TAZKIRA E SAIYEDA ZAINAB AUR FAZAIL E AHLE BAIT.
TAZKIRA E SAIYEDA ZAINAB AUR FAZAIL E AHLE BAIT....
HAZRAT SAIYEDA ZAINAB رضي الله تعالى عنها.....
Aapke Nana Jaan :- Huzur Saiyedna Muhammad Mustafa ﷺ.
Aapki Naani Jaan :- Saiyeda Khadijat Ul Qubra رضي الله تعالى عنها...
Aapke Walid E Mohtaram :- Ameer Ul Momi'neen Saiyedna Ali E Murtaza کَرَّمَ اللہُ تَعَالٰی وَجہَهُ الکَرِیم ....
Aapki Walida Majida :- Sehzadi E Rasool Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها...
Aapka Naam E Paak :- Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها...
Aapki Wiladat E Paak :- 5 - Jamadil Ula, 5 Hijri.
*AAPKA NAAM E PAAK....*
Aapka Naam E Paak Aapki Pedaish Ke Kayi Din Bad Rakha Gaya, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Ameer Il Momineen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Se Jab Aapka Naam Rakhne Ke Liye Kaha, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Kaha Ke Meri Is Bacchi Ka Naam Allah Ke Pyare Habib ﷺ Rakhenge...
Me Is Muammle Me Allah Ke Pyare Habib ﷺ Par Sabkat Nahi Kar Sakta, Kuch Din Intezar Kar Lo Sarkar ﷺ Safar Par Tashrif Le Gaye Hai, Jab Wapas Tashrif Layenge To Naam Tajwiz Farma Denge..
Chunache Jab Allah Ke Pyare Habib ﷺ Safar Se Wapas Aakar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Ghar Tashrif Laye To Aapne Bacchi Ko Goud Me Liya Usi Waqt Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Arz Kiya Huzur Is Bacchi Ka Naam Tajwiz Farmaye....
*Huzur ﷺ Ne ZAINAB Naam Rakha, Apne Seene Se Lagaya, Pyar Farmaya Aur Duwao Se Nawaza....*
*TALEEM O TARBIYAT...*
Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ki Taleem O Tarbiyat Ka Andaza Lagana Aasan Nahi Hai,
Jinke Nana Huzur Saiyed E Aalam ﷺ Ho , Jinke Walid Majid Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza Ho, Jinki Walida Majida Hazrat Saiyeda Fatima Zahra Ho, Aur
Jinke Bhai Imam Hasan Mujtaba Aur Imam Hussain Saheed E Karbala Ho Ese Pakeeza Mahol Me Taleem O Tarbiyat Paane Wali Sehzadi Saiyeda Zainab Ki Sifat Kitni Buland Aur Pakeeza Hogi Humari Aqalo Ki Waha Tak Rasayi Nahi,
Hakaikat To Ye Hai Ke Aap Farasat-Danishmandi- Qur'an-Tafseer-Adab- Ilm E Kalam Par Haavi Thi, Zohdo Taqwa- Sadgi W Pakeezgi- Ibadat O Riyazat- Isteaamat- Istaqlal-Sadaqat- Jurr'at- Tawazo-Inqesari- Mehman Nawazi Ka Paykar Thi.....
*NABUWWAT KA PYAR.*
Huzur ﷺ Aapse Bahut Mohabbat Farmate The Kabhi Aisa Hota Ke *Huzur ﷺ Namaz Me Hote, Hazrat Saiyeda Zainab Sajde Ki Halat Me Aapki Pushte Paak Par Sawar Ho Jati, Jab Tak Aap Pusht E Paak Se Khudd Na Utarti Huzur ﷺ Sajde Se Ser Na Uthate....
Ek Martaba Huzur ﷺ Ke Pas Tohfe Me Sone Ka Haar Aaya, Aapne Farmaya Me Ye Haar Usko Pehnaunga Jisse Mujhe Bahut Zyada Pyar Hai, Chunache Aap Haar Lekar Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Pas Aaye Aur Aapke Gale Me Pehna Diya (Baaz Ne Kaha Ke Anguthi Aayi Thi)
Jab Huzur Aqdas ﷺ Ne Aakhri Hajj Farmaya Hai To Hazrat Saiyeda Zainab Qubra Aapke Sath Thi,
Jab Huzur ﷺ Ke Wisal E Paak Ka Waqt Qareeb Aaya To Aapne Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Farmaya Ke Mere Baccho Ko Lawo, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Tamami Baccho Ko Lekar Hazir Huyi To Hazrat Saiyeda Zainab E Qubra رضي الله تعالى عنها Josh E Muhabbat Me Aage Badhi.
