahan Khoon Gobar Aur Leed Ka Dher Hai Uske Niche.

Dusri Nishani : Waha Subha Ko Tumhe Ek Safaid Aur Kaale Rang Ka Kawwa Betha Nazar Ayega, Jahan Wo Chonch Maar Raha Hoga, Qayamat Tak Haji Uske Paani Se Sairab Honge,

Teesri Nishani : Wahan Tumhe Chyutiyo Ka Surakh Nazar Ayega, Chyutiya Aa Jaa Rahi Hogi.

Wohi Khudai Shuru Kar Dena Tumhe Zam-Zam Ka Kunwa Mil Jayega Ye Kehkar Munadi Gayab Ho Gaya, Zam-Zam Ke Kunwe Ke Mutallik Ek Thodi Tashrih Kar De Ke Kabeela E Bani Jurham Jo Hazrat Saiyedna Ismail Aleyhissalam Ke Zamane Se Makkah Sharif Me Aabad Tha, Aur Zam-Zam Sharif Ka Bhi Wohi Intezam Karta Tha Lekin Jab Us Kabeele Me Badkariya Badh Gayi.

Kabeela E Bani Jurgam Ke Jo Acche Nek Dil Sardar The Ek Raat Wo Nihayat Khamoshi Se Sone Ke Wo Do Hiran Jo Us Zamane Ke Logo Ne Khana E Ka'ba Me Rakhe The, Kuch Dhaal Kuch Talware Aur Kuch Dusre Saman Zam-Zam Sharif Ke Kunwe Me Dalkar Aur Mitti Dalkar Aisa Barabar Kar Diya Ke Koi Nishan Baaki Na Raha, Aur Ye Tamami Sardar Raat O Raat Makkah Sharif Se Apne-Apne Khandan Ko Lekar Bahar Chale Gaye.

Fir Qabeela E Bani Khaza'a Ne Hamla Karke Bani Jurham Ko Makkah Sharif Se Bahar Nikal Diya, Ye To Sab Ko Ilm Tha Ke Zam-Zam Sharif Ka Kunwa Haram E Ka'ba Me Hai Lekin Kahan Hai Ye Kisiko Ilm Na Tha, Makkah Ke Butt Parast Logo Ne Haram E Ka'ba Me 360 Butt Laga Rakhe The Unhi Butto Me 2 Butt Bahot Mashoor The, Ek Ka Naam Asaaf Aur Ek Ka Naam Nayela Tha, Asaaf Ye Mard Ka Butt Tha Nayela Ye Aurat Ka Butt Tha.

Makkah Mukarram Ke Butt Parast W Mushrikeen Ho Ya Dusre Islake Ke Butto Ke Naam Par Jo Janwar Zibah Karte The Unka Khoon, Gobar, Leed, Wagaira Unhi Dono Butto Ya'ni Asaaf Aur Nayela Ke Bich Me Daal Dete.

Munadi Ne Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ko Nishaniya Bata Di Ke In Dono Butto Ke Darmiyan Jahan Khoon W Gobar Ka Dher Hai Subha Ko Aap Us Dher Par Jahan Safaid Aur Kaale Rang Ke Kawwe Ko Chonch Marte Dekhe Aur Waha Chyutiyo Ka Surakh Bhi Hoga Wohi Par Dher Ke Niche Zam-Zam Ka Kunwa Hai Wohi Khudai Kare Zam-Zam Ka Kunwa Mil Jayega.

Subha Ko Aapne Makkah Sharif Ke Logo Ko Jama Kiya Aur Bataya Ke Mujhe Hukm Huwa Hai Ke Me Zam-zam Ka Kunwa Khodkar Nikalu, Aur Ye Nishaniya Batayi Gayi Hai, Lihaza Aap Log Mera Sath De Ke Kaam Aasan Ho Jaaye, Ahle Makkah Ne Aapki Baato Ko Sunkar Aapse Kaha Ke Aye Sardar E Quraish ! Jis Jagah Sadiyo Se Gobar Aur Leed Ka Dher Hai Bhala Wahan Zam-zam Ka Kunwa Kaise Ho Sakta Hai ?? Ye Mehaz Aapka Khayal Hai, Saath Dene Se Inkar Kar Diya, Balke Mazak Udana Shuru Kar Diya Aur Kaha Ke Budhape Me Apko Ye Kya Ho Gaya Hai, 

Ahle Makkah Ki Is Namunasib Galat Ravish Ka Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Par Zarra Barabar Bhi Asar Nahi Huwa, Aap Apne Irade Me Sabir Qadam Rahe, Abhi Aapke Sirf Ek Sahibzade The Jinka Naa Haris Tha, Unko Sath Liya Aur Baap Bete Milkar Khudayi Karne Lage,

