💟SEERAT E PAAK KHATOON E JANNAT💟
SEERAT E PAAK SEHZADI-E-RASOOL ﷺ SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها......
"SEERAT-E-PAAK"
*SEHZADI-E-RASOOL ﷺ SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها......*
💓🧡🧡💛💛💜💜💓
Is Mazmoon Ko In Qitabo Se Taritib Diya Gaya hai....
Sawaneh Karabala..
RozatushSohda...
Noor Ul Ayen Fi Mash'hadil Hussain...
Auraqe Ghum..
Nuzhatul Majalis - Iska Urdu Tarjuma...
Zeenatul Mahafil...
Durratunnasihin Sharif - Iska Urdu Tarjuma...
Mufidul Wayezin
Anisul Wayezin - Iska Urdu Tarjuma.
Nafisul Wayezin....
Sahadat E Nawasa E Abrar....
Madarij Un Nabuwwah...
Safeena E Nooh, Wagairah...
*APKI WILADAT-E-PAAK SE WISAL-E-PAAK TAK KA TAFSEELI BAYAN....*
﷽
*SEHZADI-E-RASOOL ﷺ SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها....*
AAPKE WALID MAJID:- *Huzur Saiyedna Muhammad Mustafa ﷺ....*
AAPKI WALIDA MAJEDA:- *Ummul Momineen Hazrat Saiyeda Khadijat-Ul-Qubra رضي الله تعالى عنها...*
AAPKA NAAM-E-PAAK:- *Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Huzure Aqdas ﷺ Ne Aapka Naam-E-Paak Fatima Aur Kunniyat Umme Muhammad Rakhi...*
AAPKE ALQABAT:- *Raaziya, Marziyya, Maimuna, Zakiya, Batul, Zahra...*
ZAHRA:- *Zahra Ke Ma'na Hai KLI(कली) -Nihayat Khubsurat...*
ALLAH Taa'la Ne Aapko Bahot Hi Zyada Husno Jamal Ata Farmaya Tha, Chunache Hazrat Anas Bin Malik رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Mene Apni Walida Majeda Se Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Mutallik Pucha To Farmaya *Saiyeda Fatima Choudhvi Ke Chand Ki Trah Haseen-O-Jameel Thi....*
BATUL:- *Batul Ke Ma'na Hai-Duniya Se Be-Ta'lluk....*
Chunke Aapki Tawajjoh Duniya Aur Uski Aish-O-Ishrat Ki Taraf Nahi Thi Balki Har Waqt ALLAH Taa'la Ki Taraf Rahi hai ISILIYE AAPKO *BATUL* KEHTE HAI....
TAHERA-W-ZAKIYA:- *Tahera-W-Zakiya Ka Ma'na Hai PAAK-SAAF...*
Chunke Bachpan Hi Se Huzur ﷺ Ki Nazre Rehmat Aur Faizane Muhabbat Se Aapke Batin Ka Tazkira Ho Chuka Tha Aur Aapko Zahiri-W-Batini Taharat-W-Pakizgi Hasil Ho Chuki Thi, Isi Liye Aapka Laqab *TAHERA-W-ZAKIYA* Huwa...
RAAZIYA-E-MARZIYA:- *Chunke Aap Har Waqt ALLAH Taa'la Ki Raza Par Raazi Rehti Thi, Isi Liye Aapko RAAZIYA-E-MARZIYA Bhi Kehte hai...*
AABEDA-W-ZAHEDA:- *Chunke Aap Puri Zindagi Zohdo Ibadat Me Guzri, Isliye Aapko AABEDA-W-ZAHEDA Laqab Se Bhi Yaad Kiya Jata hai...*
AAPKI WILADAT-E-PAAK...*
Aapki Wiladat-E-Paak Ke Bare Me Kayi Qoul Hai Hai, Ek Qoul Ye Hai Ke Huzur ﷺ Ke Elaan-E-Nabuwwat Se 5 Saal Pehle Aapki Wiladate Paak Huyi, Aur Dusra Qoul Ye Hai Ke Huzur ﷺ Ke Elaan-E-Nabuwwat Ke Pehle Saal Aapki Wiladate Paak Huyi...
Shaikh Abu Muhammad Khasshab Apni Qitab Mawalid Me Hazrat Saiyedna Imam Muhammad Bakir رضی الله عنہ Se Naqal Karte Hai Ke Hazrat Saiyedna Imam Muhammad Bakir رضی الله عنہ Ne Farmaya...
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Wiladate Paak Huzur ﷺ Ke Elaan-E-Nabuwwat Ke 5 Saal Bad Huyi....*
AAPKI HAQEEQI BEHNE:- Hazrat *UMME KULSUM*, *Hazrat RUQAIYA* رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ.....
AAPKE HAQEEQI BHAI:- Hazrat *QASIM* *Hazrat ABDULLAH* رضي الله عتهما....
Hazrate Qasim رضی الله عنہ Ki Wajah Se Huzur ﷺ Ki Qunniyat *ABUL QASIM* Huyi, Aur Hazrate Abdullah رضی الله عنہ Ka Laqab Mubarak *Taiyeb-W-Tahir* Tha...
WISAL-E-PAAK:- 3 Ramzan Mubark, Hijri 11, Ba-Roz Mangal Ki Raat Me Rasool-E-Paak ﷺ Ke Wisale Paak Ke Kamo'besh 6 Mahine Ke Bad...
MAZAR-E-PAAK:- Mashoor Riwayat Ki Buniyad Par Madina Taiyeba Ka Qabristan *JANNAT'UL'BAQI* Sharif Me...
HAZRAT SAYEDA FATIMA WALIDA MAJIDA KE SHIQAM-E-PAAK ME....*
Shiqam-E-Walida Me Bate:- Ummul Momineen Sayeda Hazrat Khadijat-Ul-Qubra رضي الله تعالى عنها Farmati hai...*
Jab Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Jab Mere Shiqam-E-Paak Me Jalwagar Huyi To Muje Kisi Kism Ki Girani Mehsoos Nahi Hoti Thi Balke Sayeda Fatima Mujse Bate Kiya Karti thi..
Sahibe Rozatul Wayezin* Likhte hai Ke Jab Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Apni Walida Majida Ke Shiqam-E-Paak Me Jalwa Farma Huyi To Huzur Sayede Aalam ﷺ Ne Hazrate Khadijat-Ul-Qubra رضي الله تعالى عنها Se Farmaya...
AYE KHADIJA ! Mujko Rooh-Ul-Amin عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Khabar Dee Hai Ke Tumhare Shiqam-E-Paak Me Jo Sahibzadi Hai Jab Ye Payda Ho To Inka Naam FATIMA Rakkha Jaye Ke Ye Unka Nasli Naam hai, Fatima Ke Ma'na Hai PAAK, PAKIZA, BA-BARKAT, BAHOT KHUSH AKHLAK,....
Hazrate Anas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya...
Mene Apni Is Beti Ka Naam Fatima Isi Liye Rakkha Hai Ke ALLAH TAA'LA Ne Meri Is Beti Aur Isse Muhabbat Rakhne Walo Ko Jahannam Se Aazad Farma Diya hai....*
(SAWAIKE MOHREKA, SAFA-151)
Jab Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Wiladate Paak Ka Waqt Kareeb Aaya To Us Waqt Hazrat Sayeda Khadijat-Ul-Qubra رضي الله تعالى عنها Apne Hujre Paak Me Tanha Thi Ke Achanak 4 Khawatine Mohtarma Kum Gandumi Rang Wali Aapke Samne Zahir Huyi...
Hazrat Sayeda Khadijat-Ul-Qubra رضي الله تعالى عنها Ne Jab Un 4 Khawatine Mohtarma Ko Dekha To Aap Par Kuch Khouf Aur Ghabrahat Ka Asar Huwa To Un Charo Khawatine Mohtarma Ne Tasalli Dete Huwe Kaha Ke Aap Khouf Na Kare Hume ALLAH TAA'LA Ne Aapki Khidmat Ke Liye Bheja hai, Hum Tumhari Behne Hai, Fir Unme Se Ek Khatoone Mohtaram Ne Apna Ta'roof Karate Huwe Kaha ke...
ME HAZRAT SAARA HU, YE HAZRAT MARIYAM HAI, AUR YE HAZRAT MOOSA عَلَيـهِ السَّــلَام KI BEHAN KULSUM HAI, AUR YE HAZRATE ASIYA رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ.....
Fir Ye 4 Khawatine Mohtaram Ummul Momineen Hazrat Saiyeda Khadijat-Ul-Qubra رضي الله تعالى عنها Ke Ird-Gird Beth Gayi, Jab Sayeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ki Wiladate Paak Huyi Aur Aapko Hatho Me Liya gaya *To Ek Noor Hujra-E-Paak Me Chamka Jisse Pura Hujra Roshano Munawwar Ho Gaya*....
Ek Riwayat Me Hai Ke Usi Waqt Bahishte Bari Se 10 Hoore Ba-Hukme Ilahi Ek Tasht Aur 4 Lote Jo Aab-E-Kousar Se Bhare Huwe The Liye Hazir Ho Gayi...
Fir Un 4ro Khawatine Mohtaram Aur Un 10 Hooro Ne Hazrat Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Us Noorani Tasht Me Bithakar Aabe Kousar Se Nehlaya Fir Ek Safaid Kapda Jo Jannati Itar Se Moa'ttar Tha Usme Aapko Lapeta Aur Esa Hi Ek Kapda Jo Jannati Itaro Se Basaya Huwa tha Batoure Makn'a Ke Aapke Ser-E-Mubarak Par Bandha Aur Aapko Hazrat Saiyeda Khadija رضي الله تعالى عنها Ki Godd Me De Diya gaya...
Fir Thodi Der Me ALLAH Ke RASOOL ﷺ Tashrif Laye Ummul Momineen Hazrat Syeda Khadija رضي الله تعالى عنها Ne Aapko Huzur ﷺ Ki Aagoshe Mubarak Me De Diya....
SAYEDA FATIMA رضي الله تعالى عنها KI SHADI MUBARAK...*
Aapki Shadi Mubarak Ke Mutallik Jab Kabhi Aqabir Sahaba-E-Kiram رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Huzur Sarware Qaynat ﷺ Ki Bargah Me Arz Karte to Huzur Sayede Aalam ﷺ Irshad Farmayte Ke *IS MUAMMLE ME HUKM-E-ILAHI KA MUNTAZIR HU...*
Manakib-E-Abul Muaiyyed Khawarzami Me Hai Ke Ek Roz Huzur Syede Aalam ﷺ Ummul Momineen Hazrat Umme Salma رضي الله تعالى عنها Ke Hujre Paak Me Tashrif Farma The Ke Ek Farishta Khidmat-E-Aqdas Me Hazir Huwa Jiske 20 Ser The Aur Har Ser Ke Munh Me 1000 Zabane Thi Aur Woh Har Zuban Se Tasbih-O-Tehlil Karta tha...
Huzur Syede Aalam ﷺ Ne Khayal Farmaya Ke Shayad Ye Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Hai, Farmaya Ke Aye Hazrat Jibrareel ! Aajse Pehle Tum Kabhi Is Soorat Me Nahi Aaye Ye Kya Muammla Hai??? Aane Wale Farishte Ne Arz Kiya Ke Huzur Me Jibraeel Nahi Hu, Mera Naam Zarzaeel Hai, ALLAH TAA'LA Ne Muje Aapki Khidmat Me Isliye Bheja hai Ke *NOOR KA AQD NOOR SE KAR DU...
Huzur Sarware Qaynat ﷺ Ne Farmaya Ke Zarzaeel Saaf-Saaf Batao Ke Kis Noor Ka Aqd Kis Noor Se Karne Aaye ho ?? Hazrat Zarzaeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Arz Kiya...
Aapki Sehzadi Sayeda Fatima Zahra Ka Aqd Hazrat Ali-E-Murtuza Se Karne Ke Liye Aaya Hu...*
Huzur ﷺ Ne Usi Waqt Hazrate Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ko Bulaya Aur Hazrat Zarzaeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Mojudgi me Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Aapka Aqd Kar diya...
Ek Riwayat Hazrat Anas Bin Malik رضی الله عنہ Se Is Trah Hai Ke Aap Farmate Hai Ke Me Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Tha Ke Aap Ke Chehre Par Aasare Wahi Zahir Huwe, Thodi Der Bad Jab Wahi Ka Nuzool Mukammal Ho Gaya To Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Aye Anas Tumhe Maloom Hai Ke Is Waqt Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Khuda Ki Taraf Se Paigam Lekar Aaye hai ??
Hazrate Anas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Mene Arz Kiya Mere Maa-Baap Aap Par Kurban Ho ALLAH AUR ALLAH KA RASOOL Behter Janne Wala hai, Huzur ﷺ Ne Farmaya Aye Anas ! Paygam Ye Tha Ke *HAQ TAA'LA FARMATA HAI KE SAYEDA FATIMA KA AQD ALI-E-MURTUZA SE KAR DO....
Uske Bad Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Aye Anas Jao ! Aur Shurfa-E-Muhajirin Me Se *Abu Bakr, Umar Farook, Hazrate Usman, Talha-W-Zubair* Aur Akabeer-E-Ansar Me Se Sa'ad Bin Abi Waqqas, Ma'az Bin Jabal, Ubada Bin Saamit Aur Usaid Bin Huzair رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Ko Bula Lawo...
Hazrate Anas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Me Gaya Aur Un Tamami Sahaba-E-Kiram Ko Huzure Aqdas ﷺ Ka Paigam Diya Ke Huzur ﷺ Ne Aap Logo Ko Yaad Farmaya Hai, Ye Tamami Sahaba-E-Kiram Usi Waqt Khidmate Aqdas Me Hazir Ho Gaye Hazrat Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Bhi Isi Majlis Me Hazir The, Nikah Ki Ye Majlis Bad Namaze Zohar Maahe Zul'hijja Me Masjide Nabawi Sharif Me Mun'aqeed Huyi..
Huzur ﷺ Ne Ek Faseeh-O-Baligh Khutba Padha Jisme Khuda Ki Hamd-O-Sana Ke Bad Targibe Nikah Ka Mazmoon Tha *Fir Farmaya Muje Hukme Ilahi Hai Ke Me Fatima Ko Ali Ke Aqd Me De du, Lihaza Inka Mehar 400 Misqal(Ya'ni Dedh Tola) Chandi Mukarrar Karta hu, Aye Ali ! Tum Manzoor Karte ho??? Hazrat Ali-E-Murtuza Ne Arz Kiya Me Ba'Khubi Manzoor Karta hu* Huzur ﷺ Ne 3 Bar Iski Takrar Farma Kar Aakhir Me Is Trah Duwa ki...
JAMA KARE ALLAH TAA'LA TUMHARI PARAGANDAGI KO AUR BHALAIYA TUMHARE QAREEB RAHE AUR BARKAT DE, ALLAH TAA'LA TUMHARE ANDAR AUR TUMSE NEK AUR PAAK AULADE ATA FARMAYE....*
Gunahgar Ummat Ki Bakshish Mera Mehar Mukarrar Ho...
Hazrat Sayeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ka Jab Wisale Paak Qareeb Aaya To Ameer-Ul-Momineen Sayedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ne Farmaya Ke Aye Sehzadi-E-Rasool Jab Aap ALLAH Ke Pyare Habib ﷺ Ki Bargah Me Pahuche To Mera Salam Arz Kare Aur Ye Kahe ki Ali-E-Murtuza Aapke Bahut Mushtaq Hai...
Hazrat Sayeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ne Kaha Ke Aye Ali-E-Murtuza Meri Bhi Aapko Wasiyyat Hai Wo Ye Hai ke *Jab Mera Inteqal Ho Jaye To Mujpar Cheekh Chilla Kar Matam Naa Karna, Aur Mere Dono Sehzado Hasan Aur Hussain Ko Marna Nahi,* Aur Aye Sher-E-Khuda ! Wo Dekhiye Huzur ﷺ Farishto Ki Kaseer Jama'at Ke Sath Tashrif Le Aate hai, Ab Me Jaa Rahi Hu *Aur Fula Jagah Mene Kagaz Ka Ek Tukda Badi Hifazat Se Rakha hai, Mere Inteqal Ke Bad Use Nikalkar Mere Kafan Me Rakh Dena Aur Use Padhna Nahi...*
Hazrat Saiyedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ne Farmaya Ke Aye Sayeda Fatima ! RASOOLALLAH ﷺ Ka Wasta Dekar Kehta Hu Ke Muje Batao Ke Us Kagaz Me Kya Likha Hai ? Hazrat Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Ke...
JAB MERA NIKAH AAPSE HONE LAGA THA TO HUZUR ﷺ Ne Mujse Farmaya Ke Beti Fatima Me Ali Se 4 Mishqal Chandi Ke Mehar Par Tumhara Nikah Kar Raha hu, Mene Arz Kiya YA RASOOLALLAH ﷺ ! Ali Muje Manzoor Hai Lekin Mehar Manzoor Nahi Ke Itne Me Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Hazire Khidmat Huwe Aur Arz Kiya Huzur ﷺ Khuda Farmata Hai Ke Me JANNAT AUR USKI NE'MATE Fatima Ka Mehar Mukarrar Karta hu....*
Huzure Aqdas ﷺ Ne Muje Iski Khabar Di To Bhi Me Raazi Na Huyi To Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Beti Fatima ! Tum Hi Batao Ke Mehar Kya ho ?? To Mene Arz Kiya Ke Ya RASOOLALLAH ﷺ *Aap Har Waqt Ummat Ke Ghum Me Rehte hai Lihaza Me Chahati Hu Ke Aapki Gunahgar Ummat Ki Bakshish Mera Mehar Mukarrar ho...*
Chunache Hazrate Jibrareel عَلَيـهِ السَّــلَام Wapas Gaye Aur Fir Kagaz Ka Ye Tukda Lekar Aaye Jisme Likha hai *MENE UMMATE MUHAMMADI KI SHAFA'AT FATIMA KA MEHAR MUKARRAR KIYA*....