AUR HUZUR ﷺ KE SEENA E PAAK PAR APNA HATH RAKH DIYA, HUZUR ﷺ NE HAZRAT SAIYEDA ZAINAB رضي الله تعالى عنها KO APNE SEENE SE LAGA LIYA, SHAFQAT KI NIGAH FARMAYI, SER PAR HATH FERA AUR MATHE PAR BOSA DIYA.
Ek Martaba Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Aapko Apne Qareeb Bithaye Pyaar Farma Rahe The, Aapne Chaha Ke Aapki Geenti Sikhaye, Farmaya Beti Zainab "Qulli Wahida- Kaho Ek" Fir Hazrat Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Farmaya "Qulli Isnaini - Kaho Do" Aap Khamosh Ho Gayi, Hazrat Sher E Khuda Ne Farmaya Meri Aankho Ki Thandak Do Kyu Nahi Kehti Khamosh Kyu Ho Gayi,
Aapne Jawab Diya Abba Jaan Jis Zuban Se Ek Bar Ek Keh Diya Ab Usse Do Kaise Kahu..
Ye Shagufta Aur Bahut Lateef Aur Pyara Jawab Sunkar Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Bahut Khush Ho Gaye Aur Aapko Seene Se Laga Liya Aur Dono Aankho Ke Darmiyan Bosa Diya.
Aap Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Ki Hum Shabeeh Thi, Huzur ﷺ Farmate The Meri Ye Nawasi Zainab Shakl O Sabahat Me Khadijatul Qubra Ki Trah Hai..
Aapki Guftagu Ka Andaz Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Jaisa Tha, Aap Hilm O Burdbaari Me Saiyedna Imam E Hasan Ke Misl Aur Shija'at O Itminaan E Qalb Me Hazrat Saiyedush Sohda Imam Hussain رضی الله عنہ Ki Trah Thi.
*AAPKA NIKAH...*
Aapka Nikah Aapke Chachazaad Bhai Hazrat Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Se Huwa, Nikah Masjid Me Huwa Aur Nihayat Saadgi Se Huwa, Jahez Me Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Kya Diya Ye Tafseel Maloom Nahi Lekin Albatta Yakeen Yahi Hai Ke Huzur ﷺ Ke Tarike Ke Mutabik Hi Jahez Diya Hoga, Nikah Ke Dusre Din Hazrat Abdullah رضی الله عنہ Ne Dawat E Walima Kiya....
*SHARM O HAYA...*
Hazrat Yahya Bin Maazni رضی الله عنہ Ka Bayan Hai Me Ek Muddat Tak Madina Munawwara Me Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Makan Ke Pados Me Raha Lekin *na Mene Kabhi Unke Qadd O Kamat Ko Dekha Na Mene Kabhi Unki Aawaz Suni*
Ek Martaba Bachpan Sharif Me Aap Tilawat E Qur'an E Majeed Farma Rahi Thi Tilawat Me Mahviyat Ka Ye Aalam Tha Ke Chadar Sharif Ser Mubarak Se Utar Gayi Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya...
*BETI SER PAR CHADAR ORDH LO AGARCHE GHAR ME KOI GAIR NAHI HAI LEKIN KHUDA KE MUQADDAS KALAM KI TILAWAT KAR RAHI HO...*
Esi Zehzadi Ki Sharm O Haya Ki Shaan Kitni Buland Hogi Jinki Muqaddas Maane Aisa Dars Diya Ho....
*SHOHAR KA AE'JAZ O AHTERAM...*
Aapne Hamesha Apne Shohar Ko Khush Rakhne Ki Koshish Ki Kisi Mouke Par Ranjida Na Hone Diya, Aapke Shohar Hazrat Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Bhi Aapse Hamesha Khush Rehte Aur Aapne Bhi Apni Puri Zindagi Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ko Khush Rakhne Ki Koshish Ki..
Jab Saiyedna Imam Hussain رضی الله عنہ Madina Taiyeba Se Rawana Hone Lage To Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ne Chaha Ke Aap Bhi Imam E Aali Maqam Ke Sath Safar Me Rahe, Ijazat Lene Ke Liye Apne Shohar Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Ke Pas Aayi Zuban Se To Kuch Na Keh Saki Albatta Aankho Se Aansu Jari Ho Gaye Hazrat Abdullah Ne Rone Ki Wajah Puchi To Batane Lagi Ki...
*MUJE APNE BHAI IMAM HUSSAIN SE BADI MUHABBAT HAI WO MADINA TAIYEBA SE FILHAL MAKKAH MUKARRAMA KI JANIB SAFAR KAR RAHE HAI, AGAR AAP IJAZAT DE TO IS SAFAR ME UNKE HUMRAH RAHU, AAPKE SHOHAR HAZRAT ABDULLAH NE IS KHAYAL SE KE AAPKI DIL AAZARI NA HO IJAZAT DE DI...*
*ZOHD-O-TAQWA....*
Duniya Ki Zeenato Aur Lazzato Aur Duniya Ke Saaz O Saman Aur Duniyawi Rahat Ko Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ne Kabhi Tarjeeh Nahi Di, Saari Umr Ibadat O Riyazat Me Guzari, Puri Umr Me Kabhi Aapki Namaz E Tahajjud Qaza Nahi Huyi.