Balke Usi Waqt Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ne Bargaah E Rabb Me Mannat Maani Ke Aye Rabb E Kareem Ahle Makkah Me Se Koi Mera Dath Nahi De Raha Hai, Me Apne Is Ek Bete Ko Lekar Teri Khushi Hasil Karne Ke Liye Zam-zam Sharif Ke Kunwe Ki Khudayi Kar Raha Hu, Tu Meri Madad Farma Aur Wa'da Karta Hu Ke Agar Tu Mujhe Das Bete Ata Farmayega, Taake Kisi Bhi Nek Kaam Ke Karne Me Mujhe Aasani Ho, Yo Usne Se Ek Bete Ko Teri Raah Me Kurban Kar Dunga,

Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Apne Ek Bete Haris Ko Lekar Zam-zam Sharif Ke Kunwe Ki Khudayi Ne Din Bhar Masroof Rahe, Lekin Pehle Din Koi Nishan Naa Mila, Dusre Din Thodi Khudayi Ke Baad Rabb Taa'la Ke Fazl Se Zam-zam Sharif Ka Kunwa Mil Gaya, Sone Ke Dono Hiran Bhi Mil Gaye, Dhaal Aur Talware Bhi Mil Gayi Aur Zam-zam Ke Kunwe Ki Mukammal Safai Ho Gayi.

Ab Ahle Makkah Jama Ho Gaye Aur Har Kabeela Ye Da'wa Karne Laga Ke Zam-zam Par Mera Haq Hai Aur Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Se Jaghadne Lage, Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ne Bade Sabr O Tahammul Se Kaam Lete Huwe Bade Hi Sanjida Aur Purwaqar Lehze Me Ahle Makkah Se Farmaya,

Aye Ahle Makkah Jab Maine Tumhe Dawat Di Ke Zam-zam Sharif Ke Kunwe Ki Talash Me Khudayi Karne Me Tum Mera Sath Do To Tumne Inkar Kar Diya Aur Mera Mazak Udaya, Aur Jab Ke Khuda Ke Fazl O Karam Se Me Kamiyab Ho Gaya Aur Zam-zam Ka Kunwa Mil Gaya To Tum Dawedar Bankar Mere Samne Aa Gaye Ho Aur Mujhse Jaghda Kar Rahe Ho, Sardar E Quraish Hone Ke Naa'te Mujhe Haq Hai Ke Me Apne Baare Me Ye Faisla Kar Lu Ke Zam-zam Sharif Par Mera Haq Hai, Kisi Dusre Ka Koi Haq Nahi Aur Ye Faisla Haq Aur Sach Hoga.

Lekin Me Nahi Chahta Ke Aane Wale Waqt Me Koi Ye Ta'na De Ke Meri Jabibdari Se Kaam Liya, Isiliye Mashwara Hai Ke Har Kabeela Apna Ek Numainda Mubtakhab Kare Aur Me Bhi Apne Sathiyo Ko Le Lu, Aur Chalkar Kisi Teesre Moa'tamad Aur Zimmedar Aadmi Se Iska Faisla Karwaye, Wo Teesra Aadmi Jo Faisla Kar De Usko Har Farik Maan Le.

Makkah Sharif Ke Logo Ne Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ki Tajviz Ko Ba'khushi Maan Liya, Aur Ye Tay Huwa Ke Mulk E Shaam Ya Mulk E Yaman Me Ek Sakhsh Hai Jo Bada Sahib E Ilm Aur Sahih Faisla Karne Wala Hai Uske Paas Chalkar Faisla Karwa Liya Jaaye, Wo Jo Faisla Kare Usko Har Koi Maan Le,

Chunache Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Apne Sathiyo Aur Makkah Sharif Ke Un Numaindo Ko Lekar Rawana Ho Gaye, Mashiyyat E Ilahi Ke Kuch Manzile Tay Karne Ke Ba'ad Ye Qafla Ek Aise Sakht Registani Maidan Me Pahocha Jahan Paani Ka Naam O Nishan Nahi Tha, Sakht Garmi Aur Pyaas Ki Shiddat Se Har Fard Ko Apni Mout Ka Pura-pura Yakeen Ho Chuka Tha Isi Aalam Me Sab Log Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ke Paas Aaye Aur Farmaya Jis Haal Me Tum Ho Us Haal Me Mai Bhi Hu,

Ab Mera Mashwara Hai Ke Sab Log Aage Badhne Ki Bajay Ounto Ko Bitha Do, Aur Apni-apni Qabre Khodkar Unke Sirhane Baith Jawo, Jo Marta Jayega Usko Dafan Karte Jayenge, Bikhar Kar Marne Se Kya Fayda.

Sab Logo Ne Aapke Mashware Ko Qabool Kar Liya Aur Apni-apni Qabre Khodkar Unke Sirhane Baith Gaye,

Ulema E Kiram Farmate Hai Ke Noor E Mohammadi Ka Faizan Hai Ke Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ko Housla Huwa, Aur Aapne Apne Un Tamami Sathiyo Se Farmaya Ki Khuda Ki Rehmat Se Mayoos Na Hona Chahiye, Aye Mere Sathiyo Utho Aur Allah Taa'la Ki Rehmat Par Yakeen Karke Aage Badho, Mumkin Hai Ke Tumhari Bekasi Par Allah Taa'la Ki Rehmat Ko Pyaar Aa Jaaye Aur Gaib Se Paani Ka Intezam Ho Jaaye.