(JAMI'UL'MOJIZAT, BA-HAWALA, SACCHI HIQAYAT)
Goya Ke Saiyeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ne Bargahe Risalat Me Arz Kiya hai YA RASOOLALLAH ﷺ ! Maal-O-Doulat Ka Mehar To Har Koi Deta hai *Magar Mera Mehar Nirala Aur Be Misl ho* Aur Woh Yeh Ke Mera Mehar Naa Sirf Mere Liye Nafa Baksh Ho Balke Aapki Ummat Ke Gunahgar Bhi Isse Mustafid Ho Isliye *Mera Mehar Shafa'ate Ummat Mukarrar ho....*
Huzur ﷺ Ke Sadqe Me Hum Gunahgaro Par ALLAH Ka Bada Fazlo Karam Hai Me Huzur ﷺ Ki Sehzadi Ko Bhi Hum Gunahgaro Ka Khayal Raha Ke Woh Humari Bakshish Ka Intezam Farma Gayi Fir Ye Kehna ke In ALLAH Walo Se Kuch Hasil Nahi Hota, Kis Qadr Jahalat ki Bat hai Aur Ye Bhi Maloom Huwa Ke Cheekh Chillakar Rona Aur Matam Nahi Karna Chahiye....
Ye 3 Bar Ijab-O-Qabool Bhi Isiliye Sunnat Hai Ke Huzur Ne 3 Bar Takrar Farmayi...
Manakib-E-Khawarzami Me Ek Riwayat Hai Ke Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Huwe Aur Kuch Jannati Mewe Khidmat Me Pesh Kiye Huzur ﷺ Ne Farmaya AYE JIBRAEEL ! Ye Kese Mewe Hai ?? Hazrate
Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Arz Kiya..
YA RASOOLALLAH ﷺ ! Aaj Tamam Farishto ko Baitul Muqaddas Me Jama Hone Ka Hukm Huwa Hai Aur Tamam Hoorane Bahishti Aarasta Ki Gayi Hai Aur Rajil Farishte Ko Hukm Huwa Hai Ke Wo Mimbare Noori Par Jo Khutbagaahe Aadam Safiyullah Hai Waha Khutba Padhe Aur Sayeda Fatima Ka Aqd Sher-E-Khuda Ali Murtuza Se Kare Aur Jannat Ke Mewe Farishto Aur Hoorane Bahishti Par Lootaye....*
Is Sunnat Ke Tahat Bhi Nikah Me Khurme Khane Sunnat Huwe, Chunache Is Mubarak Juloos Se Fursat Pakar Me Ba'hukme Ilahi Is Muammle Ki Ittela Dene Aapki Khidmate Aqdas Me Hazir Huwa Hu Aur Yeh Ke Hukme khuda Hai Ke Aap Bhi Roo-E-Zameen Par Is Amal Ko Pura Farma Dijiye..
Chunache Huzur ﷺ Ne Bhi Ansar-O-Muhajireen Ko Jama Karke Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ka Aqd Hazrat Sayedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Se Karke Unhe Ali Ke Ghar Rukhsat Farmaya...
SAYEDA FATIMA رضي الله تعالى عنها KI SHADI MUBARAK...*
Isha Ki Namaz Ke Bad Huzur ﷺ Ali Murtuza رضی الله عنہ Ke Makan Par Tashrif Le Gaye Aur Ek Quza Paani Par *Sureh Falak Aur Sureh Naas* Aur Ek Duwa Padhkar Pani Par Dumm Karke Sayeda Fatima Zahra Aur Ali-E-Murtuza Ko Thoda-Thoda Pilaya Aur Thoda Paani Ser Aur Seene Par Dala...
Fir Aapne Ye Duwa Farmayi *Aye ALLAH Ye Dono Mujhse Hai Aur Me Inse Hu, Aye ALLAH Jis Trah Tune Mujse Gandagi Ko Door Farmakar Paak Kiya Inko Bhi Paak Farma...
Ye Duwa Farmakar Jab Huzur ﷺ Wapas Tashrif Le Jane Lage To Hazrat Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Rone Lagi Huzure Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke *Beti Roti Kyu Ho Naa Roo ! Mene Tumhara Nikah ALLAH Ke Hukm Se Ali-E-Murtuza Se Kar Diya Hai, Beti Tum Janti ho Ke Ali-E-Murtuza Islam Me Awwal Hai, ALLAH TA'ALA Ne Ali Ko Ganzina-E-Irfan Banaya hai, Fir Farmaya Me Sehre Irfan Hu To Ali-E-Murtuza Darwaza-E-Sehre Irfan hai...*
Nikah Sharif Ke Waqt Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Umar Sharif 15 Ya Saadhe 15 Saal Thi, Aur Hazrat Sayedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ki Umar Sharif 22 Saal Ki Thi....
SAYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها KA JAHEZ MUBARAK...*
Hazrat Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Us Jahez Mubarak Ki To Koi Haddo Inteha Nahi Jo Unhe Bargahe Ilahi Se Akhirat Me Milega Lekin Duniya Me Jo Jahez Huzure Aqdas ﷺ Ne Hazrat Sayeda Ko Ata Farmaya Uski Tafseel Is Trah hai...
DO JODE KAPDE, CHANDI KE DO BA'AZU BANDH, EK LAKDI KA PYALA, EK CHAKKI, DO GLASS, EK MASHK, EK KATORA PANI PINE KA, DO RZAYI JO QANTAN SE BHARI HUYI THI, CHAR GADDE DO AURAN SE BARE HUWE THE AUR DO KHAJUR KI CHAAL SE BHARE HUWE THE, EK CHADAR SHARIF JISME 70 PAIWAND LAGE HUWE THE, EK TAKIYA JISME KHJUR KI CHAL BHARI HUYI THI, HATHI DAANT KA GALE KA HAAR, EK JODA KHADAU....*
Hazrat ALLAMA Mufti Ahmed Yaar Khan Sahab Nayimi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Ne In Riwayat Ka Khulasa Ash'aar Ki Shakl Me Is Trah Bayan Farmaya Hai, Mulahiza Farmaye...
Ghar Se Ruksat Jis Ghadi Zahra huyi, Walida Ki Yaad Me Rone Lagi*
Dee Tasalli Ahmed-E-Mukhtar Ne, Aur Farmaya Shahe Abrar Ne*
Fatima Har Trah Se Baala Ho Tum, Meyka-O-Saural Me Aala Ho Tum*
Baap Hai Tere Imam-Ul-Ambiya, Aur Sohar Auliya Ke Peshwa*
Sehzadi Sayede Qounen Ki, Be Sawari Hi Ali Ke Ghar Gayi*
Maah-Zil Hijja Me Jab Rukhsat Huyi, Tab Ali Ke Ghar Me Ek Dawat Huyi*
Jisme Thi 10 Sair Jow Ki Rotiya, Kuch Paneer Aur Thode Khurme Be'guma*
Is Ziyafat Ka Walima Naam Hai, Aur Ye Da'wat Sunnate Islam Hai*
Sabko Inki Raah Pe Chalna Chahiye, Aur Buri Rasmo Se Bachna Chahiye*
Waste Jinke Bane Hai Do Jahan, Inke Ghar Thi Saadi Shadiya*
Sahibe Loulak Par Lakho Salam, Inki Aale Paak Par Lakho Salam*
Hazrat Sayeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Jahez Paak Se Mutallik Hazrat Allama Abu Bakr Toosi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Ne Apni Qitab *"SITTIN JAMI-UL-LATAEEF ASSB ABATIN"* Me Ek Riwayat Is Trah Naqal Ki Hai..
Madina Taiyeba Ke Munafik Me Se Ek Munafik Ne Ek Martaba Hazrat Sayedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Se Kaha Aye Ali ! Tumne Kaha Shadi Ki ?? Tumhe Waha Se Kya Jahez Mila Hoga ?? Agar Meri Ladki Se Shadi Karte to Me *Jahez Me Apne Ghar Se Tumhare Ghar Tak Maal-O-Asbab Se Ladde Huwe Ounto Ki Qatar Laga Deta...*
Hazrat Saiyedna Ali-E-Murtaza رضی الله عنہ Ne Farmaya *Ye Shaadi Na Taqdeer Se Huyi Na Tadbeer Se Balke Ye Shaadi Hukme Ilahi Se Huyi hai* Aur Fir Farmaya Ke *Meri Nazar Duniya Ke Maalo Saman Par Nahi Hai Balke Mera Maqsad Sirf Aur Sirf Raza-E-Ilahi Hai.*
Humari Izzat Dirham-O-Deenar Aur Maal-O-Aa'mal Se Nahi hai, Humari Izzat-O-Wajahat ALLAH Aur Uske Pyaare Rasool Ke Karam Se hai..
Jab Hazrat Sayedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Is Munafiq Ko Ye Jawab De Chuke To Gaib Se Aawaz Aayi Aye Ali Upar Dekho Aur Syeda Fatima Zahra Ke Jahez Ka Jo Muqabla Kare Usko Dikhawo, Chunache Jab Aapne Bhi Apne Ser-E-Mubarak Ko Upar Uthaya Aur Us Munafik Se bhi Farmaya Ke Tu Bhi Ser Utha Kar Dekh...
Jab Aapne Mulahiza Farmaya to Us Munafik Ne Bhi Dekha *Pura Medan Aasman Tak Jannati Ounto Se Bhara Huwa hai Aur Har Ount Jannati Maal-O-Saman Se Bhara Huwa Hai Aur Har Ount Par Ek Haseen-O-Jameel Qaneez Bhi Bethi Huyi hai....*
Fir Gaib Se Aawaz Aayi *Ye Fatima Binte Muhammad Mustafa ﷺ Ka Jahez Hai...*
Ye Tamam Maal-O-Saman Mulahiza Farmakar Hazrat Syedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ne Munafiq Se Farmaya Ke Ab Zara Mere Sath Mere Ghar Tak Chalta Ke Me Tujhe Sayeda Fatima Ka Jahez Dikhau, Jab Aap Us Munafiq Ko Lekar Makan Par Tashrif Laye To Syeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Ke *AYE ALI-E-MURTAZA AAP BAYAN KARTE HO YA ME KARU*??? ....
Hazrat Ali رضی الله عنہ Ne Farmaya Kis Cheez Ke Bare Me ? To Syeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya ke *MUNAFIQO KO ZALEEL KARNE KE LIYE MIN JANIBE ILAHI AAPNE JO GAYBI AAWAZ SUNI AUR JO MERA JAHEZ MULAHIZA FARMAYA* Ye Sunkar Wo Munafiq Bahut Sharminda Aur Zaleelo Khawar Hokar Wapas Chala Gaya...
Hazrat Mulla *MOINUDDIN KASHFI* Rehmatullah Alayhi Apni Qitab *MERAJ-UN-NABUWWAH* Me Syeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ke Jahez Ke Mutallik Ek Riwayat Is Trah Naqal Farmayi hai...
Ek Martaba Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Hazrat Suleman عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Apni Sehzadi Ko Bada Zabardast Jahez Diya tha, Aur Apne Damad Ke Liye Ek Taaj Taiyar Karaya tha Jisme 700 Sacche Nagine, Heera, Yaqoot W Firoza W Zamrud Ke the..
Hazrat Syedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Is Bat ko Syeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Samne Bayan Kiya, Hazrat Syeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Ye Sunkar Zabane Paak Se To Kuch Na Farmaya Magar Dil Me Khayal Farmaya Ke *KAHIN HAZRAT ALI YE NA SOCHE KE HAZRAT SULMAN عَلَيـهِ السَّــلَام* To Apni Beti Ko Itna Zyada Jahez Diya Lekin Huzure Aqdas ﷺ Ne Jo Saiyedul Ambiya W Mursalin Hai Apni Sehzadi Ko Bahut Mukhtasar Jahez Diya...
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Apne Is Dili Khayal Ko Kisi Par Zahir Na Farmaya, Kuch Din Guzre Honge Ke Ek Roz Hazrat Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Khawab Mulahiza Farmaya...
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Bhishte Barri Ke Darmiyan Ek Takht Par Jalwa Farma Hai, Aur Us Takht Ko Heere Jawarat Se Bahut Hi Sajaya Gaya hai, Hoore Is Takht Ke Ird-Gird Khadi Hai, Aur Unhi Ke Darmiyan Ek Bahut Hi Khubsurat Sahebzadi Bhi Qeemti Zevrat Pehne Aapke Samne Khadi hai...
Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Ne Khawab Me Hi Hazrate Saiyeda Fatim Zahra رضي الله تعالى عنها Se Pucha Ke Ye Sahibzadi Koun Hai ?? Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya..
Ye Hazrat Sulaiman عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Wohi Sahibzadi Hai Jinke Jahez Ka Zikr Abbajaan Ne Aapae Kiya tha, Aur Aapne Mujse Bayan Kiya tha ALLAH TA'ALA Ne Inhe Meri Khidmat Ke Liye Mukarrar Farmaya Hai Aur Aapko Dikha Diya Ke Ae'jaz O Hurmate Fatima Indallah Esa hai....*
AYE ALI E MURTAZA ! Taaj Ke Badle Qayamat Ke Din Liwa-Ul-Hamd Aapke Hatho Me Hoga Aur Liwa-Ul-Hamd Wo Zabardast Alam Hai Jo Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ke Liye Makhsoos Hai, *LIWA-UL-HAMD KYA HAI ISKI MUKHTASAR TASHRIH YE HAI....*⤵
Is Alam Ki Lambayi 1000 Saal Ki Raah(Rasta) Hai, Is Ka Qabza Chandi Ka Hai, Nishan Yaqoot Surkh Ka Hai, Jisme Sabz Jhamrud Jade Huwe hai, Uspar Sunehre Hurfo Me Likha Huwa Hai, Jab Qayamat Qaim Hogi To Mumadi Aawaz Dega...
NABI E UMMI SAIYEDE ARABI JANAB MUHAMMAD BIN ABDULLAH TASHRIF LAYE AUR IS ALAM KO APNE HATH ME LE..*
Fir Hazrat Aadam عَلَيـهِ السَّــلَام Se Hazrat Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Tak Tamami Ambiya O Mursalin Tamam Siddqin W Salehin W Momineen Is Alam Ke Niche Jama Honge, Fir Ek Noorani Taaj ALLAH KE PYARE HABIB HUZUR ﷺ Ko Pehnaya Jayega Fir Huzur E Aqdas ﷺ Buraq Par Sawar Hokar Aage Aage Chalenge Aur Aapke Piche Tamami Ambiya O Mursalin Bhi Apne Sero Par Noorani Taaj Lagaye Buraqo Par Sawar Hokar Chalenge, Sath Me Jhumla Auliya W Momineen Bhi Honge Yaha Tak Ke Ye Noorani Qafila Bahisht Me Pahuch Jayega.....
Aur AYE HAZRAT ALI E MURTAZA رضی الله عنہ Us Waqt Ye Alam Aapke Mubarak Hath Me Hoga Jise Lekar Aap Us Noorani Qafile Ke Aage-Aage Chalenge....*
US WAQT MUNADI NIDA DEGA ! AYE ALI E MUTAZA ! Ye Izzat O Karamat Ka Taaj Accha Hai, Ye Damad E Sulaiman عَلَيـهِ السَّــلَام Ka Wo Taaj Hai Jiska Tazkira Humari Fatima Ke Samne Kiya tha....
Aapka Ye Laqab ALLAH TAA'LA Ki Taraf Se Ata Kiya Huwa hai...
SAARE JAHAN KE AURTO KI SARDAR....*
Hazrat Huzaifa رضی الله عنہ Bayan Karte Hai Ke Mujse Meri Walida Ne Pucha Ke Tum Kabse Huzur ﷺ Ki Bargah Me Hazir Nahi Huwe ??? Jab Mene Arz Kiya Ke Kayi Din Ho Gaye To Meri Walida Sakht Naraz Huyi Aur Muje Hukm Diya Ke Abhi Jao Aur Namaze Magrib Huzur ﷺ Ke Piche Ada Karo Fir Mere Liye Bakshish Ki Duwa Ki Darkhwast Karo...
Mene Aakar Magrib Ki Namaz Huzur ﷺ Ki Iqteda Me Ada Ki, Aap Magrib Ke Bad Namaz Hee me Mashgool Rahe Hatta Ke Isha Ki Namaz Padhayi Uske Bad Ghar Ki Taraf Rawana Huwe Me Bhi Aapke Sath ho liya...
Raste Me Ek Saksh Apko Mila, Uske Aapse Sergoshi Ki Aur Chala Gaya, Aap Fir Chale Me bhi Piche Tha, Aapne Chalne Ki Aahat Mehsoos Farmakar Irshad Farmaya *Mere Piche Aane Wale Kya Tum Huzaifa Ho ?? Mene Arz Kiya Haan Ya RASOOLALLAH ﷺ me HUZAIFA HU....*
Fir Huzur ﷺ Ne Farmaya *AYE HUZAIFA ! Tujhe Kya Hajat hai ALLAH TAA'LA Tujhe Aur Teri Maa Ko Bakshe...*
Fir Huzur ﷺ Ne Hazrate Huzaifa رضی الله عنہ Se Farmaya Tune Raaste Me Milne Wale Saksh Ko Dekha ?? Mene Arz Ki Haan ! Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Wo Ek Farishta Hai Jo Aajse Pehle Kabhi Zameen Par Nahi Aaya, Is Farishte Ne ALLAH TAA'LA Se Mere Pas Aakar Salam Karne Ki Ijazat Chahi, Fir Hukme Rabbi Se Aaj Mere Liye Salam Aur Ye Paigam Lekar Aaya tha...
Beshak Hasan Aur Hussain Jannati Jawano Ke Sardar Hai Aur Fatima Zahra Tamam Jahano Ki Aurto ki Sardar hai...*
(TIRMIZI SHARIF)
Aur Ek Riwayat Is Trah hai *Aur Fatima Zahra Jannati Aurto Ki Sardar Hai, Aur Beshak Hasan Aur Hussain Jannat Ke Jawano Ke Sardar Hai...*
Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya 4 Aurte Apne Zamane Ki Sardar hai *Mariyam Binte Imran, Aasiya Binte Mazahim(Fir'on Ki Biwi), Khadija Binte Khuwelid, Fatima Binte Muhammad ﷺ,* Fir Farmaya Ki IN SABME AFZAL FATIMA ZAHRA HAI....