Saiyedna Imam E Hussain رضی الله عنہ Aksar Farmaya Karte The Ke Meri Ye Behan Tahajjud Guzar Hai Aur Aapko Mukhatab Karke Farmate The Ke Aye Behan Meri Tamanna Hai Ke Tahajjud Ke Waqt Mere Liye Duwa Karo..
Hazrat Saiyedna Imam Zainul Aabedin رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Haadsa E Karbala Me Khooni Manzar Ko Dekhne Ke Sath-sath Bad Me Qaid Hokar Koofa Aane Aur Waha Qayam Ke Douran Fir Waha Se Dimashq Aane Aur Fir Dimashq Se Madina Taiyeba Aane Ke Douran
*MERI FUFI SAIYEDA ZAINAB UN MASAYIB O SHADAYID KE BAWAJOOD JO MULKE SHAAM KE SAFAR ME PESH AAYE NAMAZ E TAHAJJUD TARK NAHI KI....*
*AAPKA IMAAN O TAWAKKUL...*
Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Imaan O Tawakkul Ka Pura Andaza Isse Lagaya Ja Sakta Hai Ke Hazrat Saiyedna Imam Aali Maqam Ki Sahadat Ke Bad Jab Ahle Bayt E Athar Ki Khawatin E Mohtaram Ko Giraftar Karke Waha Se Guzara Gaya Jaha Saiyedna Imam Hussain رضی الله عنہ Aur Aapke Sathiyo Ke Muqaddas Jism Khoon Me Doobe Huwe Rett Par Pade Huwe The,
Us Waqt Saiyena Imam Hussain رضی الله عنہ Ki Sabira Bahen Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ne Bade Sabr O Sabaat Aur Ae'tmaad Aur Yakeen Ke Sath Bargaahe Rabbul Izzat Me Dashte Duwa Buland Karke Yun Arz Kiya...
*AYE ALLAH ! APNE DEEN KE TAHAFFUZ KE SILSILE ME HUMARI YE KURBANIYA QABOOL FARMA.....*
Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ka Muqaddas Tarze Amal Aapke Ma'rifat E Ilahi Aur Tawakkal Alallah Ke Aa'la Martabo Par Fayiz Hone Ki Badi Roushan Daleel Hai
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ke Dour E Khilafat Me Aap Koofa Me Apne Maqan Ke Andar Koofa Ki Aurto Ko Dars E Quran Diya Karti Thi..
Ek Din Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ma'mool Ke Mutabik Dars E Qur'an De Rahi Thi, Sureh Mariyan Ki Ayat کٓہٰیٰعٓصٓ Ki Tafseer Bayan Kar Rahi Thi Ke Itne Me Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Aa Gaye, Aapne Pucha Beti Aaj کٓہٰیٰعٓصٓ Ki Tafseer Bayan Kar Rahi Ho ??? Aapne Arz Kiya Haan Abbajaan !
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Farmaya *Beti Zainab ! Isme Bade Raazo Ka Samundar Hai, Ye Sunkar Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ki Aankho Me Aansu Aa Gaye...
*SAIYEDA ZAINAB KA TARIKHI KHUTBA JISNE QASRE YAZEED KE DAR O DEEWAR KO HILA DIYA....*
Sab Khoobiya Us Allah Taa'la Ke Liye Hai Jo Saare Jahano Ka Parwardigar Hai Aur Durood O Salam Ho Uske Pyare Rasool Aur Unki Aale Paak Par.
Allah Taa'la Ka Irshad E Barhaq Hai Ke Un Logo Ka Bura Anjam Hai Jo Barabar Bure Kaam Karte Rahe Aur Allah Taa'la Ki Ayato Ko Jhutlaya Aur Unke Sath Takaskhur Kiya..
Aye Yazeed ! Tujhd Bazahir Hum Par Zameen Ke Goshe Aur Aasman Ke Kinare Tang Kar Diye Aur Hume Qediyo Ki Trah Laaya Gaya Aur Tu Ye Guman Karta Hai Ke Hum Zaleel Aur Tu Jaleel Hai Aur Tu Isko Dekhta Hai Ke Duniya Tujhe Hasil Hai Aur Tamam Ashab Hai Aur Humari Saltanat Tere Qabze Me Ikhtiyar Me Hai Isliye Tu Naak Charha Kar Itra Raha Hai Aur Is Kaam Se Bada Khush Hai...