Chunache Sab Log Apne-apne Ounto Par Baithe Aur Aage Badhe, Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ne Bhi Jab Apne Sathiyo Ko Lekar Aage Badhne Ka Irada Kiya Aur Apni Ountni Ko Chalne Ka Ishara Kiya To Aapki Ountni Ne Jaise Hu Pehla Qadam Uthaya Wohi Se Paani Ka Chashma Foot Pada.

Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ruk Gaye, Khud Paani Piya, Apne Sathiyo Ko Pilaya, Ounto Ko Pilaya, Mashkize Bhare Aur Apne Sathiyo Se Farmaya Ke Makkah Sharif Ke Un Logo Ko Bhi Bula Lo Ye Bhi Aakar Paani Pee Le, Aapke Sathiyo Ne Kaha Ke Jab Wo Hunare Mukhalif Hai To Hum Unhe Paani Kyo Pilaye.

Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ne Farmaya Ke Aye Mere Sathiyo Akhlaak O Murawwat Ka Taqaza Yahi Hai Ke Hum Unhe Bhi Paani Pilaye, Hum Agar Unhe Paani Nahi Pilate To Fir Hum Me Aur Unme Kya Fark Rahega, Chunache Aapne Un Sab Mukhalifin Ko Bulaya Paani Pilaya, Unhone Bhi Apne Ounto Ko Paani Pilaya, Mashkize Bhare Aur Taaza Dumm Ho Gaye.

Jab Sab Log Paani Pikar Sairab Ho Gaye To Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ne Farmaya, Aye Mere Sathiyo Ab Aage Badho Aapke Jitne Mukhakifin The Sabne Ek Zaban Hokar Kaha Ke,

Aye Sardar E Quraish ! Ab Hum Faisle Ke Liye Kisi Ke Paas Nahi Jayenge, Faisla To Yahi Ho Gaya Ke Jab Hum Apni-apni Mout Ka Yakeen Karke Apni-apni Qabre Khodkar Unke Sirhane Baith Gaye, Fir Aapke Zariye Hume Paani Mila Humaru Jaane Bachi, To Zam-zam Sharif Par Sirf Aapka Haq Hai Kisi Dusre Ka Uspar Koi Haq Nahi,

Ulema E Kiram Farmate Hai Ke Ye Sab Noor E Muhammadi Ka Faizan Tha Jo Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ke Paas Jalwa Afroz Tha.

Ab Ahle Makkah Jama Ho Gaye Aur Har Kabeela Ye Da'wa Karne Laga Ke Zam-zam Par Mera Haq Hai Aur Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Se Jaghadne Lage, Hazrat Saiyedna Abdul Muttalib Ne Bade Sabr O Tahammul Se Kaam Lete Huwe Bade Hi Sanjida Aur Purwaqar Lehze Me Ahle Makkah Se Farmaya,

Aye Ahle Makkah Jab Maine Tumhe Dawat Di Ke Zam-zam Sharif Ke Kunwe Ki Talash Me Khudayi Karne Me Tum Mera Sath Do To Tumne Inkar Kar Diya Aur Mera Mazak Udaya, Aur Jab Ke Khuda Ke Fazl O Karam Se Me Kamiyab Ho Gaya Aur Zam-zam Ka Kunwa Mil Gaya To Tum Dawedar Bankar Mere Samne Aa Gaye Ho Aur Mujhse Jaghda Kar Rahe Ho, Sardar E Quraish Hone Ke Naa'te Mujhe Haq Hai Ke Me Apne Baare Me Ye Faisla Kar Lu Ke Zam-zam Sharif Par Mera Haq Hai, Kisi Dusre Ka Koi Haq Nahi Aur Ye Faisla Haq Aur Sach Hoga.

Lekin Me Nahi Chahta Ke Aane Wale Waqt Me Koi Ye Ta'na De Ke Meri Jabibdari Se Kaam Liya, Isiliye Mashwara Hai Ke Har Kabeela Apna Ek Numainda Mubtakhab Kare Aur Me Bhi Apne Sathiyo Ko Le Lu, Aur Chalkar Kisi Teesre Moa'tamad Aur Zimmedar Aadmi Se Iska Faisla Karwaye, Wo Teesra Aadmi Jo Faisla Kar De Usko Har Farik Maan Le.

Comments

Popular posts from this blog

🌷GULZAR-E-SHOHDA🌷 ALBUM NO-01....

💟SEERAT E PAAK KHATOON E JANNAT💟

SEERAT-E- SAIYEDNA SHER-E-KHUDA ALI-E-MURTUZA.