Behar Soorat Ye Ek Haqiqat Hai Ke Hazrat Sayeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Hazrat Mariyam Aur Hazrat Aasiya Se Afzal hai....
Doctor Iqbal Ne Hazrat Sayeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Ke Huzur Is Trah Hadiya E Aqeedat Pesh Kiya hai..
Mariyam Azz Yak Nisbat Iza Azeez, Azz Se Nisbat Hazrat Zohra Azeez...
Hazrat Mariyam عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Sirf Ek Nisbat Yani Hazrat Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Walida Hone Ki Wajah Se Azeez Hai Magar Sayeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Teen Nisbato Ki Wajah ae Zyada Azeez hai...
NOOR CHASHME REHMAT-UL-LIL-AALAMIN, AA IMAM-E-AWWALIN O AAKHARIN...*
Pehli Nisbat Ye Hai Ke Wo Awwalin O Aakhirin Ke Imam Janab Sayedi Sarkar Huzur ﷺ Ki Lakhte Jigar hai...
BAANU E TAJDARE HALL ATA, MURTUZA MUSHKIL KUSHA SHERE KHUDA...*
Dusri Nisbat Ye Hai Ke Wo Tajdare Hal Ata Moula Ali Muskil Kusha shere Khuda Ki Jouza E Mohtarma Hai...
MADAR-E-AA MARKAZE PARKAR ISHQ, MADAR-E-AA QAFLA SALAR ISHQ...*
Teesri Nisbat Ye Hai Ke Wo Hazrat Hasnain Karimain رضي الله عنهما Ki Walida Majida Hai Aur Ishq Ke Parkar Ke Markaz Aur Ishq Ke Qafla Salar Hai....
Hazrat Abu Saeed Khudri رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya *BeshaK ALLAH Fatima Ke Gazabnaak Hone Se Gazabnaak Ho Jata hai Aur Unke Raazi Hone Se Raazi Ho Jata hai...*
(AL-MUSTADRAK W HAQIM)
Hazrat Masood Bin Mukhrma رضی الله عنہ Farmate Hai Ke RASOOLALLAH ﷺ Ne Farmaya *Fatima Mere Gosht Ka Tukda Hai Jisne Isko Naraz Kiya Usne Muje Naraz Kiya Aur Izterab Me Dalti Hai Mujko Wo Cheez Jo Usko Izterab Me Dale Aur Taklif De...*
(Bukhari Sharif)
In Dono Hadees Sharif Se Maloom Huwa Ke Jo Saksh Hazrat Saiyeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Ya Unki Aulad Ki Be-Adabi Kare Ya Unko Iza Pahochaye Usne Apni Jaan Ko Halakat Me Dala, Kyunke Unka Gazab, Gazab E Ilahi Hai Aur Unki Raza Raza E Ilahi hai.....
Chunache Huzur ﷺ Ne Farmaya Jo Saksh Ye Chahta Hai Ke Qayamat Ke Din Me Uski Shafa'at Karu To Usko Chahiye Ke Mere Ahle Bayt Se Niyazmandi Kare Aur Unhe Dost Rakhe...
(WAILMI)
Hazrat Haji Imdadullah Sahab Muhajire Makki رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Apni Qitab Imdudul Mushtaq Ke Safa 100 Par Tehrir Farmate Hai Ke Molvi Qalandar Ali Sahab Ko Har Roz Nabi E Kareem ﷺ Ki Ziyarat Hoti thi...
Ek Martaba Kisi Mazdoor Ladke Ko Jo Ke Saiyed The Tamacha Maar Diya, Us Din Se Ziyarat Munqate Ho Gayi, Madina Munawwara Ke Mashaikh Se Ruju Kiya, Unhone Ek Waliyya Majjzuba Ka Pata Diya, Jab Wo Waliyya Masjide Nabawwi Sharif Me Aayi Molana Qalandar Ali Sahab Ne Unse Arz Kiya Sunte Hi Wo Josh Me Aayi Aur Molana Ka Hath Pakadkar Farmaya..
MOLANA NE CHAHSME ZAHIR SE BEDARI KE AALAM ME SARKAR KI ZIYARAT KI...*
Isse Pehle Moulana Ne Us Ladke Se Khata Bhi Muaf Karwa Lee, Magar Kuch Mufeed Na Huwa tha...
Hazrat Imam E Hussain رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Huzur Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya *AYE FATIMA ! MUBARAK HO KE IMAM MEHANDI TUMHARI AULAD SE HONGE*....
Ummul Mo'mineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Se Ek Riwayat Is Trah Hai Ke ALLAH Ke Pyare Habib ﷺ Ne Farmaya *Aye Meri Beti Fatima ! Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahi Ho Ke Tum Saare Jahan Aur Jannat Ki Aurto Ki Sardar Ho....*
Aur Hazrat Anas Bin Malik رضی الله عنہ Se Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke Sarkare Aqdas ﷺ Ne Farmaya *Meri Ummat Ki Aurto Me Sabse Behter Meri Beti Fatima hai...*
Huzur ﷺ Ke Inhi Irshadat Ke Peshenazar Muttadeed Muhaddsin Hazrat Imam Sabki, Hazrat Imam Suyuti, Hazrat Imam Zarkashi, Hazrat Imam Munadi, Rehmullah Alayhim Ajmayin Ne Tashrih Ki Hai, Ke Saiyeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Tamam Aurto Se Hatta Ke Hazrat Mariyam Se Bhi Afzal Hai..
Hazrat Mannadi Ke Alfaz Mulahiza *Muttqddimin Aur Muakhirrin Ki Ek Jama'at Ka Qoul Hai Ke Hum Huzur Ke Jism Ke Tukde Ke Barabar Kisi Ko Qarar Nahi De Sakte....*
Hazrat Imam E Hussain رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Huzur Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya *AYE FATIMA ! MUBARAK HO KE IMAM MEHANDI TUMHARI AULAD SE HONGE*....
Ummul Mo'mineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Se Ek Riwayat Is Trah Hai Ke ALLAH Ke Pyare Habib ﷺ Ne Farmaya *Aye Meri Beti Fatima ! Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahi Ho Ke Tum Saare Jahan Aur Jannat Ki Aurto Ki Sardar Ho....*
Aur Hazrat Anas Bin Malik رضی الله عنہ Se Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke Sarkare Aqdas ﷺ Ne Farmaya *Meri Ummat Ki Aurto Me Sabse Behter Meri Beti Fatima hai...*
Huzur ﷺ Ke Inhi Irshadat Ke Peshenazar Muttadeed Muhaddsin Hazrat Imam Sabki, Hazrat Imam Suyuti, Hazrat Imam Zarkashi, Hazrat Imam Munadi, Rehmullah Alayhim Ajmayin Ne Tashrih Ki Hai, Ke Saiyeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Tamam Aurto Se Hatta Ke Hazrat Mariyam Se Bhi Afzal Hai..
Hazrat Mannadi Ke Alfaz Mulahiza *Muttqddimin Aur Muakhirrin Ki Ek Jama'at Ka Qoul Hai Ke Hum Huzur Ke Jism Ke Tukde Ke Barabar Kisi Ko Qarar Nahi De Sakte....*
AAPKO ZAHRA KEHNE KI WAJAH...
Aapko Zahra Kehne Ki Bahutsi Wajah Hai, Unme Sabse Eham Wajah Ye Hai Ke *Aap Jannati Aurto Ki Trah Haiz Se Mehfooz Thi* Imam Nabbehani رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Aapke Khasais Se Bayan Karte Hai..
Hazrat Sayeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Ko Haiz Nahi Aata Tha Jab Aapke Yaha Kisi Bacche Ki Wiladat Hoti Aap Usi Waqt Paak Ho Jati Hattta Ke Kabhi Aapki Namaz Qaza Nahi Huyi Isi Wajah Se Aapko Zahra Kaha Jata hai...
AAPKO BATOOL KEHNE KI WAJAH...
Zahra Ki Trah Aapka Laqab BATOOL Bhi hai, BATOOL Ke Matlab Katt Jane Ke Hai, Quran Majeed Me Hai *Apne Rabb Ke Naam Ka Zikr Karo Aur Tamam Se Katkar Usike Ho Jao....*
To Hazrat Sayeda Fatima Zahra سلام اللہ علیھا Ko Batool Kehne Ki Wajah Bhi Yahi Hai Ke *Aapne Tamam Maqamate Aaliya Ke Malik Hone Ke Bawajood Apne Dil Ko Duniya Se Munqata Karke Apne Moula Ki Taraf Fer Liya tha....*
WILADAT-E-PAAK--NIKAH-WISAL SHARIF.....
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Apni Qitab Madarij-Un-Nabuwwat, Safa No:- 127 Par Tehrir Farmate hai...
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Wiladat E Paak Ba-Qoule Sahih Huzur ﷺ Ke Izhare Nabuwwat Ke 5 Saal Pehle....
Jis Waqt Khana E Ka'ba Sharif Ki Deewar Me Darar Aa Jane Ki Wajah Se Quraish Ka'ba Ki Tameer Me Mashgool The...
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Se *Aapka Nikah Hijri Sann 2 Me Huwa* Nikah Ke Waqt Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Umar Sharif Kamobesh 18 Saal Thi Aur Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ki Umar Sharif Kamobesh 21 Saal Thi...
WISAL-E-PAAK.....
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ka Wisal E Paak Huzur ﷺ Ke Wisal Sharif Ke Kamobesh 6 Mahine Bad *3 Ramzanul Mubarak, Hijri Sann 11, Mangal ki Raat* Huwa....
MAZAR-E-PAAK....
Mashoor Riwayat Ki Buniyad Par Madina Taiyeba Ke Qabrastan JANNAT-UL-BAQI Sharif Me hai....
AAPKI HAQEEKI BEHNE....*
Hazrat Umme KULSUM, Hazrat RUKAIYYA, Hazrat E ZAINAB رضي الله عنهم.....
AAPKE HAQEEKI BHAI.....*
Hazrat QASIM, Hazrat ABDULLAH, رضي الله عنهما....
Hazrat Qasim رضی الله عنہ Ki Nisbat Se Huzur ﷺ Ki Qunniyat ABUL QASIM Huyi....
Hazrat Abdullah رضی الله عنہ Ka Laqab Mubarak TAIYAB W TAHIR THA...
KUCH ZAROORI BATE...*
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Ye Aejaz Hasil Hai Ke Aapki Aulad Hi Haqeeki Saiyed Kehlane Ki Mustahik Hai Aur Saiyed Hone Haisiyat Se Aapki Aulad Wajibutttazim Hai...
Apne Aapko Saiyed Kehlane Wala Agar Bad-Mazhab Ho Jaye Ya'ni Uska Murtad Hona Yakeeni Tor Par Sabit Ho Jaye To Wo Kisi Bhi Tazeem W Takrim Ke Qabil Nahi Balki Wo Saksh Wajibutt Tehkir Hai....
Saiyed Kehlane Wala Agar Rafzi Ho Jaye To Uska Nasab Baki Nahi Rehta, Uska Nasab Batil Ho Jata hai, Kufr W Irtedad Ke Bad Nasab Ki Sharafat Ka Koi Aetbar Nahi....
(Fazaeel E Hazrat Fatima Zahra, Fatawa Shareh Bukhari, Jild-03, Safa:- 82)
⛔Yaad Rahe Ahle Bayt Se Muhabbat Ka Daa'wa Karne Wala Rafzi Nahi Hota Balki Kisi Bhi Ek Sahaba Ka Adna Gustakh Rafzi Kehlata hai...
MEHBOOB E MUSTAFA ﷺ....
Ek Martaba Ameer Ul Momineen Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Huzure Aqdas ﷺ Ki Bargah Me Bade Adab Se Arz Kiya Ya RASOOLALLAH ﷺ *Aapko Me Zyada Mehboob Hu Ya Hazrat Fatima ?? Huzur ﷺ Ne Farmay Fatima Tumse Zyada Mehboob Hai Aur Tum Fatima Se Zyada Azeez ho...
Hazrat Allama Qalabazi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Huzur Aqdas ﷺ Ke Is Farman Ki Tashrih Is Trah Farmayi Hai Ke Huzur Aqdas ﷺ Hazrat Saiyeda Fatima سلام اللہ علیھا Ke Liye Rafikul Qalb Hai Isliye Ke Muhabbat Ka Markaz Qalb hai Aur Izzat Ka Muammla Allah Ki Taraf Se Hai..
Hazrat Ali E Murtaza رضی الله عنہ Nabi E Kareem ﷺ Ke Nazdik Zyada Jaleel Ul Qadr Hai....
AMAAN KI ZAMANAT..
Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya Hazrat Saiyeda Fatima Aur Unke Beto Ki Muhabbat Aakhirat Me Aman Ki Zamanat hai *Jaisi Saiyeda Fatima Zahra Ki Raza Hogi*....
Jab Ayate Karima *Aur Tum Me Koi Esa Nahi Jiska Guzar Dozakh Par Naa ho* Nazil Huyi To Huzur Saiyedi Aalam ﷺ Ghumnaak Ho Gaye Sahaba E Kiram Ne Pareshani Ka Sabab Pucha, Aap Khamosh Rahe, Jab Hazrat Saiyeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ko Iska Ilm Huwa To Aap Hazire Khidmat Huyi Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ Aap Kyu Pareshan Hai ??? HUZUR E Aqdas ﷺ Ne Ye Ayate Karima Aapko Sunayi....
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Bhi Ye Ayate Karima Sunkar Rone Lagi, Fir Aap Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی الله عنہ Ke Pas Tashrif Layi Aur Kaha *YA SHAIKH UL MUHAJIRIN*! ALLAH ﷻ Ne Apne Mehboob Ki Taraf ye Ayate Karima Nazil Farmayi Hai To Kya Aap Huzur Ki Ummat Ke Budho Par Isaar Karne Ko Taiyar Hai? Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی الله عنہ Ne Kaha. HAAN Me Taiyar Hu.
Fir Aap Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Ke Pas Tashrif Layi Unse Bhi Isi Andaaz Me Guftagu Ki, Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Ne Farmaya Me Ummate Muhammadi Ke Jawano Par Isaar Ke Liye Taiyar Hu, Sath Hi Sath Imam E Hasan Aur Imam E Hussain Ne Bhi Apni Is Khawaish Ka Izhar Kiya Ke Hum Dono Bhai Ummate Muhammadi Ke Kumm Umar Par Isaar Karne Ke Liye Taiyar Hai......
Fir Jab Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Azz Khud Ummat E Muhammadi Ki Aurto Par Apne Isaro Kurban Ka Irada Zahir Farmana Chacha To Usi Waqt Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Bargahe Mustafa ﷺ Me Hazir Huwe Aur Kehne Lage..
YA RASOOLALLAH ﷺ.! ALLAH ﷻ Aapko Salam Farmata Hai Aur Farmata Hai Ke Fatima Ko Basharat Dijiye Ki Wo Ghumgeen Naa Ho Me Aapki Ummat Ke Wese Hi Muammla Farmaunga Jaise Fatima Ki Marzi Hogi...*
ALLAHU AKBAR.
JANNATI JODA.....
Ek Martaba Ek Maaldar Yahoodan Aurat Ki Shaadi Huyi, Usne Apni Shadi Par Badi-Badi Ameer Aurto Ko Aane Ki Dawat Dee, Wo Ameer Aurate Nihayat Qeemti Libas Pehankar Uske Ghar Aayi,
Fir Un Aurto Ne Muttafika Tour Par Kaha Ke Hum Tamam Aurte Janab Muhammadur Rasoolallah ﷺ Ki Sehzadi Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Fakhr Ki Kefiyat Dekhna Chahti Hai, Lihaza Hazrate Fatima Ko Bhi Bulaya Jaye...
Us Yahoodi Aurat Ne Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Bulawa Bheja Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Jaane Ka Wada Farma Liya...
Aap Jaane Ki Taiyari Me Thi Ke Usi Waqt Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ek Jannati Joda Liye Huwe Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Huwe, Huzur ﷺ Ne Wo Jannati Joda Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Inayat Farmaya, Aap Wohi Jannati Joda Pehenkar Shaadi Ki Us Tarkib Me Shirqat Ke Liye Tashrif Le Aayi...
Jab Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Wo Jannati Joda Pehenkar Un Aurto Ke Darmiyan Bethi To Us Jode Se Noor Ke Chamkare Payda Huwe, Aurto Ne Hairat Me Aakar Pucha Fatima Ye Libas Tumhare Pas Kahan Se Aaya Hai??? Aapne Farmaya...
YE LIBAS MERE WALIDE MOHTARAM KE GHAR SE AAYA HAI, AURTO NE PUCHA UNKE PAS KAHA SE AAYA HAI?? AAPNE FARMAYA UNHE HAZRAT JIBRAEEL عَلَيـهِ السَّــلَام NE JANNAT SE LAKAR DIYA HAI YE BAT SUNKAR JO SA'ADAT MAND AURTE THI BA'AAWAZ E BULAND KALMA PADHKAR MUSHARRAF BA ISLAM HUYI...*
Fir Jin Aurto Ke Khawind(Sohar) Musalman Huwe Wo Unke Pas Rahi Aur Jinke Khawind Islam Pesh Karne Ke Bad Bhi Islam Naa Laye To Un Aurto Ne Unse Alahidgi Ikhtiyar Kar Lee Aur Unhone Musalmano Se Apna Nikah Kar Liya...
HUZUR ﷺ Aur Aapke Ahle Bayt Ka Fakhr, Fakhre Ikhtiyari Tha, Zohdo Fakhr W Sadgi Unki Apni Ikhtiyar Karda Aur Talim Ummat Ke Liye Thi Warna Wo Jannat Ke Malik The Aur Unka Libas Bhi Jannat Se BANKAR Aata tha....
KASH ME TUMHARE SER E AQDAS KA EK BAAL HOTI.....*
HAZRAT ALLAMA IBNE MALKAN QAZI HUSAAIN SE Riwayat Karte Hai Ke Ek Martaba Ummul Mo'mineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Kaha Ammi Jaan ! Me Aapse Afzal Hu Isliye Ke Me Jigar Gosha E Rasoole Kareem Hu,
Ummul Momineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Ke Beti Ye Baat To Bilkul Durust Hai Ke Tum Jigar Gosha E Rasoole Kareem ﷺ Ho Lekin Jannat Me Mera Qayam Nabi E Kareem ﷺ Ke Sath Unke Mehal Me Hoga Aur Tumhara Qayam Hazrat Ali رضی الله عنہ Ke Sath Unke Mehal Me Hoga..