Thehar Jaa ! Aur Jaldi Naa Kar ! Kya Tu Khuda Ka Ye Farman Nahi Janta Ke Kafir Log Ye Gumaan Na Rakhe Ke Humne Unko Jo Dheel De Rakhi Hai Ye Unke Liye Behter Hai, Hum To Mehaz Isliye Unko Mohlat Dete Hai Ke Wo Dil Kholkar Gunah Ziyada Kar Le, Unke Liye Ruswa Karne Wala Azab Mojud Hai...
Aye Yazeed ! Tune Hunare Gham Ko Gehra Kar Diya Aur Zurriyate Rasool Aur Aulad E Abdul Muttalib Ko Sata Raha Hai Aur Zameen Par Unke Muqaddas Khoon Ko Bahakar Apne Gumaan Me Tune Inki Asl Ko Jadd Se Ukhad Diya...
Aye Yazeed ! An'qareeb Tu Iske Anjam Se Do Chaar Hoga, Is Waqt Tu Apne Rawaiyye Ki Buniyad Par Sochega Ke Kash Tere Hath Shal Hote Aur Jo Kuch Kaha Aur Kiya Hai Na Kehta Na Karta..
Meri Duaa Hai Ke Aye Allah ! Humara Haq Hume De De Aur Humpar Zulm Karne Walo Se Inteqam Le Aur Jin Logo Ne Humara Khoon Bahaya Hai Aur Humara Sath Dene Walo Ko Qatl Kiya Hai Inpar Apna Qehro Gazab Nazil Farma..
Aye Yazeed ! Khuda Ki Kasam ! Tune Apna Chamda Kaata Hai Aur Tune Apne Gosht Ke Tukde Kiye Hai To Nabi Ki Zurrtiyatki Touheen Karne Ka Bojh Uthakar Anqareeb Rasoolallah ﷺ Ki Bargah Me Hazir Hoga, Jab Roz E Qayamat Allah Taa'la In Sabko Ek Jagah Jama Karega Aur Unke Dushmano Se Inteqam Lega.
Aur Jo Log Allah Ki Raah Me Shaheed Hote Hai Unke Mutallik Qur'an Gawah Hai Ke Inke Murda Hone Ka Guman Bhi Na Karo, Wo Zinda Hai Aur Apne Parvardigar Ke Yaha Rizk Paate Hai..
Tere Liye Aye Yazeed ! Allah Taa'la Ka Hakim Hona Aur Nabi Ka Dushman Hona Aur Jibraeel Ka Tere Bar'khilaf Humara Madadgaar Hona Kafi Hai, Jin Logo Ne Tere Liye Jagah Hamwar Ki Aur Tujhe Musalmano Ki Gardano Par Musallat Kiya Unko Maloom Ho Jayega Ke Zalimo Ka Kis Qadr Bura Anjam Hai.
Aur Aye Yazeed ! Tujhe Ye Bhi Maloom Ho Jayega Ke Kiska Anjam Bura Aur Kiska Lashkar Kamzor Hai, Aur Aye Yazeed ! Ye Bhi Inqilab E Rozgaar Aur Hawadisat E Zamana Ka Shahkar Hai Ke Me Tujhse Khitab Karu, Tere Maqam Ko Isse Kahin Bura Aur Teri Zabro Tauheen Karne Ko Bahut Azeem Samajhti Hu.
Magar Kya Karu Ke Aankh Roti Hai Aur Dil Pursoz Hai, Kis Qadr Taa'jjub Ki Baat Hai Ke Shetani Giroh Aur Gulamzaado Ne Khuda Ke Najeeb Aur Chune Huwe Giroh Ko Qatl Kar Diya Hai.
Aye Yazeed ! Agar Tu Humari Zahiri Kamzori Ko Apne Liye Ganimat Samaj Raha Hai To Kal Qayanat Ke Din Teri Samaj Me Aa Jayega Jab Tu Hatho Ke Kartuto Ke Alawa Kuch Na Payega Aur Khudawande Quddus Apne Bando Par Zulm Nahi Karta Hum Khuda Ki Bargah Me Apna Haal Arz Kar Rahe Hai Aur Isi Par Bharosa Karte Hai..
Aye Yazeed ! Tu Jis Qadr Chahe Maqr O Fareb Kar Le Aur Jis Qadr Chahe Zulm Kar Le Tu Jo Kar Sakta Hai Kar Le Lekin Khuda Ki Kasam .
*TU HUMARE ZIKR E JAMEEL KO NAHI MITA SAKTA AUR NAA HI HUMARE MAQAM KI BULANDI KO CHOO SAKTA HAI AUR NA APNE KARTOOT KI BURAYI KO DOOR KAR SAKTA HAI.*
Aye Yazeed ! Teri Raay Aur Teri Koshish Kamzor Hai Ye Saltanat Kuch Din Ki Hai Aur Teri Jama'at Paraganda Hai, Aye Yazeed ! Woh Waqt Qareeb Hai Jab Ek Munadi Nida Karega La'nat Ho Aisi Qoum Par Jisne Ye Zulm O Sitam Kiya Hai..