Ye Sunkar Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Jawab Dene Me Kuch Tawakkuf Kiya Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa رضی الله عنہ Usi Waqt Apni Jagah Se Uthi Aur Saiyeda Fatima Zahra Ka Ser E Athar Choomkar Farmaya...
BETI FATIMA ! KAASH MERE NASEEB ESE HOTE KE ME TUMHARE SER E AQDAS KA EK BAAL HOTI.....*
HAIZ O NIFAS SE PAAK....*
Hazrate Asma Binte Amees Jouza Saiyedna Abu Bakr Siddiq رضي الله عنهما Farmati hai...
Hazrat Saiyeda Fatima Hamesha Taiyeba Tahera Rahi Hai Halanke Unke Shiqam E Muqaddas Se Hazrat Hasan W Hussain رضي الله عنهما Aur Dusri Aulad Bhi Huyi Magar Unpar Nifas Ki Kefiyat Taari Nahi Huyi...*
Aap Farmati hai Ke Mene Nabi E Kareem ﷺ Ki Bargah Me Arz Kiya Ya RASOOLALLAH ﷺ Mene Saiyeda Fatima Ko Haiz O Nifas Ke Muammle Me Hamesha Paak Paya hai To Sarkar Ne Farmaya Asma Tumhe Maloom Hona Chahiye Ke Rabb Taa'la Ne Meri Beti Fatima Ko Taiyeba Tahera Payda Farmaya...
SAYEDA ZAHERA TAIYEBA TAHERA, JAAN E AHMED KI RAHAT PE LAAKHO SALAM...
✍🏻(A'LA HAZRAT رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ)
AULAD-E-FATIMA PAR JAHANNUM KI AAG HARAM....*
Hazrat Abdullah Ibne Mas'ood رضی الله عنہ Se Riwayat Hai Ke ALLAH Ke Pyaare Habib ﷺ Ne Irshad Farmaya *BESHAK SAIYEDA FATIMA PAAKDAMAN HAI, ALLAH ﷻ Ne Unki Aulad Par JAHANNAM Ki Aag Haram Kar Di hai...*
CHADAR SHARIF DEKHKAR YAHOODI MUSALMAN HO GAYA....
Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Qabeela E Banu Sulaim Me Se Ek Saksh Ne Bargahe Nabi E Kareem ﷺ Me Hazir Hokar Is Trah Kalam Kiya...
AYE MUHAMMAD ﷺ ! Kya Aap Hee Wo Jadugar Hai Jinke Mutallik Mashoor Hai Ke Aapka Saaya Zameen Par Nahi Padta ?? Khuda Ki Kasam Agar Ye Khayal Na Hota Ke Meri Qoum Mujhse Naraz Ho Jayegi To Me Is Talwar Se Aapka Ser Uda Deta.....*
Hazrat Saiyedna Umar Farook رضی الله عنہ Ne Chaha Ke Aage Badhkar Is Be'adabi Aur Gustakhi Ka Jawab De Magar Huzur Saiyedul Aalamin ﷺ Ne Aapko Rok Diya Aur Qabeela Banu Sulaim Ke Us Saksh Se Farmaya *Tu Aakhirat Ke Azab Se Darr Aur Dozakh Ke Azab Se Khouf Khaa Butto Ki Pooja Chorh De Aur ALLAH ki Ibadat Kar Me Jadugar Nahi Hu Balki ALLAH TAA'LA KA BANDA AUR USKA RASOOL HU.....
Huzur Nabi E Kareem ﷺ Ki Is Guftagu Ka Us Saksh Par Esa Asar Huwa Ke Wo Usi Waqt Musalman Ho Gaya, Aapne Sahaba E Kiram Se Farmaya Isko Qur'an Majeed Ki Kuch Ayate Sikha do Jab Wo Sikh Chuka To Sarkar E Do Aalam ﷺ Ne Farmaya Tere Pas Kis Qadr Maal Hai ??
Usne Arz Ki Ya RASOOLALLAH ﷺ Khuda Ki Kasam ! Qabeela E Banu Sulaim Me 4 Hazar Aadmi Hai Lekin Mujse Ziyada Unme Koi Garib Nahi Hai...
Huzur ﷺ Ne Sahaba Ki Janib Dekhkar Farmaya Tumme Koun Hai Jo Isko Ount Kharidkar De De ??? Hazrat Sa'ad Bin Ubada رضی الله عنہ Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah ! Mere Pas Ek Ountni Hai Wo Me Isko Deta Hu, Fir Huzur ﷺ Ne Farmaya Koun Hai Jo Iska Ser Dhaanp De ??? Aur ALLAH Taa'la Ko Raazi Kare ??? Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Ne Apni Dastare Mubarak Utarkar Uske Ser Par Rakh Dee, Fir Huzur ﷺ Ne Farmaya Koun Hai Jo Is Waqt Khaane Ka Intezam Kar De ?? Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Uthe Aur Kuch Makan Par Gaye Lekin Ittefaq Se Kuch Na Mila.....
Fir Hazrat Salman Farsi Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Makan Par Hazir Huwe Aur Darwaza Khatkaya, Aapne Farmaya Koun ?? Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Ne Kaha Me Salman Farsi Hu, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضی الله عنہ Ne Farmaya Kese Aaye ho ?? Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Ne Sab Majra Bayan Kiya..
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضی الله عنہ Ye Sunkar Aabdida Ho Gayi Aur Farmaya *Aye Salman ! US khuda Ki Kasan Jisne Mere Baap Ko Rasool Banakar Bheja Hai, Aaj Teesra Din Hai Hum Sab Faanke Se Hai, Lekin Tum Darwaze Par Aa Gaye Ho To Khali Kese Wapas Karu Meri Ye Chadar Le Jao Aur Sham'un Yahoodi Ke Pas Jakar Kaho Ke Fatima BINTE Muhammad Ki Chadar Hai Rakh Le Aur Thode Se Jav Qarz De Do*...
Hazrat Saiyedna Salman Farsi رضی الله عنہ Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضی الله عنہ Ki Chadar Mubarak Lekar Us Yahoodi Ke Pas Aaye Aur Saara Haal Bayan Kiya, Shamun Kuch Der Tak Is Chadar Sharif Ko Dekhta Raha, Fir Uspar Ek Qefiyat Taari Huyi Aur Kehne Laga
WALLAH ! YE WO MUQADDAS LOG HAI JINKI KHABAR ALLAH TAA'LA NE HUMARE PAYGEMBER HAZRAT MOOSA ALEYHISSALAM KO TOURAT ME DEE HAI ME SACCHE DIL SE HAZRAT SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها KE BAAP MUHAMMAD ﷺ PAR IMAAN LAATA HU, YE KEHKAR USNE KALMA E TOUHEED PADHA AUR MUSALMAN HO GAYA....*
Fir Usne Hazrat Saiyedna Salman Farsi رضی الله عنہ Ko Jav Diye Aur Chadar Mubarak Bade Adab Se Wapas Kar Dee, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Sham'un Ko Duwaye Khair Dee Aur Jav Piskar Khana Taiyar Kar Ke Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Ko De Diya,
Hazrat Saiyedna Salman Farsi رضی الله عنہ Ne Arz Kiya ! Aye Saiyeda Isme Se Kuch Baccho Ke Liye Rakh Lijiye, Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya *MENE JAV KHUDA KI RAAH ME DENE KI NIYYAT SE MANGWAYA HAI AUR PAKAYA HAU AB ISSE LENA DURUST NAHI....*
Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Wo Roti Lekar Huzur ﷺ Ki Bargah Me Hazir Huwe, Sare Halat Bayan Kiye Huzur ﷺ Ne Wo Roti Us Naw Muslim Ko Dee Aur Fir Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Makan Par Tashrif Le Gaye Dekha Ke Bhook Ki Wajah Se Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ka Chehra Zard Ho Raha hai Aur Zouf Ke Aasar Numaaya hai...
Huzur ﷺ Ne Saiyeda Ke Pas Bethkar Unhe Tasalli Dee Aur Aasman Ki Taraf Rukhe Paak Uthakar Kaha *AYE ALLAH ! FATIMA TERI BANDI HAI ISSE RAAZI REHNA....*
Wo Shab Bedar Wo Sirf Ru'qu O Sajda Payham, Wo Jinki Zaat Par Naaza Huzur Rehmate Aalam ﷺ.......*
JANNATI AURTO KI SARDAR....*
Ummul Momineen Saiyeda Ayisha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ke ALLAH Ke Pyare Habib ﷺ Ne Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Farmaya *AYE MERI BETI FATIMA ! Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahi Ho Ke Tum Saare Jahan Aur Jannati Aurto ki Sardar ho ???
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها KI BARGAHE MUSTAFA ﷺ ME MEHBOOBIYAT......*
Ummul Momineen Hazrat Saiyeda Ayesha رضي الله تعالى عنها Farmati hai Aurto Me Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Aur Mardo Me Unke Sohar Ali E Murtuza رضی الله عنہ Bahut Pyaare hai...
Saiyeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ki Muhabbat Ummate Muhammadi ﷺ Ke Liye Dono Jahan Me Nafa Baksh Hai.....*
Hazrat Zadaan رضی الله عنہ Hazrat Sulaiman رضی الله عنہ Se Riwayat Karte Hai Ke ALLAH Ke Habib ﷺ Ne Farmaya AYE SULAIMAN ! Yaad Rakho
Jo Koi Meri Beti Fatima Se Muhabbat Rakhega Wo JANNAT Me Mere Sath Hoga...
Aur Jo Meri Beti Fatima Se Dushmani Rakhega Wo Jahannam Me Jayega...
Aye Sulaiman ! Meri Beti Fatima Ki Muhabbat 100 Jagah Nafa Pahuchati Hai In Jagah Me Kuch Muqamat MOUT Aur QABR Aur Mizan Aur Pulsirat Aur Hisabe Qayamat hai...
Jis Saksh Se Meri Beti Fatima Khush Hogi Usse Me Khush Hounga, Aur ALLAH TAA'LA Bhi Usse Khush Hoga...
Aur Jis Kisi Se Meri Beti Fatima Naraz Hogi Usse Me Naraz Aur Jisse Me Naraz Hu ALLAH Bhi Usse Naraz Aur Gazabnaak Hoga...
Aye Sulaiman ! Jo Saksh Meri Beti Aur Uske Sohar Par Zulm Kare Ya Unki Aulad Par Zulm Kare Uske Liye HALAKAT AUR SIRF HALAKAT HAI.......
SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها Aur 70,000 HOORO KE JHURMUT ME.....*
Hazrat Saiyedna Abu Aiyub Ansari Aur Saiyedna Ali E Murtuza رضي الله عنهما Farmate Hai Huzur Saiyede Aalam ﷺ Ne Farmaya Ki QAYAMAT Ke Din Ek Nida Hogi...
Jab Qayamat Ka Din Hoga To Ek Nida Karne Wala Nida Karega Parde Ke Piche Se Aye Medane Hashr Ke Logo ! APNI NIGAHO KO NICHA KAR LO AUR SER KO JHUKA LO, Yaha Tak Ke Fatima Binte Muhammad ﷺ Guzar Jaye, Chunache Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها 70,000 Hooro Ke Jhurmut Me Chamakne Wali Bijlee Ki Trah Guzar Jayengi..*
SAIYEDA FATIMA ZAHRA AUR KHOON E IMAM E HUSSAIN SE RANGEEN KAPDE....*
Hazrat Ali E Murtuza رضی الله عنہ Se Marwi Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Qayamat Ke Din Meri Beti Fatima Ese Haal Me Medan E Qayamat Me Ayengi Ke...
UNKE HUMRAH BHOT SE KAPDE HONGE JO KHOON SE RANGIN HONGE US WAQT MERI BETI FATIMA ARSH KE EK SUTOON KO PAKADKAR ARZ KAREGI AYE AHKAMUL HAKIMEEN ! MERE AUR MERE FARZANDO KE QATILO KE DARMIYAN FAISLA FARMA, KASAM HAI RABB E KA'BA KI KE RABB TAA'LA MERI BETI KE HAQ ME FAISLA FARMAYEGA...*
Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Se Marvi Hai Allah Ke Habib ﷺ Ne Farmaya...
Jab Qayamat Ka Din Hoga To Arsh Se Ek Munadi Nida Karega Aye Ahle Mehshar ! APNI NIGAHO KO NICHA KAR LO AUR SER KO JHUKA LO TAAKE FATIMA BINTE MUHAMMAD ﷺ KHOON E HUSSAIN SE RANGEEN SHUDA KAMEES KO APNE HUMRAH LIYE HUWE GUZAR JAYE FIR Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها ARSH KE PAAYE KO PAKADKAR ARZ KAREGI...
AYE ALLAH ! TU JABBAR AUR AADIL HAI, Mere Aur Mere Farzand Hussain Ke Qatil Ke Darmiyan Faisla Farma, Rabb E Ka'ba Ki Kasam ALLAH Meri Beti Ke Haq Me Faisla Farmayega....*
Fir Meri Beti Bargahe Rabb Me Arz Karegi Ke Aye ALLAH Jo Log Mere Sehzade Hussain Ki Muhabbat Me Roye Hai Mujhko Unka Shafi Mukarrar Kar, ALLAH Taa'la Unki Shafa'at Qabool Farmayega....
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها PAR HUZUR ﷺ KI SHAFQAT....*
Ummul Momineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Farmati Hai....
Jab Bhi Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hoti To Huzur Shafqat W Muhabbat Ke Sath Khade Ho Jate, Unhe Bosa Dete Aur Muhabbat Se Apne Qareeb Bithate...
Aur Jab Huzur ﷺ Unke Ghar Tashrif Le Jate To Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Taziman Khadi Ho Jati Aur Aapko Bosa Deti Aur Apne Qareeb Bithati...
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها KI KHUSHI W NARAZGI ALLAH KE PYARE HABIB KI KHUSHI W NARAZGI HAI....*
Huzur ﷺ Ne Farmaya *Fatima Mere Gosht Ka Tukda hai Jisne Usko Naraz Kiya Usne Mujhe Naraz Kiya......*
SAIYEDA FATIMA ZAHRA SE OUNTNI KI GUFTAGU....*
Nabi E Kareem ﷺ Ko Khaibar Se Ountni Hasil Huyi Thi Jiska Naam *ASBA* Tha, Ek Bar Ye Ountni Nabi E Kareem ﷺ Ki Khidmat Me Bazuban E Faseeh Guftagu Karne Lagi Ke...
YA RASOOLALLAH ﷺ ! Aapki Bargah Me Aane Se Pehle Me Ek Yahoodi Ke Qabze Me thi, Jab Charne Jati Thi To Ghas Azz Pukarti Thi Ke Muje Apni Khorak Bana Kyu Tu Hazrat Muhammad ﷺ Ke Liye Hai Aur Jab Raat Hoti To Jungle Ke Darinde Ek Dusre Ko Taqidan Kehte Ke Khabardar ! Ountni Ke Qareeb Na Jana Ke Ye Janab Muhammad ﷺ Ke Liye hai...*
Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ke Wisal E Paak Ke Bad Us Ountni Ne Sarkar Ki Judayi Ke Ghum Me Khana-Pina Chor Diya Aur Har Waqt Roti Rehti thi, Ek Raat Jab Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Apne Hujra E Paak Se Bahar Tashrif Layi To Us Ountni Ne Aapse Bazuban E Faseeh Kaha...
AYE SEHZADI E RASOOL ﷺ ! Aap Par Salam Ho Kya Aapko Apne Walid Majid Se Kuch Kaam hai ?? Kyunki Me Unke Pas Jaane Wali hu...*
Uski Ye Guftagu Sunkar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Aankho Me Aansu Aa Gaye Aur Aapne Shafkat Se Ountni Ka Ser Apni Godd Me Le Liya Aur Pyaar Farmane Lagi Yaha Tak Ke Usne Aapki Godd Me hi Jaan De dee..
Fir Use Bade Kambal Me Lapetkar Dafan Kar Diya Gaya, 3 Din Ke Bad Jab Ua Jagah Ko Khodkar Dekha Gaya to Us Ountni Ka Kahin bhi Naam O Nishan Nahi Tha, Ountni Ka Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Qalam Karna Aapki Karamat Me se hai.....
BAAB E SAIYEDA FATIMA ZAHRA PAR AAWAZ....*
Hazrat Anas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Jab Nabi E Kareem ﷺ Namaz E Fazr Ke Liye Tashrif Le Jate To Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Darwaze Se Guzarte Huwe Aawaz Dete....
Aye Ahle Bait E Nabi ! Namaz Ke Liye Bedar Ho Jawo, ALLAH Taa'la Ne Tumhari Pakizgi Ka Faisla Farmaya Hai Aur Rijas Ko Tumhare Qareeb Nahi Aane Dega....*
Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ye Bhi Farmate Hai Ke *ALLAH Taa'la Ne Lalach Aur Bukhl Ki Palidi Ko Tumhare Dil Ke Qareeb Aane Hi Nahi Diya Balke Sakhawat Ka Beej Bo Diya hai..*
Ba'az Ulema Ka Qoul Hai Ke *Rijas* Se Murad *Tam'aa Aur Bukhl* Hai Aur *Tathir* Se Murad *Sakhawat* Hai....
SHAHI DA'WAT....*
Ek Roz Hazrat Usman Ghani رضی الله عنہ Huzur E Aqdas ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Huwe Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! Aaj Mere Ghar Aapki Dawat Hai, Huzur ﷺ Ne Qubool Farmayi Aur Waqt Par Apne Ashab Ke Sath Hazrat Usman E Ghani رضی الله عنہ Ke Ghar Tashrif Le Chale,
Hazrat Usman E Ghani رضی الله عنہ Huzur ﷺ Ke Piche-Piche Chalne Lage *Aur Huzur ﷺ Ka Ek-Ek Kadam Jo Unke Ghar Ki Taraf Chalne Me Padd Raha tha Ginne Lage....*
Huzur ﷺ Ne Farmaya Aye Usman ! MERE Kadam Kyu Ginn Rahe ho ?? Hazrat Usman E Ghani رضی الله عنہ Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ Mere Maa-Baap Aap Par Kurban Ho....
Me Chahta Hu Ke Huzur Ke Ek-Ek Kadam Ke Badle Me Aapki Tazeem O Toukeer Ki Khatir Ek-Ek Gulam Aazad Karu,* Chunache Hazrat Usman E Ghani رضی الله عنہ Ke Ghar Tak Huzur ﷺ Ke Jitne Kadam Pade The Usi Qadr Gulam Hazrat Usman E Ghani Ne Aazad Kiye....
Jab Ye Da'wat Ho Chuki To Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Ghar Tashrif Laaye, Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Dekha Ke Aap Kuch Magmun Hai To Pucha Ke Aap Kuch Magmun Nazar Aa Rahe hai Kya Wajah Hai ????
To Farmaya Ke Aye Fatima ! Aaj Mere Bhai Usman Ghani Ne Huzur ﷺ Ki Badi Shandar Da'wat Ki Hai Aur Aapke Ek-Ek Qadam Ke Badle Ek-Ek Gulam Aazad Kiya hai, Kash Hum Bhi Huzur Ki Is Qism Ki Da'wat Kar Sakte....
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Aye Ali E Murtaza Aap Pareshan Na Ho Aur Aap Bhi Huzur ﷺ Ko Dawat De Aaye, Ameer Ul Mominin Saiyedna Ali E Murtuza Ne Farmaya Ke Is Qadr Itna Bada Intezam Aur Ek-Ek Kadam Ke Badle Ek-Ek Gulam Aazad Karna Kese Hoga ????
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Inshaa Allah Saara Intezam Ho Jayega, Chunache Hazrat Ali Gaye Aur Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hokar Da'wat Pesh Kar Di,
Huzur ﷺ Ne Dawat Manzoor Farma Lee Fir Waqte Mukarrara Par Apne Sahaba E Kiram Ke Sath Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Makan Par Tashrif Le Aaye,
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Huzur ﷺ Aur Sahaba Ko Bithaya Aur Khud Khalwat Me Tashrif Lejakar Sajde Me Ser Rakhkar Bargahe Rabb Me Yun Arz Karne Lagi....
*AYE ALLAH ! Teri Bandi Fatima Ne Tere Mehboob Ke Sahaba Ki Da'wat Ki Hai Aur Teri Bandi Fatima Ka Tujhpar Hi Bharosa Hai, Ilahi Meri Laaj Rakh Aur Is Da'wat Ke Khane Ka Intezam Farma De.....*
Ye Duwa Mangkar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Khaali Handi Ko Chulhe Par Rakha Aur Fir Rokar Ye duwa Ki Moula Apni Bandi Fatima Ko Sharminda Na Karna, Allah Taa'la Ka Dariya E Karam Josh Par Aaya Aur Apni Kudrat Se Us Khaali Handi Ko Jannat Ke Khaane Se Bhar Diya...
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Is Handi Me Sabko Khana Bhejna Shuru Kiya, Huzur ﷺ Ne Aur Aapke Sahaba Ne Khana Tanawul Farmaya Lekin Us Handi Me Se Kuch Bhi Kumm Na Huwa...
Fir Huzur ﷺ Ne Sahaba E Kiram Se Farmaya Jante Ho Ye Khana Kaha Se Aaya hai ?? Sahaba E Kiram Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ Hume Maloom Nahi Ke Ye Khana Kaha Se Aaya hai...
Fir Huzur ﷺ Ne Farmaya Ye Khana ALLAH TAA'LA Ne Humare Liye Jannat Se Bheja Hai, Sahaba E Kiram Ye Sunkar Bahut Khush Huwe Aur Khuda Ka Shukr Ada Karne Lage...
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Fir Khalwat Me Gayi Aur Sajde Me Ser Rakhkar Duwa Karne Lagi...
AYE ALLAH ! Hazrat Usman Ghani Ne Tere Mehboob Ke Ek-Ek Qadam Ke Badle Ek-Ek Gulam Aazad Kiya hai, Teri Bandi Fatima Ba'zahir Itni Isteta'at Nahi, Moula E Kareem Jaha Tune Meri Khatir Jannat Se Khana Bhejkar Meri Laaj Rakh Lee Hai Waha Tu Meri Khatir Apne Mehboob Ke Un Qadmo Ke Shumar Ke Barabar Jitne Qadam Chalkar Wo Mere Ghar Tashrif Laaye Hai Apne Mehboob Ki Ummat Ke Gunahgaro Ko Jahannam Se Aazad Kar De....
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Jaise Hi Is Duwa Se Farig Huyi Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Huzur ﷺ Ki Bargah Me Tashrif Laye Aur Kaha Ke..
☆ALLAH TAA'LA Ne Muje Ye Basharat Dekar Bheja Hai ki Aapki Sahibzadi Ki Duwa Qabool Farmate Huwe Humne Aapke Har Kadam Ke Badle Ek-Ek Hazar Gunahgaro Ko Jahannam Se Aazad Farma Diya hai, Ye Basharat Sunkar Huzur ﷺ Aur Aapke Tamami Sahaba E Kiram Bahut Khush Huwe.....
☆Maloom Huwa Ke Sehzadi E Rasool ﷺ Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ka Martaba Bahut Buland Hai Ke Aapki Khatir Allah Taa'la Ne Jannat Se Khana Bheja Aur Aapke Tufail Rabb Taa'la Ne Hazari Gunahgaro Ko Jahannam Se Aazad Farma Diya Aur Ye Bhi Maloom Huwa Ke Hazrat Usman Ghani رضی الله عنہ Bade Sakhi Aur Huzur Ke Sacche Ja'nisar The Aur Ye Bhi Maloom Huwa Ke Sahaba E Kiram Aur Ahle Bait E Izam Aapas Me Ek Dusre Se Badi Muhabbat Rakhte the...
*(Jami-ul-Mojizat, B'Hawala Sacchi Hikayat)*
*JANNATI OUNTNI....*
☆ek Dafa Ka Waqiya Hai Ke Hazrate Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Huzur E Aqdas ﷺ Ki Khidmat Se Farig Hokar Makan Par Tashrif Laye To Dekha Ke Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Darwaze Ke Bahar Bethe Huwe Soot Saaf Kar Rahe Hai Aur Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Hujre Ke Andar Charkha Chala Rahi Hai..
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Pucha Aye Sehzadi E Rasool ! Ghar Me Kuch Khane Ko Hai ?? Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Jawab Diya Khana To Nahi Hai..
Albatta Mene Soot Kanta Hai Aur Salman Farsi Ne Use 6 Dirham Me Farokht Kiya Hai Wo 6 Dirham Mere Pas Mojud Hai, Aap Unhe Le Le Aur Bazar Se Khane Ka Intezam Kar Le, Aap Bhi Khaye Aur Mere Dono Sehzade Khaa Le Ye Dono Bhi Faanke Se Hai,
Ye Kehkar Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne 6 Dirham Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ko De Diye,
Hazrate Ali E Murtaza رضی الله عنہ Un 6 Dirham Ko Lekar Makan Se Bahar Tashrif Laye, Raste Me Ek Saayil Mila Aur Suwal Kiya Koun Hai Jo Allah Ko Accha Qarz De....
☆Hazrate Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Wo 6 Dirham Saayil Ko De Diye Aur Khali Hath Ghar Wapas Aaye Aur Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Sari Qefiyat Batayi, Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Khush Hokar Kaha, Aye Ali E Murtaza Aapne Bada Accha Kaam Kiya....
☆hHazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Fir Dobara Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ki Bargah Me Hazri Ki Garaz Se Makan Ke Bahar Tashrif Laye, Raste Me Ek Aerabi Mile, Jinke Pas Bahut Hi Khubsirat Ountni Thi,
☆Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Se Kehne Lage Aye Ali E Murtaza ! Ye Ountni Kharid Lijiye ! Aapne Farmaya Mere Pas Abhi Qeemat Nahi Hai Ae'rabi Ne Kaha Aap Udhar Kharid Lijiye Qeemat Ba'ad Me De Dijiyega....
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Pucha Ke Is Ountni Keemat Kya Hai ??? Ae'rabi Ne Kaha 100 Dirham, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne 100 Dirham Me Wo Ountni Un Ae'rabi Se Kharid Lee Aur Use Lekar Apne Makan Ki Traf Loute...
Abhi Kuch Qadam Hi Chale Honge Ke Ek Dusre Ae'rabi Mile Aur Kehne Lage Aye Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ye Ountni Bechoge ??? Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Farmaya Ke Haan Bechunga, Magar Ye Batao Tum Iski Kitni Qeemat Doge ??? Ae'rabi Ne Kahs 300 Dirham Dunga..
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne 300 Dirham Lekar Ountni Ae'rabi Ke Hawale Kar Di, Is Kharid Farokht Se Farig Hokar Ghar Tashrif Laye Aur Saara Waqiya Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Bayan Kiya..
Aapne Kaha Aye Ali E Murtaza Tijarat To Kafi Acchi Rahi....
Uske Kuch Der Ke Bad Allah Ke Pyare Habib ﷺ Tashrif Laye Aur Irshad Farmaya *Aye Ali ! Ountni Ka Kissa Tum Sunaoge Ya Me Sunau ???* Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ Aap Hi Irshad Farmaye !
Huzur E Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya Aye Ali ! Tumne Khuda Ki Raah Me 6 Dirham Diye To Allah Taa'la Ne Tumhe 300 Dirham Ata Farmaye Goya Ek Dirham Ke Badle 50 Dirham Ata Kiye...
Pehle Ae'rabi Jinse Tumne Ountni Kharidi Wo Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام The, Dusre Ae'rabi Jinhone Tumse Ountni Kharidi Wo Hazrat Israfil عَلَيـهِ السَّــلَام The Aur *Ountni Wo Thi Jispar Jannat Me Meri Sehzadi Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Sawar Hongi...*
*(Jameul Moa'zizat)*
*SAHZADI E RASOOL KI ZINDAGI E PAAK.....*
Aayi Jab Khatoon E Jannat Apne Ghar, Pad Gaye Sab Kaam Unki Zaat Par...
Kaam Se Kapde Bhi Kaale Pad Gaye, Hath Me Chakki Ke Chaale Pad Gaye...
Dee Khabar Zahra Ko Asadullah Ne, Baante Hai Qaidi Rasoolallah Ne...
Ek Londi Bhi Agar Humko Mile, Is Musibat Me Tumhe Rahat Mile...
Sunkar Zahra Aayi Siddiqa Ke Ghar, Taake Dekhe Hath Ke Chaale Pidar...
Par Na The Doulat Qade Par Shah E Dee, Walida Se Majra Saara Kaha...
Fatima Chaale Dikhane Aayi Thi, Ghar Ki Taklif Sunane Aayi Thi...
Aapko Ghar Me Na Paaya Shah E Dee, Mujse Sab Dukh Dard Apna Keh Gayi...
Ek Londi Agar Aap Unko Bhi De, Chakki Aur Chulhe Ke Wo Dukh Se Bache...
Sunliya Sabkuch Rasoole Paak Ne, Kuch Na Farmaya Shah E Loulaak Ne...
Shab Ko Aaye Mustafa Zahra Ke Ghar, Aur Kaha Zahra Se Aye Jaan E Pidar...
Hai Ye Khadin Un Yateemo Ke Liye, Baap Jinke Jung Me Maare Gaye...
Tumpe Hai Saaya Rasoolallah Ka, Aasra Rakho Fakat Allah Ka...
Tasbeeh Ek Esi Bataye Hum Tumhe, Aap Jisse Khadimo Ko Bhool Jaye..
Awwalan Subhan 33 Bar Ho, Aur Fir Al-hamd Itni Hi Padho...
Aur 34 Baar Ho Takbir Bhi, Taake 100 Ho Jaye Ye Milkar Sabhi...
Parh Liya Kar Itna Subho Shaam, Wird Me Rakhna Ise Apna Muddam...
Khuld Ki Mukhtar Raazi Ho Gayi, Sunke Ye Irshad Khush-khush Ho Gayi...
Salik Inki Raah Jo Koi Chale, Deen O Duniya Ki Musibat Se Bache...
(ISLAMI ZINDAGI HAZRST ALLAMA MUFTI AHMED YAAR KHAN رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ)
NOTE:-
Subhan Se Murad *SUBHAN'ALLAH* 33 Bar Padhe...
AL-HAMD SE MURAD *AL-HAMDULILLAH...* 33 Bar Padhe..
TAKBIR SE MURAD *ALLAHU AKBAR..* 34 Bar Padhe...
Hazrat Allama Dahavi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Apni Qitab Jami'ul Mo'jizat Me Tehrir Farmate Hai Ke...
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Hatho Se Aata Ghundti Thi, Aur Zuban E Paak Se Qur'an Majeed Padhti Thi, Dil Se Uski Tafseer Karti Thi, Pair Mubarak Se Hasnain Karimain Ka Jhula Kulaya Karti Thi, Aur Aankho Se Khuda Ki Yaad Me Roya Karti Thi....
Afsos Ke Aajkal Ba'az Musalman Aurte Hatho Se Dholak Bajati Hai, Zuban Se Geebat Karti Hai, Dil Se Duniya Ko Chahti Hai, Aankho Se Be'sharmi Ka Muzahera Karti Hai Aur Pairo Se Nachti Hai, Fir Ye Jannat Ke Kese Jayegi ???
*HAZRAT SAIYEDA FATIMA ZAHRA KI IBADAT, RIYAZAT, AUR TILWATE QUR'AN WAGERAH....*
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ka Ma'mul Tha Ke Aap Khana Pakane Ke Waqt Bhi Tilawate Qur'ane Paak Kiya Karti Rehti Thi....
Huzur Sarware Qayenat ﷺ Jan Namaze Fazr Ke Waste Tashrif Le Jate To Raste Me Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Ghar Ke Qareeb Se Guzarte To Saiyeda Ke Chakki Peesne Ki Aawaz Ko Sunte To Nihayat Dard O Muhabbat Ke Sath Duwa Farmate...
*Meri Fatima Ko Riyazat W Kana'at Ki Ja'za E Khair Ata Farma....*
Saiyedna Imam Hasan Mujtaba رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Ba'az Awqat Me Apni Walida Mohtarmahazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Shaam Se Subha Tak Ibadato Riyazat Aur Khuda Ke Huzur Nihayat Aajizi Se Girya W Zari Aur Duwa W Iltija Me Mashgool Dekhta Tha...
Aur Aapki Aksar Duwaye Rasoole Kareem Huzur ﷺ Ke Talluk Se Hoti Thi....
Hazrat Saiyedna Salman Farsi رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Ek Martaba Huzur ﷺ Ke Hukm Se Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضی الله عنہ Ke Makan Par Gaya To Mene Dekha Ke..
*Hasnain Kareemain So Rahe Hai, Saiyeda Unhe Pankha Daal Rahi Hai, Aur Zubane Paak Se Qur'ane Paak Ki Tilawat Kar Rahi Hai, Ye Dekhkar Mujhpar Badi Ajeeb Kefiyat Taari Ho Gayi.....*
*FARISHTE SAIYEDA KI CHAKKI CHALATE THE, AUR HASNAIN KA JHULA JHULATE THE....*
Hazrat Umme Ayman رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ke Ramzanul Mubarak Ka Mahina Tha Aur Dophar Ka Waqt Tha, Shiddat Ki Garmi Padd Rahi Thi, Me Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Makan Par Hazir Huyi..
Darwaza Bandh Tha Aur Chakkki Chalne Ki Aawaz Aa Rahi Thi, Mene Jhank Kar Dekha To Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Zameen Par So Rahi Hai, Aur Hasnain Karimain Ka Jhula Khud-b-khud Hil Raha Hai...
Aur Chakki Bhi Apne Aap Chal Rahi Hai, Me Bahut Hairan Huyi Aur Usi Waqt Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hokar Tamam Waqiya Bayan Kiya To Aapne Irshad Farmaya...
*Aye Umme Ayman !* Is Shiddat Ki Garmi Me Meri Beti Fatima Roze Se Hai, Allah Taa'la Ne Apne Karam Se Fatima Par Neend Taari Kari Dee Hai Ke Unhe Garmi Aur Taklif Mehsoos Na Ho Aur Farishto Ko Hukm Diya Hai Ke Wo Fatima Ke Kaam Ko Seranjam De.....
*TASBEEH E FATIMA....*
Ek Martaba Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ke Mashware Se Huzur Ke Kashana E Aqdas Par Isliye Hazir Huyi Ke Agar Huzur ﷺ Kisi Khadima Ka Intezam Farma De To Ghar Ke Kaam Me Asani Ho Jaye Lekin Sarkare Do Aalam ﷺ Se Mulakat Na Ho Saki Wapas Tashrif Le Aayi....
Jab Huzur ﷺ Ko Maloom Huwa Ke Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Is Maksad Se Aayi Thi Lekin Mujse Mulakat Na Ho Saki To Sarkar ﷺ Khud Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Makan Par Tashrif Le Aaye Aur Farmaya Meri Pyari Beti ! Tum Khadima Ke Liye Aayi Thi ??
To Kya Me Tumhe Esi Cheez Na Bata Du Jisse Tum Ghar Ke Tamam Kaam Kaaj Karti Raho Aur Tumhe Zara Bhi Thakawat Mehsoos Na Ho Aur Ye Tumhare Liye Khadimo Se Behter Hoga, Jab Tum Bister Par Letne Lago To....
33 Martaba *Subhaanallah*- 33 Martaba *Al-Hamdulillah* Aur 34 Martaba *Allahu Akbar* Parh Liya Karo, Ye Tumhare Liye Bahut Behter Hai Aur Kabhi Thakan Bhi Mehsoos Na Hogi.....
*GAIBI RIZK....*
Ek Martaba Huzur ﷺ Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Yaha Tashrif Laaye To Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko 3 Din Ke Faanke Se Paaya To Huzur ﷺ Ne Duwa Farmayi..