Hamd O Sana Hai Us Allah Taa'la Ki Jisne Humare Pehlo Ka Khatima Saa'dat W Magfirat Ke Sath Aur Shahadat W Rehmat Ke Sath Farmaya, Hum Apne Usi Rabb Se Sawal Karte Hai Ke Wo Unke Ajro Sawab Ko Ziyada Se Ziyada Kare..
Aur Hume Unki Sahi Janasheeni Karne Ki Toufiq Ata Farmaye, Wo Bada Meharban Aur Rehmat Wala Hai, Wohi Humare Liye Kafi Hai, Wohi Humara Kaarsaaz Hai..
Sher E Khuda Ki Sehzadi Saiyeda Zainab Ke Is Khutbe Ne Yazeediyo Par Wo Asar Daala Ke Sab Aise Khamosh Ho Bethe The Jaise Saanp Sungh Gaya Ho, Kisi Ko Bat Karne Ki Jurr'at Na Ho Saki, Aapne Maazi W Mustaqbil Ke Wo Nakshe Kheech Kar Rakh Diye Ke Yazeedi Aiwan E Hukumat Ke Darr O Deewar Ko Hilakar Rakh Diya...
*AAPKA WISAL E PAAK...*
Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Wisal E Paak Ki Tarikh Me Ikhtelaf Paaya Jata Hai Lekin Kasrat E Raay Ye Hai Ke..
Aapka Wisal E Paak 15 Rajjab Ul Murajjab 62 Hijri Me Huwa Jab Aapke Shohar Abdullah رضی الله عنہ Mulke Shaam Ke Safar Me Jaa Rahe The, Aap Bhi Sath Thi To Damishk Ke Qareeb Aapka Wisal Ho Gaya, Wohi Aapko Dafn Kiya Gaya..
*Mazar E Muqaddas...*
Shehar Damishq Ke Qareeb Chaar-paanch Meel Ke Fasle Par Zainabiya Naami Ek Gaanw Hai, Wohi Aapka Mazar Sharif Hai, Damishk Se Bus Aati Jati Rehti Hai, Maqam E Zainabiya Se Kayi Meel Fasle Se Hi Aapka Mazar Sharif Ka Sabz Gumbadh Nazar Aane Lagta Hai Mazar Sharif Ke Qareeb Jo Darwaza Hai Uspar Likha Huwa Hai.
*SAIYEDA ZAINAB BINTE ALI E MURTAZA KA YE MAZARE MUQADDAS HAI.....*
HAZRAT SHAIKH ABU BAKR MUSLI KA TARIKA E ADAB...
Hazrat Shaikh Abubakr Musli رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Bayan Karte Hai Ke Mene Musalsal 12 Saal Hazrat Saiyeda Zainab E Qubra رضي الله تعالى عنها Ki Bargah E Aqdas Me Hazri Di, Mera Tarika Hazri Ka Ye Tha Ke
Jab Me Hazir Hota To Roza E Athar Ke Andar Nahi Jata Tha, Beiruni Hisse Me Qadam Sharif Ki Sidh Me Khada Ho Jata Aur Salam Arz Karta Fir Wapas Aa Jata Ya'ni Adab O Ehteram Ke Peshe Nazar Roza E Paak Ke Andar Jaane Ki Jurrat Na Karta.
Farmate Hai Ke Ek Roz Mene Khawab Me Dekha Ke Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Mazar E Muqaddas Se Bahar Tashrif Laayi Aur Bade Kareemana Andaz Me Farmaya
*Aye Bete ! Allah Tere Adab Ko Aur Ziyada Kare, Beshak Mere Nanajaan Aur Aapke Ashab Hazrat Ayman Jinhone Mere Nanajaan Ki Parwarish Ki Unki Wafat Ke Bad Ziyarat Kiya Karte The.*
Aapke Sohar Hazrat Abdullah رضی الله عنہ Ka Mazar Sharif Damishq Sehar Ke Jame'a Sageer Naami Ek Qabristan Me Hai....
AHLE BAIT E NABUWWAT KE FAZAIL.....
Allah Taa'la Chahta Hai Ke Tum Se Naapaki Door Kare Aye Ahle Bayt E Rasool Aur Tumhe Paak Kare Khoob Paak..
Aksar Mufassireen Ki Raay Hai Ke Ye Ayat E Kareema Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza کَرَّمَ اللہُ تَعَالٰی وَجہَهُ الکَرِیم Hazrat Saiyadatunnisa Fatima Zahra, Hazrat Imam Hasan Aur
Hazrat Imam Hussain Ke Haq Me Nazil Huyi...
Allah Tabarak W Taa'la Farmata Hai Aye Pyaare Mehboob ﷺ !
Farmadijiye Ke Aye Logo Me Tumse Is Hidayat W Tabligh Ke Badle Kuch Ujrat Wagaira Nahi Mangta Siway Karabat Ki Muhabbat Ke.
Hazrat Saiyedna Ibne Abbas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Jab Ye Ayate Kareema Nazil Huyi To Sahaba E Kiram Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ Wo Aapke Kareebi Log Koun Hai ??? Jinki Muhabbat Hum Par Wajib Ki Gayi ?? Sarkar Ne Farmaya Ali W Fatima Aur Unke Dono Bete
(Zarqani Sharif}
Ahle BaIt E Koun-koun Hazrat Dakhil....
Huzur Ke Ahle Bayt Me Huzur ﷺ Ke Nasab Aur Karabat Ke Ae'tbar Se Woh Log Hai Jinpar Sadka Haram Hai, In Ahle Bayt Me Huzur ﷺ Ki Ajwaz E Mutahharat Apki Biwiya{hum Musalmano Ki Maaye} Aur Hazrat Khatoon E Jannat Fatima Zahra, Hazrat Moula Ali Mushkil Kusha Aur Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Sab Dakhil Hai.
Huzur Ki Ajwaz E Mutahharat Ka Martaba...
Qur'an E Kareem Se Ye Sabit Hai Ke Nabi E Kareem ﷺ Ki Muqaddas Biwiya Martabe Me Sabse Ziyada Hai Aur Unka Azr Sabse Se Badhkar Hai, Duniya Jahan Ki Aurto Me Koi Unka Humsar Aur Hum Martaba Nahi.
Agar Auro Ko Ek Neki Par 10 Gunaa Sawab Milega To Unhe 20 Gunaa Kyunke Unke Amal Me Do Jahtte Ha. Ek Allah Taa'la Ki Bandagi W Itaa'at Aur Dusre Nabi E Kareem ﷺ Ki Raza Juyi W Itaa'at, Lihaza Unhe Auro Se Duna Sawab Milega.
PANJATAN E PAAK..
Huzur ﷺ Farmate Aur Moula Ali Aur Hazrat Bibi Fatima Zahra Aur Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Ko Panjatan E Paak Kehte Hai Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur ﷺ Ne Hazrat Moula Ali Mushkil Kusha, Saiyeda Fatima Zahra, Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ
Ko Apni Gali Me Aqdas {qambal Mubarak} Me Lekar Ye Duwa Farmayi
Ya Rabb ! Ye Mere Ye Mere Ahle Bayt Hai Aur Mere Makhsoos Hai, Inse Naapaki Ko Door Karde Aur Inhe Paak Kar De Khoob Paak.
Ye Duwa Sunkar Ummul Momineen Hazrat Umme Salma رضي الله تعالى عنها Ne Arz Kiya Me Bhi Inke Sath Hu. Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Umme Salma Tum Behtari Par Ho.
Aur Ek Riwayat Me Hai Ke Sarkar Ne Farmaya "Bala" Haan Beshak ! Aur Unhe Bhi Kambal Sharif Me Dakhil Farma Liya..
HAZRAT SAIYEDUNA ABBAS AUR AAPKI AULADE...
Sa'lbi Ka Khayal Hai Ke Ahle Bait Se Tamam Bani Hashim Murad Hai, Isko Is Hadees E Paak Se Taayid Pahuchti Hai Jisme Zikr Hai Ke Huzur ﷺ Ne Apni Rida {chadar Mubarak} Me Hazrat Saiyedna Abbas رضی الله عنہ Aur Unki Sehzadiyi Ko Liptakar Duwa Farmayi Jiski Tafseel Is Trah Hai
Ek Martaba Huzur E Akram ﷺ Ne Hazrat Abbas ... Se Farmaya : Aye Mere Chacha ! Apne Ghar Rehna Aur Apne Baccho Ko Bhi Bahar Mat Bhejna, Me Kal Tumhare Yaha Aaunga, Mujhe Tumse Kaam Hai, Fir Jab Huzur Aqdas رضی الله عنہ Unke Yaha Rounak Afrzo Huwe To Apni Chadar Sharif Me Dhaanpa Aur Yun Duwa Farmayi
AYE ALLAH ! YE MERE CHACHA AUR MERE WALID KE KAYIM MAQAM HAI AUR UNKE YE FARZANDAN MERE AHLE BAYT HAI IN SABKO AATISH E DOZAKH SE AISA HI CHUPA LE JIS TRAH MENE INHE APNI CHADAR ME CHUPA LIYA HAI, ISPAR UN SABNE AMEEN KAHI AUR GHAR KE DARR O DEEWAR NE AMEEN KAHI, EK AUR RIWAYAT ME AATA HAIKE GHAR KA PATTHAR YA DHELA AISA NAHI THA JISNE AMEEN NA KAHI HO...