*aye Allah Tu Rizk Nazil Farma Muhammad ﷺ Par Aur Unke Ahle Bait Par Jaise Tune Rizk Nazil Farmaya Mariyam Binte Imran Par...*
Iske Bad Farmaya Ke Beti Fatima Andar Jaawo Aur Jo Kuch Ho Le Aawo Jab Saiyeda Fatima Andar Gayi To Waha Par *ek Tabaak Dekha Jo Jawahirat Aur Sareed Se Bhara Huwa Hai Aur Uske Upar Bhuna Huwa Gosht Rakha Huwa Hai Aur Badi Bheeni-bheeni Khushbu Aa Rahi Hai...*
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Tabaak Uthaya Aur Lakar Sarkar Ki Khidmat Me Pesh Kar Diya, Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Farmaya...
*Beti Allah Ka Naam Lekar Khaawo, Fir Sarkare Aqdas ﷺ Aur Saiyedna Ali E Murtaza Aur Saiyeda Fatima Zahra Aur Hasnain Karimain Ne Is Gaibi Rizk Ko Tanawul Farmaya.....*
*APNA KHAANA SAYIL KO DE DIYA...*
Ek Martaba Ek Waqt Ke Faanke Ke Bad Khane Ka Intezam Ho Saka, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Aur Hasnain Karimain Ne Khana Khaa Liya Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Kisi Masroofiyat Ki Wajah Se Khane Me Sharik Na Ho Saki Ke Itne Ne Ek Sayil Ne Darwaze Par Aakar Aawaz Dee...
Aye Nabi Ki Sehzadi ! Me 2 Waqt Ka Bhooka Hu Agar Kuch Khane Ke Liye Hai To Muje Inayat Kar Do, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Hazrat Saiyedna Imam E Hasane Mujtaba رضی الله عنہ Se Farmaya...
*Aye Hasan ! Jawo Aur Mera Khaana Sayil Ko De Do, Saiyedna Imame Hasan رضی الله عنہ Ne Arz Kiya Ammi Jaan Aap Kya Khayengi ??? Farmaya Beta ! Mene To Ek Waqt Ka Hi Khana Nahi Khaaya Hai, Aur Sayil Ne 2 Waqt Ka Khana Nahi Khaya Hai, Me Apna Guzara Kar Lungi...*
*APNA NAYA KURTA SUWALI KO DE DIYA....*
Huzur ﷺ Ne Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Unki Shaadi Ke Mouke Par Jehaz Me Ek Naya Kurta Inayat Farmaya Tha...
Ek Din Ek Sayil Ne Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Darwaze Par Aawaz Lagayi Ke Aye Nabi Ke Ghar Walo ! Me Mohtaj Hu Muje Koi Fata Purana Kapda Inayat Kar Do...
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Pas Ek Purana Paiwand Laga Huwa Kurta Tha Irada Farmaya Ke Sayil Ko Wohi Kurta De De Lekin Fouran Khayal Aaya Ke Rabb Taa'la Ka Irshad Hai..
*Tum Hargiz Bhalayi Ko Na Pahuchoge Jab Tak Khuda Ki Raah Me Apni Pyari Cheez Na Kharch Karo....*
Fouran Apna Shadi Wala Naya Kurta Suwali Ko Ata Farma Diya, Uske Badle Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Ba-hukme Ilahi Jannat Se Sabz Sundus Ka Ek Joda Lakar Allah Ke Pyare Habib Ki Bargah Me Pesh Kiya Aur Arz Kiya *ye Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Liye Allah Taa'la Ki Taraf Se Khususi Tohfa Hai....*
Ek Martaba Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Us Jannati Jode Ko Zaib E Tann Farmakar Ek Majlis Ne Jalwa Farma Huyi, Raat Ka Waqt Tha Agarche Bahut Shamma Roshan Thi Magar...
*Aapke Is Jannati Libas Se Esa Noor Chamka Mashrik Se Magrib Tak Noor Hi Noor Fayl Gaya, Ye Manzar Dekhkar Baa'az Kafir Aurto Ke Dil Noore Islam Se Chamak Utthe Aur Kalma Parh Kar Islam Me Dakhil Ho Gayi....
*EK ANAR AUR EK SAAYIL....*
Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ek Martaba Bimar Huyi To Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Pucha Aye Sehzadi E Rasool Kisi Cheez Ke Khane Ki Khawaish Ho To Bataye ???
Aapne Farmaya Anar Khaane Ki Khawaish Hai, Ittefaq Ye Ke Us Waqt Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ke Pas Paise Na The, Kisi Se Ek Dirham Qarz Liya, Bazar Gaye Anar Kharida Aur Wapas Huwe Lekin Raste Me Ek Gareeb Bimar Saksh Par Nazar Padi, Ruk Kar Usse Pucha Kisi Cheez Ke Khane Ki Khawaish Hai ??? Us Saksh Ne Jawab Diya,,
Me 5 Din Se Yaha Par Hu Lekin Kisi Saksh Ne Meri Taraf Tawajjo Nahi Ki Ab Jab Aapne Tawajjo Ki Hai To Mera Dil Anar Khane Ko Chahta Hai...
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Sochne Lage Ke Mene Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Liye Ek Hi Anar Kharida Hai Agar Sayil Ko De Deta Hu To Kahin Rabb Ke Farman Ke Khilaf Na Ho Ke Rabb Farmata Hai *Mangte Ko Na Jhidko*
Uske Bad Ye Bhi Khayal Aaya Ke Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ka Farman Hai Ke *agar Suwal Karne Wala Ghode Par Bhi Sawar Hokar Aaye To Usko Khali Mat Bhejo*
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Anar Ko Toda Aur Sayil Ko Khila Diya, Sayil Ko Shifa Ho Gayi Aur Qudratan Usi Waqt Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Bhi Shifa Hasil Ho Gayi,
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Jab Ghar Pahuche To Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Aapko Gale Lagate Huwe Farmaya Aye Ali ! Aap Dil Me Kuch Khayal Na Laaye Khuda Ki Kasam ! Jis Waqt Tumne Us Bimar Ko Anar Khilaya Usi Waqt Mera Dil Anar Se Sair Ho Gaya Aur Muje Shifa Hasil Ho Gayi, Ye Sunkar Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Bahut Khush Ho Gaye...
Itne Me Kisi Ne Darwaze Par Dastak Dee, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Pucha Koun ??? Dastak Dene Wale Ne Jawab Diya Me Salman Farsi Hu, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Darwaza Khola To Rumal Dhaka Huwa Ek Thaal Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ke Samne Pesh Kiya,,
Aapne Pucha Ye Kaha Se Laaye Ho ?? Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Ne Kaha Ke Ye Allah Taa'la Ki Bargah Se Nabi E Kareem Ki Taraf Se Huzur ﷺ Ne Aapke Liye Bheja Hai,
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Us Thaal Ko Lekar Dekha To Usme 9 Anar The To Aapne Farmaya *agar Ye Mere Liye Hota To Isme 10 Anar Hote Kyunke Allah Taa'la Ka Farman Hai Ke Ek Neki Karne Wale Ko 10 Nekiyo Ka Badla Milta Hai....
Hazrat Salman Farsi رضی الله عنہ Ne Muskurate Huwe Ek Anar Apni Aasteen Se Nikalkar Us Thaal Me Rakha Aur Kehne Lage Ke Allah Taa'la Ki Kasam Me Aapko Aazmana Chahta Tha.....
*SAIYEDA FATIMA AUR PARDA....*
Huzur ﷺ Ne Ek Martaba Sahaba E Kiram Se Farmaya Ke Batao Aurat Ke Liye Konsi Cheez Behter Hai ?? Tamam Sahaba E Kiram Khamosh Rahe Kisi Ne Jawab Na Diya...
Ameer Ul Momineen Saiyedna Ali E Murtaza کَرَّمَ اللہُ تَعَالٰی وَجہَهُ الکَرِیم Farmate Hai Ke Ne Fouran Ghar Aaya Aur Sehzadi E Rasool Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Kaha Aaj Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ne Ye Suwal Kiya Hai Me Kya Jawab Du ??
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya *Na Aurte Ajnabi Mardo Ko Dekhe Na Mard Gair Aurat Ko Dekhe* Mene Jakar Huzur ﷺ Ko Pesh Kiya To Aapne Farmaya *Fatima Mere Jigar Ka Tukda Hai...*
*AAPKA WISAL E PAAK....*
Ummul Momineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ke Jab Huzur ﷺ Bimar Huwe To Sehzadi E Rasool Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Khidmat E Aqdas Me Hazir Huyi,
Huzur ﷺ Ne Unhe Muhabbat Se Apne Pas Bithaya Aur Ahista-ahista Kuch Bate Ki Jinko Sunkar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Rone Lagi, Saiyeda Fatima Ko Dekhkar Huzur ﷺ Ne Fir Usi Trah Ahista-ahista Kuch Baate Ki Jinko Sunkar Saiyeda Fatima Khush Hokar Hasne Lagi...
Ummul Momineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ke Mene Saiyeda Fatima Se Pucha Beti ! Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ne Tumse Kya Baat Ki Jinko Sunkar Pehle Tum Royi Fir Hans Padi ???
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Kaha Ke Me Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ke Raaz Zahir Nahi Karna Chahti....
Ummul Mo'mineen Saiyeda Ayesha Siddiqa رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ke Fir Jab Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ka Wisal Sharif Ho Gaya To Mene Kasam Dekar Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Kaha Ke Beti Ab To Is Raaz Ko Zahir Kar Do,
Ispar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Kaha Ke Ammi Jaan ! *Muje Abba Jaan Ne Pehli Martaba Ye Kaha Ke Mere Wisal Ka Waqt Ab Qareeb Aa Chuka Hai Aur Me Tumse Juda Hone Wala Hu Beti Sabr Karna* Jisko Sunkar Me Ro Padi..
Muje Ghumzuda Dekhkar Farmaya Ke Kya Me Tumhe Khushkhabri Na Du Ke *aye Fatima ! Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahi Ho Ke Saare Jahan Aur Jannati Aurto Ki Sardar Ho Aur Mere Ahle Bait Me Se Sabse Pehle Tum Hi Mujhse Milogi, Ye Sunkar Me Khush Ho Gayi Aur Hasne Lagi....
Huzur ﷺ Ke Wisal E Paak Se Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Jo Sadma Huwa Wo Bayan Se Bahar Hai, Ameer Ul Momi'neen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Allah Ke Pyare Habib Ke Wisal E Paak Ke Bad Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Aksar Roti Aur Farmati...
*Abba Jaan Allah Ko Pyare Ho Gaye Khuld Ke Baagho Me Hai, Unka Rabb Unki Takrim Aur Unpar Salam Bhej Raha Hai....*
Ameer Ul Momineen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Giryazari Ki Ye Kefiyat Dekhkar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Kaha Ke Aaj Raat Aap Chalkar Allah Ke Habib ﷺ Ke Roza E Paak Ki Hazri De, Mumkin Hai Ke Dil Ko Karar O Sukoon Ho Jaye...
Chunache Raat Ka Kuch Hissa Guzar Gaya To Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Ko Lekar Huzur ﷺ Ke Mazare Aqdas Par Hazir Huwe Jab Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Nazar Huzur ﷺ Ki Qabr Sharif Par Padi To Be-sakhta Kaha *aye Saari Qaynat Se Afzal Aapko Mitti Se Kya Talluk...*
Fir Jab Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Huzur ﷺ Ki Qabr Sharif Ke Qareeb Aayi To Ek Mutthi Khaak Lekar Apni Aankho Se Lagayi Aur Bahut Royi Fir Kaha Jisko Huzur ﷺ Ke Mazare Mubarak Ki Khushbudar Mitti Mile Usko Zamane Bhar Ki Khushbu Bhi Pasand Nahi Aati...
Fir Bade Be-karari Ke Sath Sarkar Ki Bargah Me Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ Aapke Wisal Ke Bad Mujhpar Jo Sakht Musibate Aayi Hai Agar Wo Dino Par Aa Jaye To Wo Din Raat Ho Jaye...
Sahih Riwayato Se Sabit Hai Ke Huzur ﷺ Ke Wisal Sharif Ke Bad Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Kisi Ne Haste Huwe Nahi Dekha Aap Par Har Waqt Ghum O Andoh Ki Kefiyat Taari Rehti Thi Aur Sarkar ﷺ Ko Yaad Karti Rehti Thi..
Huzur ﷺ Ke Wisal Sharif Ke 2 Mahine Bad Ya Ba-riwayat 3 Maah 5 Din Ya Ba-riwayat 6 Mahine Ke Bad Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Wisal Farmaya, Wisale Paak Ke Halat Ki Tafseel Ulema Ne Is Trah Bayan Farmayi Hai...
Ek Roz Ameer Ul Momineen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ghar Me Tashrif Laye To Dekha Ke *saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Aata Gundh Rakha Hai Thodi Si Mitti Bhigo Rakhi Hai Aur Sahibzade Imam E Hasan W Imam E Hussain Ke Kapde Dho Rahi Hai....*
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Ye Haal Dekhkar Pucha Aye Sehzadi E Rasool ! Ye Kya Muammla Hai ?? Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Rote Huwe Farmaya *ab Humari Aur Aapki Judayi Ka Waqt Kareeb Aa Gaya Hai..
Fir Farmaya Aye Hazrat Ali رضی الله عنہ Aaj Raat Mene Abba Jaan Janab Huzur ﷺ Ko Khawab Me Dekha Ki Mere Sirhane Khade Hai Aur Idhar Udhar Dekh Rahe Hai Jaise Kisi Ka Intezar Ho Meri Nazar Jaise Hi Aap Par Padi Ne Be-sakhta Pukar Uthi
ABBA JAAN AAP KAHA HAI ????
Aapne Farmaya Beti Me Yahi Hu Aur Tumhara Intezar Kar Raha Hu Aye Beti Fatima ! Ab Judayi Ke Din Guzar Gaye Kal Tak Tum Mere Pas Aa Jana, Itne Me Meri Aankh Khul Gayi Lihaza Aye Ali E Murtaza رضی الله عنہ Mera Gumaan Hai Ke Aaj Raat Me Tumse Juda Ho Jaungi Mere Wisal Ke Bad Aap Meri Judayi Ke Ghum Me Azz Khudd Rafta Honge,
Uske Bad Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Ki Lihaza,
Me Rotiya Isliye Paka Rahi Hu Ke Mere Sehzade Bhooke Na Rahe,
Kapde Isliye Dhoo Rahi Hu Ke Mere Bad Inke Kapde Maloom Nahi Koun Dhoyega,
Tamanna Hai Ke Ek Bar To Kapde Dhokar Me Apne Sehzado Ko Pehna Lu,
Mitti Isliye Bhigo Rakhi Hai Ke Inki Zulfe Dhokar Ek Bar Inhe Dulha Bana Kar Dekh Lu,
Ameer Ul Momineen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Jab Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Zuban Se Ye Bate Suni To Aapki Aankho Se Aansu Jari Ho Gaye,
Allah Ke Pyare Rasool ﷺ Ki Judayi Ka Ghumm Kya Kumm Tha Ke Aye Sehzadi Tum Bhi Humse Juda Ho Rahi Ho, Tumhari Judayi Ka Ghum Mere Liye Sakht Hoga,
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya Ke Aye Sher E Khuda ! Meri Judayi Par Bade Sabr O Zabt Se Kaam Lena Rona Nahi Ke Tumhare Rone Se Mere Sahibzade Hasan W Hussain Ko Sadma Hoga Aur Unke Sadme Se Meri Rooh Pareshan Hogi....
Fir Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Dono Sehzado Ko Nehlaya, Kapde Pehnakar Unki Zulfe Sanwari, Fir Unhe Apne Seene Paak Se Lagaya Aur Rone Lagi, Fir Farmaya Aye Mere Sehzado Me Nahi Keh Sakti Ke Kal Tumhare Sath Kya Hoga,
Fir Dono Sehzado Ko Bahar Ghumne Ke Liye Rukhsat Kar Diya Aur Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Se Farmaya Ke *ab Aap Yahi Rahe Ke Waqt E Wida Kareeb Hai, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza Ne Farmaya Aanh Re ! Sehzadi E Rasool Tumne Bhi Sath Chor Diya,
Itna Farmakar Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Qareeb Beth Gaye, Usi Waqt Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Hazrat Asma Binte Amees رضي الله تعالى عنها Ko Bulaya Aur Kaha Ke Rotiya Paka Do Fir Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Gusl Farmaya, Gusl Se Farig Hokar Hazrat Asma Se Farmaya *muje Ye Fikr Hai Ke Jab Mera Janaza Bahar Jayega To Log Dekhenge Jisse Muje Haya Aati Hai*
Hazrat Asma رضي الله تعالى عنها Ne Kaha Ke Aye Saiyeda Mene Habsha Me Dekha Hai Ke Aurto Ke Janaze Par Narm Shaakhe Kaman Ki Trah Bandhkar Upar Kapda Daal Dete Hai Is Trah Janaza Nikalne Me Be-pardagi Nahi Hoti,
Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Wo Gahwar Banwakar Dekha Bahut Khush Huyi Aur Wasiyyat Farmayi *mera Janaza Bhi Gahware Me Uthaya Jaye Mere Inteqal Ke Bad Muje Asma Binte Amees Gusl De Aur Mere Janaze Ke Sath Ziyada Majma Na Ho....*
Fir Hazrat Asma Se Farmaya Ke Aye Asma Tum Thodi Der Ke Liye Bahar Raho Ke Me Apne Rabb E Jaleel Ke Huzur Munajat Kar Lu, Hazrat Asma Binte Amees رضي الله تعالى عنها Bahar Aa Gayi,
Fir Thodi Der Ke Bad Jab Hichkiyo Ki Aawaz Suni To Betab Hokar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Hujre Me Dakhil Ho Gayi Dekha Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Sajde Me Ser Rakhkar Ro Rahi Hai, Hazrat Asma Binte Amees رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Jab Mene Kaan Lagaye To Mene Suna Ke Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Apne Rabb Ke Huzur Is Trah Munajat Kar Rahi Thi,
ILAHI BA-HURMATE JANAB MUHAMMAD ﷺ MERE SEHZADO KO MERI JUDAYI ME SABR ATA FARMANA, AUR APNE HABIB E PAAK KE TUFAIL MERI KHATAYE MUA'F KAR AUR AYE MERE RABB E KAREEM ! MERE ABBAJAAN KE GUNEHGARO KO MUAF FARMA,
Hazrat Asma Farmati Hai Ke Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Ye Kefiyat Dekhkar Me Bekarar Ho Gayi Aur Rone Lagi, Mere Rone Ki Aawaz Ko Sunkar Saiyeda Ne Apna Ser Mubarak Ko Uthaya Aur Meri Janib Dekhkar Farmaya Ke.