Tirmizi Sharif Me Hai Ke Hazrat Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi Hai Ke Unhone Farmaya Ke Rasool E Kareem ﷺ Ne Hum Sabko Apni Chadar Sharif Me Chupa Liya Aur Uske Bad Yun Duwa Farmayi...
Ahle Bayt E Kiram Ke Fazaeel Bahot Hai, In Hazrat Ki Shaan Me Jo Ayate Aur Hadeese Warid Hai Un Ke Mutaale Se Maloom Hota Hai Ke
AHLE BAYT E KIRAM SE RABB TAA'LA NE NAPAKI KO DOOR FARMA DIYA HAI, UNHE KHOOB PAAK KIYA AUR JO CHEEZ UNKE MARTABE KE LAYIK NAHI PARWARDIGARE AALAM NE USSE MEHFOOZ RAKHA..
AHLE BAYT E RASOOL PAR DOZAKH KI AAG HARAM HAI.
SADKA UNPAR HARAM KIYA KE SADKA DENE WALE KA MAYL HAI.
AWWAL GIROH JISKI HUZUR SHAFA'AT FARMAYENGE HUZUR KE AHLE BAYT HAI..
AHLE BAYT KI MUHABBAT FARAYIZ E DEEN SE HAI AUR JO SAKSH UNSE BUGZ RAKHE WO MUNAFIK HAI.
AHLE BAYT KI MISAL HAZRAT NOOH ALEYHISSALAM KI KASHTI KI TRAH HAI JO USME SAWAR HUWA USNE NAJAT PAAYI AUR JO USSE KATRAYA HALAK W BARBAD HUWA.
AHLE BAYT E ATHAR ALLAH TAA'LA KI WO MAZBOOT RASSI HAI JISE MAZBOOTI SE THAMNE KA HUME HUKM MILA.
EK HADEES SHARIF ME HAI KE HUZUR AQDAS ... NE FARMAYA ME TUMME 2 CHEEZE CHORTA HU JAB TAK TUM UNHE NA CHOROGE HARGIZ GUMRAH NA HONGE.
EK AUR HADEES SHARIF ME HAI KE HUZUR NABI E KAREEM... NE FARMAYA KE
APNI AULAD KO 3 KHASLATE SIKHAWO...
APNE NABI KI MUHABBAT....
APNE NABI KE AHLE BAYT KI MUHABBAT AUR QUR'AN KI QIR'AT......
AHLE BAIT E ATHAR W SADAT E KIRAM KE FAZAEEL....
HADEES SHARIF KI ROSHNI ME AHLE BAYT W SADAT E KIRAM KE FAZAYIL....
Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya Me Tum Me 2 Cheeze Chorta Hu, Jab Tak Tum Unhe Na Choroge Hargiz Gumrah Na Honge...
Ek Aur Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya Apni Aulad Ko 3 Khaslate Sikhawo "Apne Nabi Ki Muhabbat" Apne Nabi Ki Ahle Bayt Ki Muhabbat" Aur "Qur'an Ki Tilawat"..
Ahle Bayt E Rasool Akram ﷺ Musalmano Ke Liye Duniya Me Kashti E Nooh Ki Manind Hai, Ahle Bayt Ki Muhabbat Unki Ita'at W Ittiba Zariya E Najat Hai..
Ahle Bayt Se Muhabbat Rasool E Kareem ﷺ Se Muhabbat Ki Alamat Hai...
Huzur E Akram ﷺ Ke Ghar Walo, Ajwaz E Mutahharat, Aulad E Paak Ki Muhabbat, Huzur E Akram ﷺ Ki Muhabbat Me Jeena Hai Aur Huzur ﷺ Ki Muhabbat Ka Zariya Hai...
Ahle Bayt E Athar Se Muhabbat Rakhne Walo Ko Rasoolallah ﷺ Ke Darbar Me Maqbooliyat Hasil Hoti Hai, Huzur Nabi E Kareem ﷺ Unse Raazi Aur Khush Hote Hai...
Ahle Bayt E Athar Ki Muhabbat Ka Takaza Hai Ke Tamam Sahab E Rasoolallah ﷺ Se Muhabbat Rakhi Jaaye, Jo Sahaba E Kiram رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Se Muhabbat Nahi Rakhta Woh Ahle Bayt E Athar Ka Bhi Mukhalif Hai Aur Rasool E Kareem ﷺ Ka Bhi Mukhalif W Baaghi Mardood Jahannami Hai...
Ahle Bayt Ki Muhabbat Ka Takaza Hai Unke Makam W Martabe Ki Marifat Hasil Ki Jaye, Kama Hakkahu Ta'zeem W Takrim Ki Jaaye, Unke Nakshe Qadam Ki Pairvi Ki Jaye...
Aale Rasoolallah ﷺ Ki Mar'efat [pehchan] Naar E Jahannam Se Aazadi Ka Sabab Aur Pulsirat Se Salamat Guzarne Me Aasani Ka Bayis Hai Aur Azab Se Bachne Ka Zariya Hai...
Ahle Bayt Ki Muhabbat Ka Matlab Ye Hai Ke Unpar Aetemad Kiya Jaaye Unke Farman Ki Taa'meel Ki Jaye....
*YAAD RAHE KE AHLE BAYT KI ITA'AT BHI UNHI EHKAAM ME HAI JO KHILAF E SHAR'A NA HO...*
Ahle Bayt Aur Qur'an Lazim W Malzoom Hai, Ahle Bayt E Athar Ke Aqaeed W Aa'mal Qur'an W Hadees Ke Khilaf Nahi Ho Sakte, Ye Paak Baaz Hai, Mulhid, Gumrah Aur Be-Deen Nahi Ho Sakte.
Isi Liye Farmaya Gaya Ke Tum Qur'an Aur Ahle Bayt Ki Mazbooti Se Thaame Rahoge To Gumrah Na Honge...
Ahle Bayt Ke Bare Me Allah Taa'la Se Darte Rehna Lazim Hai Ke Kahin Unki Be'adabi W Gustakhi Ya Unki Touheen W Tankees Na Hone Paaye..
Imaan Ki Zeenat, Deen Ki Rounak, Qur'an Majid Aur Ahle Bayt E Athar Se Hai, Ye Dono Ese Bhari Bharkam Ya Nafees Tareen Cheeze Hai Jo Mata E Imaan Me Sabse Ziyada Keemti Hai...
Qur'an W Ahle Bayt Medan E Mehshar Me, Houz E Kousar Par RasoolAllah ﷺ Ki Bargah E Auliya Me Apne Muhibbin W Mutbayin Ki Sifarish Karenge Aur Unki Shifarish Maqbool Hogi...
Ahle Bayt E Athar Ne Kabhi Namaz Nahi Chori, Ahle Bayte Athar Deen E Islam Ki Zeenat Hai.
Huzur ﷺ Ne Farmaya Aale Muhammad ﷺ Ki Pehchan Jahannam Se Aazadi Ka Sabab Hai, Aale Muhammad ﷺ Ki Muhabbat Pulsirat Se Salamat Guzarne Me Aasani Ka Bayis Hai, Aale Muhammad ﷺ Se Dosti Rakhna Azab E Qabr Se Bachne Ka Zariya Hai...
Hazrat Imam Qazi Ayaz Maliki رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Ba'az Ulema Ne Farmaya Ki .
Aale Muhammad ﷺ Ki Pehchan Ka Matlab Ye Hai Ke Rasool E Kareem Ki Nisbat Se Unhe Jo Izzat W Martaba Hasil Hai Use Pehchan Liya To Uski Wajah Se Usne Unke Haq Aur Unki Hurmat Ke Wajib Hone Ko Pehchan Liya.
(Ash'shifa, Jild-02)
Huzur ﷺ Apni Ummat Ke Har Nek W Bad Aadmi Aur Har Nek W Bad Amal Ko Jante Hai Aur Dekhte Hai, Huzur ﷺ Ki Nisbat Ke Lihaz W Adab Se Aadmi Ka Anjam Accha Hota Hai Lihaza Har Us Cheez Ka Dil Me Adav W Ehteram Rakhna Chahiye Jiska Huzur ﷺ Se Ta'lluk Ho.
BARGAAH E ILAHI ME ILTEJA W DUWA.
Bargahe Ilahi Me Ilteja W Duwa Hai Ke Apne Habib Sarkar E Do Aalam Huzur ﷺ Ke Sadqe Me Apne Mehboob Ki Aur Qur'an Majeed Aur Ahle Bayt E Athar ki Sacchi Muhabbat Ata Farmaye Aur Unke Hukook Ada Karne Ki Toufik Ata Farmaye.
Ameen..
SADAT E KIRAM(SAIYEDO) KI BARGAH ME MOA'DABANA GUZARISH...
Sadat E Kiram Se Takhallus W Khaksari Se Aajizana W Moa'dabana Apeel Hai Ke Woh Apni Wirasat Ki Shaan Dobala Karte Huwe Apne Kirdar W Amal Me Aisa Rang Dikhaye Ke Gulaman E Rasool Aur Awamunnas Jise Dekhkar Be-Sakhta Keh Uthe Ke YEH HAI AULAD E RASOOL ﷺ.
Bas Yahi Humari Aazizana Guzarish Hai Aur Yahi Humari Aap Hazraat Ke Liye Mukhlisana Tamanna W Aarzu Hai...
MUKAMMAL..
SubhanAllah SubhanAllah 🌹
ReplyDeleteSHUBHANALLAH SHUBHANALLAJ
ReplyDelete