Aye Hazrat Asma ! Mene Kaha Tha Ke Bahar Raho Jab Me Bulau Tab Aana, Hazrat Asma Farmati Hai Ke Me Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Hukm Ki Ta'meel Ki Khatir Fir Hujre Se Bahar Aa Gayi,
Hazrat Asma Farmati Hai Ke Thodi Der Ke Bad Hujra E Paak Se Aawaz Aana Bandh Ho Gayi To Me Bechain Ho Gayi Mene 2 Aawaz Lagayi Lekin Koi Jawab Na Mila Me Be'karar Hokar Hujra E Paak Me Dakhil Huyi Aur Chehra E Zeba Se Chadar Hatayi To Guman Huwa Ke.
*ROOH E PAAK PARWAZ KAR CHUKI HAI,*
Hazrat Asma Farmati Hai Me Rone Lagi Aur Saiyeda Ke Kadmo Se Lipat Gayi, To Aapne Harkat Farmayi Aur Meri Taraf Mukhatab Hokar Farmaya Aye Asma ! Agar Mazar E Saiyedul Abrar ﷺ Par Jawo To Mera Salam Arz Karna Aur Fir Rooh E Paak Parwaz Kar Gayi,..
🌹إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ
Wisal E Paak Ke Muttallik Ek Riwayat Is Trah Bhi Hai Ke,
Aapne Wisal Se Pehle Gusl Farmaya, Pakiza Kapde Zeb E Tann Farmaye, Namaz Ada Ki, Fir Apna Dahina Hath Rukhsare Paak Ke Niche Rakhkar Qibla Rukh Lett Gayi, Aur Farmaya Me Apni Jaan Allah Taa'la Ke Supurd Kar Rahi Hu, Aur Rooh E Paak Parwaz Kar Gayi,
🌹إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ
Aapka Janaza Mubarak Hazrat Asma Binte Amis رضي الله تعالى عنها Ne Taiyar Kiya, Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Wasiyyat Ke Mutabik Aapne Hi Gusl Diya, Aapne Hi Kafan Pehnaya, Aapne Hi Gahwar Taiyar Kiya, Aur Aapne Hi Us Gahware Me Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ko Sulaya,
Aapko Raat Hi Me Jannat Ul Baqi Sharif Me Dafan Kiya Gaya, Aapke Janaze Mubarak Ke Sath Kuch Akabir Sahaba E Kiram Hi Sharik Ho Sake, Hazrat Abbas, Hazrat Abu Bakr Siddiq, Hazrat Usman E Ghani, Hazrat Abdurrehman Bin Auf, Hazrat Zubair Bin Awwam
رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ
*AAPKI NAMAZ E JANAZA...*
Hazrat Saiyeduba Ali E Murtaza Ba Riwayate Hazrat Saiyedna Abbas Ya Ek Riwayat Ki Buniyad Par Saiyedna Abu Bakr Siddiq رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Ne Padhayi,
Jannat Ul Baqi Sharif Me Jaha Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Dafn Hai Wohi Hujre Me Hazrat Abbas, Imam Hasan E Mujtaba, Hazrat Imam Zain Ul Aabedin, Hazrat Imam Muhammad Baqir, Hazrat Imam Ja'far Sadik رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Bhi Madfan Hai, Is Maqam Ko *QUBBE AHLE BAIT* Kehte Hai,
Ameer Ul Momineen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ko Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ki Judayi Ka Itna Sakht Sadma Aur Shadeed Ghum Tha Ye Bayan Se Bahar Hai Aapki Chashmane Mubarak Se Aasnu Jari The Aur Zuban E Paak Se Kalimate Shukr Ada Ho Rahe The, Is Mouke Par Aapne Jo Kuch Ash'ar Farmaye Wo Ye Hai,
*MUJSE MERA WO PYAR JUDA HUWA JISKE BAD AB KOI MEHBOOB HI NAZAR NAHI AATA, AUR MERE DIL ME USKE SIWA KISI KA BHI HISSA NAHI,*
*DUNIYA KE AMRAZ BA'KASRAT DEKHTA HU, AUR MAREEZ BALKE MOUT BHI BIMAR HAI,*
*HAR IJTEMA ME IFTARAK ZAROORI HAI AUR HAR WASL SIWAYE FIRAQ KE KUMM HAI,*
*AUR SAIYEDA FATIMA JAISI MEHBOOBA KI JUDAYI HUZUR ﷺ KE BAD DALEEL O ALAMAT HAI KE HAMESHA KISI KA MEHBOOB KISI KE PAS NAHI REHTA,*
*SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها KI AWLAD AMJAD...*
Sahibzadgaan Hazrat Saiyedna IMAM HASAN E Mujtaba- Hazrat Saiyedna IMAM HUSSAIN Shaheed E Karbala رضي الله عنهما Sahibzadiya Hazrat Saiyeda UMME KULSUM, Hazrat Saiyeda ZAINAB رضي الله عنهما...
Ba'az Logo Ke Nazdik Ek Sahibzade Hazrat Imam Mohsin Aur Ek Sahibzadi Hazrat Ruqaiyya رضي الله عنهما Bhi Paida Huwe Lekin In Dono Hazrat Ka Inteqal Bachpan Me Hi Ho Gaya....
Hazrat Saiyeda Umme Kulsum رضي الله تعالى عنها Ka Nikah Ameer Ul Momi'neen Saiyedna Umar Farook رضی الله عنہ Se Huwa Unke Batan Se Hazrat Zaid Aur Hazrat Ruqaiyya Paida Huwe...
Hazrat Zaid رضی الله عنہ Ka Inteqal Bhi Usi Din Huwa Jis Din Aapki Walida Majida Ka Inteqal Huwa, Riwayat Me Hai Ke Qabeela E Banu Adi Ke Log Aapas Me Kisi Bat Par Jaghad Rahe The Aap Unme Sulah Karwane Ke Liye Nikle Raat Ka Waqt Tha, Tariqi Me Aapko Koi Aapko Pehchan Na Saka, Ek Saksh Ne Aap Par Talwar Ka Waar Kar Diya Aap Usi Waqt Wisal Farma Gaye,
Ameer Ul Momineen Saiyedna Umar Farook رضی الله عنہ Ke Wisal Ke Bad Hazrat Saiyeda Umme Kulsum رضي الله تعالى عنها Ka Nikah E Saani Hazrat Oun Bin Jafar رضی الله عنہ Se Huwa, Aap Bhi Medan E Karbala Me Imam E Aali Maqam Ke Sath Thi,
Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ka Nikah Hazrat Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Se Huwa, Medan E Karbala Me Apne Biradar E Mukarram W Muazzam Saiyedna Imam E Hussain رضی الله عنہ Ke Sath Thi, Giraftari Ke Bad Bhi Aapne Nihayat Sabr O Isteqamat Se Jumla Masayib Ko Bardasht Kiya Aur Ahle Bait Hussaini Ki Nigehbani Farmayi,
Aapne Dono Lakhte Jigar Hazrat OUN Aur Hazrat MUHAMMAD Ko Bhi Medan E Karbala Me Imam E Aali Maqam Par Nisar Kar Diya,
*HAZRAT SAIYEDA ZAINAB رضي الله تعالى عنها.....*
Aapke Nana Jaan :- Huzur Saiyedna Muhammad Mustafa ﷺ.
Aapki Naani Jaan :- Saiyeda Khadijat Ul Qubra رضي الله تعالى عنها...
Aapke Walid E Mohtaram :- Ameer Ul Momi'neen Saiyedna Ali E Murtaza کَرَّمَ اللہُ تَعَالٰی وَجہَهُ الکَرِیم ....
Aapki Walida Majida :- Sehzadi E Rasool Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها...
Aapka Naam E Paak :- Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها...
Aapki Wiladat E Paak :- 5 - Jamadil Ula, 5 Hijri.
*AAPKA NAAM E PAAK....*
Aapka Naam E Paak Aapki Pedaish Ke Kayi Din Bad Rakha Gaya, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Ameer Il Momineen Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Se Jab Aapka Naam Rakhne Ke Liye Kaha, Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Kaha Ke Meri Is Bacchi Ka Naam Allah Ke Pyare Habib ﷺ Rakhenge...
Me Is Muammle Me Allah Ke Pyare Habib ﷺ Par Sabkat Nahi Kar Sakta, Kuch Din Intezar Kar Lo Sarkar ﷺ Safar Par Tashrif Le Gaye Hai, Jab Wapas Tashrif Layenge To Naam Tajwiz Farma Denge..
Chunache Jab Allah Ke Pyare Habib ﷺ Safar Se Wapas Aakar Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ke Ghar Tashrif Laye To Aapne Bacchi Ko Goud Me Liya Usi Waqt Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Arz Kiya Huzur Is Bacchi Ka Naam Tajwiz Farmaye....
*Huzur ﷺ Ne ZAINAB Naam Rakha, Apne Seene Se Lagaya, Pyar Farmaya Aur Duwao Se Nawaza....*
*TALEEM O TARBIYAT...*
Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ki Taleem O Tarbiyat Ka Andaza Lagana Aasan Nahi Hai,
Jinke Nana Huzur Saiyed E Aalam ﷺ Ho , Jinke Walid Majid Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza Ho, Jinki Walida Majida Hazrat Saiyeda Fatima Zahra Ho, Aur
Jinke Bhai Imam Hasan Mujtaba Aur Imam Hussain Saheed E Karbala Ho Ese Pakeeza Mahol Me Taleem O Tarbiyat Paane Wali Sehzadi Saiyeda Zainab Ki Sifat Kitni Buland Aur Pakeeza Hogi Humari Aqalo Ki Waha Tak Rasayi Nahi,
Hakaikat To Ye Hai Ke Aap Farasat-Danishmandi- Qur'an-Tafseer-Adab- Ilm E Kalam Par Haavi Thi, Zohdo Taqwa- Sadgi W Pakeezgi- Ibadat O Riyazat- Isteaamat- Istaqlal-Sadaqat- Jurr'at- Tawazo-Inqesari- Mehman Nawazi Ka Paykar Thi.....
*NABUWWAT KA PYAR.*
Huzur ﷺ Aapse Bahut Mohabbat Farmate The Kabhi Aisa Hota Ke *Huzur ﷺ Namaz Me Hote, Hazrat Saiyeda Zainab Sajde Ki Halat Me Aapki Pushte Paak Par Sawar Ho Jati, Jab Tak Aap Pusht E Paak Se Khudd Na Utarti Huzur ﷺ Sajde Se Ser Na Uthate....
Ek Martaba Huzur ﷺ Ke Pas Tohfe Me Sone Ka Haar Aaya, Aapne Farmaya Me Ye Haar Usko Pehnaunga Jisse Mujhe Bahut Zyada Pyar Hai, Chunache Aap Haar Lekar Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Pas Aaye Aur Aapke Gale Me Pehna Diya (Baaz Ne Kaha Ke Anguthi Aayi Thi)
Jab Huzur Aqdas ﷺ Ne Aakhri Hajj Farmaya Hai To Hazrat Saiyeda Zainab Qubra Aapke Sath Thi,
Jab Huzur ﷺ Ke Wisal E Paak Ka Waqt Qareeb Aaya To Aapne Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Se Farmaya Ke Mere Baccho Ko Lawo, Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Tamami Baccho Ko Lekar Hazir Huyi To Hazrat Saiyeda Zainab E Qubra رضي الله تعالى عنها Josh E Muhabbat Me Aage Badhi.
AUR HUZUR ﷺ KE SEENA E PAAK PAR APNA HATH RAKH DIYA, HUZUR ﷺ NE HAZRAT SAIYEDA ZAINAB رضي الله تعالى عنها KO APNE SEENE SE LAGA LIYA, SHAFQAT KI NIGAH FARMAYI, SER PAR HATH FERA AUR MATHE PAR BOSA DIYA.
Ek Martaba Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Aapko Apne Qareeb Bithaye Pyaar Farma Rahe The, Aapne Chaha Ke Aapki Geenti Sikhaye, Farmaya Beti Zainab "Qulli Wahida- Kaho Ek" Fir Hazrat Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Farmaya "Qulli Isnaini - Kaho Do" Aap Khamosh Ho Gayi, Hazrat Sher E Khuda Ne Farmaya Meri Aankho Ki Thandak Do Kyu Nahi Kehti Khamosh Kyu Ho Gayi,
Aapne Jawab Diya Abba Jaan Jis Zuban Se Ek Bar Ek Keh Diya Ab Usse Do Kaise Kahu..
Ye Shagufta Aur Bahut Lateef Aur Pyara Jawab Sunkar Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Bahut Khush Ho Gaye Aur Aapko Seene Se Laga Liya Aur Dono Aankho Ke Darmiyan Bosa Diya.
Aap Hazrat Saiyeda Khadijatul Qubra رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Ki Hum Shabeeh Thi, Huzur ﷺ Farmate The Meri Ye Nawasi Zainab Shakl O Sabahat Me Khadijatul Qubra Ki Trah Hai..
Aapki Guftagu Ka Andaz Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Jaisa Tha, Aap Hilm O Burdbaari Me Saiyedna Imam E Hasan Ke Misl Aur Shija'at O Itminaan E Qalb Me Hazrat Saiyedush Sohda Imam Hussain رضی الله عنہ Ki Trah Thi.
*AAPKA NIKAH...*
Aapka Nikah Aapke Chachazaad Bhai Hazrat Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Se Huwa, Nikah Masjid Me Huwa Aur Nihayat Saadgi Se Huwa, Jahez Me Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Kya Diya Ye Tafseel Maloom Nahi Lekin Albatta Yakeen Yahi Hai Ke Huzur ﷺ Ke Tarike Ke Mutabik Hi Jahez Diya Hoga, Nikah Ke Dusre Din Hazrat Abdullah رضی الله عنہ Ne Dawat E Walima Kiya....
*SHARM O HAYA...*
Hazrat Yahya Bin Maazni رضی الله عنہ Ka Bayan Hai Me Ek Muddat Tak Madina Munawwara Me Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Makan Ke Pados Me Raha Lekin *na Mene Kabhi Unke Qadd O Kamat Ko Dekha Na Mene Kabhi Unki Aawaz Suni*
Ek Martaba Bachpan Sharif Me Aap Tilawat E Qur'an E Majeed Farma Rahi Thi Tilawat Me Mahviyat Ka Ye Aalam Tha Ke Chadar Sharif Ser Mubarak Se Utar Gayi Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالى عنها Ne Farmaya...
*BETI SER PAR CHADAR ORDH LO AGARCHE GHAR ME KOI GAIR NAHI HAI LEKIN KHUDA KE MUQADDAS KALAM KI TILAWAT KAR RAHI HO...*
Esi Zehzadi Ki Sharm O Haya Ki Shaan Kitni Buland Hogi Jinki Muqaddas Maane Aisa Dars Diya Ho....
*SHOHAR KA AE'JAZ O AHTERAM...*
Aapne Hamesha Apne Shohar Ko Khush Rakhne Ki Koshish Ki Kisi Mouke Par Ranjida Na Hone Diya, Aapke Shohar Hazrat Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Bhi Aapse Hamesha Khush Rehte Aur Aapne Bhi Apni Puri Zindagi Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ko Khush Rakhne Ki Koshish Ki..
Jab Saiyedna Imam Hussain رضی الله عنہ Madina Taiyeba Se Rawana Hone Lage To Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ne Chaha Ke Aap Bhi Imam E Aali Maqam Ke Sath Safar Me Rahe, Ijazat Lene Ke Liye Apne Shohar Abdullah Bin Jafar Taiyar رضی الله عنہ Ke Pas Aayi Zuban Se To Kuch Na Keh Saki Albatta Aankho Se Aansu Jari Ho Gaye Hazrat Abdullah Ne Rone Ki Wajah Puchi To Batane Lagi Ki...
*MUJE APNE BHAI IMAM HUSSAIN SE BADI MUHABBAT HAI WO MADINA TAIYEBA SE FILHAL MAKKAH MUKARRAMA KI JANIB SAFAR KAR RAHE HAI, AGAR AAP IJAZAT DE TO IS SAFAR ME UNKE HUMRAH RAHU, AAPKE SHOHAR HAZRAT ABDULLAH NE IS KHAYAL SE KE AAPKI DIL AAZARI NA HO IJAZAT DE DI...*
*ZOHD-O-TAQWA....*
Duniya Ki Zeenato Aur Lazzato Aur Duniya Ke Saaz O Saman Aur Duniyawi Rahat Ko Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ne Kabhi Tarjeeh Nahi Di, Saari Umr Ibadat O Riyazat Me Guzari, Puri Umr Me Kabhi Aapki Namaz E Tahajjud Qaza Nahi Huyi.
Saiyedna Imam E Hussain رضی الله عنہ Aksar Farmaya Karte The Ke Meri Ye Behan Tahajjud Guzar Hai Aur Aapko Mukhatab Karke Farmate The Ke Aye Behan Meri Tamanna Hai Ke Tahajjud Ke Waqt Mere Liye Duwa Karo..
Hazrat Saiyedna Imam Zainul Aabedin رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Haadsa E Karbala Me Khooni Manzar Ko Dekhne Ke Sath-sath Bad Me Qaid Hokar Koofa Aane Aur Waha Qayam Ke Douran Fir Waha Se Dimashq Aane Aur Fir Dimashq Se Madina Taiyeba Aane Ke Douran
*MERI FUFI SAIYEDA ZAINAB UN MASAYIB O SHADAYID KE BAWAJOOD JO MULKE SHAAM KE SAFAR ME PESH AAYE NAMAZ E TAHAJJUD TARK NAHI KI....*
*AAPKA IMAAN O TAWAKKUL...*
Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ke Imaan O Tawakkul Ka Pura Andaza Isse Lagaya Ja Sakta Hai Ke Hazrat Saiyedna Imam Aali Maqam Ki Sahadat Ke Bad Jab Ahle Bayt E Athar Ki Khawatin E Mohtaram Ko Giraftar Karke Waha Se Guzara Gaya Jaha Saiyedna Imam Hussain رضی الله عنہ Aur Aapke Sathiyo Ke Muqaddas Jism Khoon Me Doobe Huwe Rett Par Pade Huwe The,
Us Waqt Saiyena Imam Hussain رضی الله عنہ Ki Sabira Bahen Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ne Bade Sabr O Sabaat Aur Ae'tmaad Aur Yakeen Ke Sath Bargaahe Rabbul Izzat Me Dashte Duwa Buland Karke Yun Arz Kiya...
*AYE ALLAH ! APNE DEEN KE TAHAFFUZ KE SILSILE ME HUMARI YE KURBANIYA QABOOL FARMA.....*
Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ka Muqaddas Tarze Amal Aapke Ma'rifat E Ilahi Aur Tawakkal Alallah Ke Aa'la Martabo Par Fayiz Hone Ki Badi Roushan Daleel Hai
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ke Dour E Khilafat Me Aap Koofa Me Apne Maqan Ke Andar Koofa Ki Aurto Ko Dars E Quran Diya Karti Thi..
Ek Din Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ma'mool Ke Mutabik Dars E Qur'an De Rahi Thi, Sureh Mariyan Ki Ayat کٓہٰیٰعٓصٓ Ki Tafseer Bayan Kar Rahi Thi Ke Itne Me Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Aa Gaye, Aapne Pucha Beti Aaj کٓہٰیٰعٓصٓ Ki Tafseer Bayan Kar Rahi Ho ??? Aapne Arz Kiya Haan Abbajaan !
Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ne Farmaya *Beti Zainab ! Isme Bade Raazo Ka Samundar Hai, Ye Sunkar Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Ki Aankho Me Aansu Aa Gaye...
*SAIYEDA ZAINAB KA TARIKHI KHUTBA JISNE QASRE YAZEED KE DAR O DEEWAR KO HILA DIYA....*
Sab Khoobiya Us Allah Taa'la Ke Liye Hai Jo Saare Jahano Ka Parwardigar Hai Aur Durood O Salam Ho Uske Pyare Rasool Aur Unki Aale Paak Par.
Allah Taa'la Ka Irshad E Barhaq Hai Ke Un Logo Ka Bura Anjam Hai Jo Barabar Bure Kaam Karte Rahe Aur Allah Taa'la Ki Ayato Ko Jhutlaya Aur Unke Sath Takaskhur Kiya..
Aye Yazeed ! Tujhd Bazahir Hum Par Zameen Ke Goshe Aur Aasman Ke Kinare Tang Kar Diye Aur Hume Qediyo Ki Trah Laaya Gaya Aur Tu Ye Guman Karta Hai Ke Hum Zaleel Aur Tu Jaleel Hai Aur Tu Isko Dekhta Hai Ke Duniya Tujhe Hasil Hai Aur Tamam Ashab Hai Aur Humari Saltanat Tere Qabze Me Ikhtiyar Me Hai Isliye Tu Naak Charha Kar Itra Raha Hai Aur Is Kaam Se Bada Khush Hai...
Thehar Jaa ! Aur Jaldi Naa Kar ! Kya Tu Khuda Ka Ye Farman Nahi Janta Ke Kafir Log Ye Gumaan Na Rakhe Ke Humne Unko Jo Dheel De Rakhi Hai Ye Unke Liye Behter Hai, Hum To Mehaz Isliye Unko Mohlat Dete Hai Ke Wo Dil Kholkar Gunah Ziyada Kar Le, Unke Liye Ruswa Karne Wala Azab Mojud Hai...
Aye Yazeed ! Tune Hunare Gham Ko Gehra Kar Diya Aur Zurriyate Rasool Aur Aulad E Abdul Muttalib Ko Sata Raha Hai Aur Zameen Par Unke Muqaddas Khoon Ko Bahakar Apne Gumaan Me Tune Inki Asl Ko Jadd Se Ukhad Diya...
Aye Yazeed ! An'qareeb Tu Iske Anjam Se Do Chaar Hoga, Is Waqt Tu Apne Rawaiyye Ki Buniyad Par Sochega Ke Kash Tere Hath Shal Hote Aur Jo Kuch Kaha Aur Kiya Hai Na Kehta Na Karta..
Meri Duaa Hai Ke Aye Allah ! Humara Haq Hume De De Aur Humpar Zulm Karne Walo Se Inteqam Le Aur Jin Logo Ne Humara Khoon Bahaya Hai Aur Humara Sath Dene Walo Ko Qatl Kiya Hai Inpar Apna Qehro Gazab Nazil Farma..
Aye Yazeed ! Khuda Ki Kasam ! Tune Apna Chamda Kaata Hai Aur Tune Apne Gosht Ke Tukde Kiye Hai To Nabi Ki Zurrtiyatki Touheen Karne Ka Bojh Uthakar Anqareeb Rasoolallah ﷺ Ki Bargah Me Hazir Hoga, Jab Roz E Qayamat Allah Taa'la In Sabko Ek Jagah Jama Karega Aur Unke Dushmano Se Inteqam Lega.
Aur Jo Log Allah Ki Raah Me Shaheed Hote Hai Unke Mutallik Qur'an Gawah Hai Ke Inke Murda Hone Ka Guman Bhi Na Karo, Wo Zinda Hai Aur Apne Parvardigar Ke Yaha Rizk Paate Hai..
Tere Liye Aye Yazeed ! Allah Taa'la Ka Hakim Hona Aur Nabi Ka Dushman Hona Aur Jibraeel Ka Tere Bar'khilaf Humara Madadgaar Hona Kafi Hai, Jin Logo Ne Tere Liye Jagah Hamwar Ki Aur Tujhe Musalmano Ki Gardano Par Musallat Kiya Unko Maloom Ho Jayega Ke Zalimo Ka Kis Qadr Bura Anjam Hai.
Aur Aye Yazeed ! Tujhe Ye Bhi Maloom Ho Jayega Ke Kiska Anjam Bura Aur Kiska Lashkar Kamzor Hai, Aur Aye Yazeed ! Ye Bhi Inqilab E Rozgaar Aur Hawadisat E Zamana Ka Shahkar Hai Ke Me Tujhse Khitab Karu, Tere Maqam Ko Isse Kahin Bura Aur Teri Zabro Tauheen Karne Ko Bahut Azeem Samajhti Hu.
Magar Kya Karu Ke Aankh Roti Hai Aur Dil Pursoz Hai, Kis Qadr Taa'jjub Ki Baat Hai Ke Shetani Giroh Aur Gulamzaado Ne Khuda Ke Najeeb Aur Chune Huwe Giroh Ko Qatl Kar Diya Hai.
Aye Yazeed ! Agar Tu Humari Zahiri Kamzori Ko Apne Liye Ganimat Samaj Raha Hai To Kal Qayanat Ke Din Teri Samaj Me Aa Jayega Jab Tu Hatho Ke Kartuto Ke Alawa Kuch Na Payega Aur Khudawande Quddus Apne Bando Par Zulm Nahi Karta Hum Khuda Ki Bargah Me Apna Haal Arz Kar Rahe Hai Aur Isi Par Bharosa Karte Hai..
Aye Yazeed ! Tu Jis Qadr Chahe Maqr O Fareb Kar Le Aur Jis Qadr Chahe Zulm Kar Le Tu Jo Kar Sakta Hai Kar Le Lekin Khuda Ki Kasam .
*TU HUMARE ZIKR E JAMEEL KO NAHI MITA SAKTA AUR NAA HI HUMARE MAQAM KI BULANDI KO CHOO SAKTA HAI AUR NA APNE KARTOOT KI BURAYI KO DOOR KAR SAKTA HAI.*
Aye Yazeed ! Teri Raay Aur Teri Koshish Kamzor Hai Ye Saltanat Kuch Din Ki Hai Aur Teri Jama'at Paraganda Hai, Aye Yazeed ! Woh Waqt Qareeb Hai Jab Ek Munadi Nida Karega La'nat Ho Aisi Qoum Par Jisne Ye Zulm O Sitam Kiya Hai..
Hamd O Sana Hai Us Allah Taa'la Ki Jisne Humare Pehlo Ka Khatima Saa'dat W Magfirat Ke Sath Aur Shahadat W Rehmat Ke Sath Farmaya, Hum Apne Usi Rabb Se Sawal Karte Hai Ke Wo Unke Ajro Sawab Ko Ziyada Se Ziyada Kare..
Aur Hume Unki Sahi Janasheeni Karne Ki Toufiq Ata Farmaye, Wo Bada Meharban Aur Rehmat Wala Hai, Wohi Humare Liye Kafi Hai, Wohi Humara Kaarsaaz Hai..
Sher E Khuda Ki Sehzadi Saiyeda Zainab Ke Is Khutbe Ne Yazeediyo Par Wo Asar Daala Ke Sab Aise Khamosh Ho Bethe The Jaise Saanp Sungh Gaya Ho, Kisi Ko Bat Karne Ki Jurr'at Na Ho Saki, Aapne Maazi W Mustaqbil Ke Wo Nakshe Kheech Kar Rakh Diye Ke Yazeedi Aiwan E Hukumat Ke Darr O Deewar Ko Hilakar Rakh Diya...
*AAPKA WISAL E PAAK...*
hazrat saiyeda zainab رضي الله تعالى عنها ke wisal e paak ki tarikh me ikhtelaf paaya jata hai lekin kasrat e raay ye hai ke..
aapka wisal e paak 15 rajjab ul murajjab 62 hijri me huwa jab aapke shohar abdullah رضی الله عنہ mulke shaam ke safar me jaa rahe the, aap bhi sath thi to damishk ke qareeb aapka wisal ho gaya, wohi aapko dafn kiya gaya..
*MAZAR E MUQADDAS...*
shehar damishq ke qareeb chaar-paanch meel ke fasle par zainabiya naami ek gaanw hai, wohi aapka mazar sharif hai, damishk se bus aati jati rehti hai, maqam e zainabiya se kayi meel fasle se hi aapka mazar sharif ka sabz gumbadh nazar aane lagta hai mazar sharif ke qareeb jo darwaza hai uspar likha huwa hai.
*SAIYEDA ZAINAB BINTE ALI E MURTAZA KA YE MAZARE MUQADDAS HAI.....*
HAZRAT SHAIKH ABU BAKR MUSLI KA TARIKA E ADAB...
Hazrat Shaikh Abubakr Musli رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Bayan Karte Hai Ke Mene Musalsal 12 Saal Hazrat Saiyeda Zainab E Qubra رضي الله تعالى عنها Ki Bargah E Aqdas Me Hazri Di, Mera Tarika Hazri Ka Ye Tha Ke
Jab Me Hazir Hota To Roza E Athar Ke Andar Nahi Jata Tha, Beiruni Hisse Me Qadam Sharif Ki Sidh Me Khada Ho Jata Aur Salam Arz Karta Fir Wapas Aa Jata Ya'ni Adab O Ehteram Ke Peshe Nazar Roza E Paak Ke Andar Jaane Ki Jurrat Na Karta.
Farmate Hai Ke Ek Roz Mene Khawab Me Dekha Ke Hazrat Saiyeda Zainab رضي الله تعالى عنها Mazar E Muqaddas Se Bahar Tashrif Laayi Aur Bade Kareemana Andaz Me Farmaya
*Aye Bete ! Allah Tere Adab Ko Aur Ziyada Kare, Beshak Mere Nanajaan Aur Aapke Ashab Hazrat Ayman Jinhone Mere Nanajaan Ki Parwarish Ki Unki Wafat Ke Bad Ziyarat Kiya Karte The.*
Aapke Sohar Hazrat Abdullah رضی الله عنہ Ka Mazar Sharif Damishq Sehar Ke Jame'a Sageer Naami Ek Qabristan Me Hai....
Ahle Bayt E Nabuwwat.....
Allah Taa'la Chahta Hai Ke Tum Se Naapaki Door Kare Aye Ahle Bayt E Rasool Aur Tumhe Paak Kare Khoob Paak..
Aksar Mufassireen Ki Raay Hai Ke Ye Ayat E Kareema Hazrat Saiyedna Ali E Murtaza کَرَّمَ اللہُ تَعَالٰی وَجہَهُ الکَرِیم Hazrat Saiyadatunnisa Fatima Zahra, Hazrat Imam Hasan Aur
Hazrat Imam Hussain Ke Haq Me Nazil Huyi...
Allah Tabarak W Taa'la Farmata Hai Aye Pyaare Mehboob ﷺ !
Farmadijiye Ke Aye Logo Me Tumse Is Hidayat W Tabligh Ke Badle Kuch Ujrat Wagaira Nahi Mangta Siway Karabat Ki Muhabbat Ke.
Hazrat Saiyedna Ibne Abbas رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Jab Ye Ayate Kareema Nazil Huyi To Sahaba E Kiram Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ Wo Aapke Kareebi Log Koun Hai ??? Jinki Muhabbat Hum Par Wajib Ki Gayi ?? Sarkar Ne Farmaya Ali W Fatima Aur Unke Dono Bete
(Zarqani Sharif}
Ahle Bayt E Koun-koun Hazrat Dakhil....
Huzur Ke Ahle Bayt Me Huzur ﷺ Ke Nasab Aur Karabat Ke Ae'tbar Se Woh Log Hai Jinpar Sadka Haram Hai, In Ahle Bayt Me Huzur ﷺ Ki Ajwaz E Mutahharat Apki Biwiya{hum Musalmano Ki Maaye} Aur Hazrat Khatoon E Jannat Fatima Zahra, Hazrat Moula Ali Mushkil Kusha Aur Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Sab Dakhil Hai.
Huzur Ki Ajwaz E Mutahharat Ka Martaba...
Qur'an E Kareem Se Ye Sabit Hai Ke Nabi E Kareem ﷺ Ki Muqaddas Biwiya Martabe Me Sabse Ziyada Hai Aur Unka Azr Sabse Se Badhkar Hai, Duniya Jahan Ki Aurto Me Koi Unka Humsar Aur Hum Martaba Nahi.
Agar Auro Ko Ek Neki Par 10 Gunaa Sawab Milega To Unhe 20 Gunaa Kyunke Unke Amal Me Do Jahtte Ha. Ek Allah Taa'la Ki Bandagi W Itaa'at Aur Dusre Nabi E Kareem ﷺ Ki Raza Juyi W Itaa'at, Lihaza Unhe Auro Se Duna Sawab Milega.
Panjatan E Paak..
Huzur ﷺ Farmate Aur Moula Ali Aur Hazrat Bibi Fatima Zahra Aur Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Ko Panjatan E Paak Kehte Hai Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur ﷺ Ne Hazrat Moula Ali Mushkil Kusha, Saiyeda Fatima Zahra, Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ
Ko Apni Gali Me Aqdas {qambal Mubarak} Me Lekar Ye Duwa Farmayi
Ya Rabb ! Ye Mere Ye Mere Ahle Bayt Hai Aur Mere Makhsoos Hai, Inse Naapaki Ko Door Karde Aur Inhe Paak Kar De Khoob Paak.
Ye Duwa Sunkar Ummul Momineen Hazrat Umme Salma رضي الله تعالى عنها Ne Arz Kiya Me Bhi Inke Sath Hu. Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Umme Salma Tum Behtari Par Ho.
Aur Ek Riwayat Me Hai Ke Sarkar Ne Farmaya "Bala" Haan Beshak ! Aur Unhe Bhi Kambal Sharif Me Dakhil Farma Liya..
HAZRAT SAIYEDUNA ABBAS AUR AAPKI AULADE...
Sa'lbi Ka Khayal Hai Ke Ahle Bait Se Tamam Bani Hashim Murad Hai, Isko Is Hadees E Paak Se Taayid Pahuchti Hai Jisme Zikr Hai Ke Huzur ﷺ Ne Apni Rida {chadar Mubarak} Me Hazrat Saiyedna Abbas رضی الله عنہ Aur Unki Sehzadiyi Ko Liptakar Duwa Farmayi Jiski Tafseel Is Trah Hai
Ek Martaba Huzur E Akram ﷺ Ne Hazrat Abbas ... Se Farmaya : Aye Mere Chacha ! Apne Ghar Rehna Aur Apne Baccho Ko Bhi Bahar Mat Bhejna, Me Kal Tumhare Yaha Aaunga, Mujhe Tumse Kaam Hai, Fir Jab Huzur Aqdas رضی الله عنہ Unke Yaha Rounak Afrzo Huwe To Apni Chadar Sharif Me Dhaanpa Aur Yun Duwa Farmayi
AYE ALLAH ! YE MERE CHACHA AUR MERE WALID KE KAYIM MAQAM HAI AUR UNKE YE FARZANDAN MERE AHLE BAYT HAI IN SABKO AATISH E DOZAKH SE AISA HI CHUPA LE JIS TRAH MENE INHE APNI CHADAR ME CHUPA LIYA HAI, ISPAR UN SABNE AMEEN KAHI AUR GHAR KE DARR O DEEWAR NE AMEEN KAHI, EK AUR RIWAYAT ME AATA HAIKE GHAR KA PATTHAR YA DHELA AISA NAHI THA JISNE AMEEN NA KAHI HO...
Tirmizi Sharif Me Hai Ke Hazrat Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi Hai Ke Unhone Farmaya Ke Rasool E Kareem ﷺ Ne Hum Sabko Apni Chadar Sharif Me Chupa Liya Aur Uske Bad Yun Duwa Farmayi...
Ahle Bayt E Kiram Ke Fazaeel Bahot Hai, In Hazrat Ki Shaan Me Jo Ayate Aur Hadeese Warid Hai Un Ke Mutaale Se Maloom Hota Hai Ke
AHLE BAYT E KIRAM SE RABB TAA'LA NE NAPAKI KO DOOR FARMA DIYA HAI, UNHE KHOOB PAAK KIYA AUR JO CHEEZ UNKE MARTABE KE LAYIK NAHI PARWARDIGARE AALAM NE USSE MEHFOOZ RAKHA..
AHLE BAYT E RASOOL PAR DOZAKH KI AAG HARAM HAI.
SADKA UNPAR HARAM KIYA KE SADKA DENE WALE KA MAYL HAI.
AWWAL GIROH JISKI HUZUR SHAFA'AT FARMAYENGE HUZUR KE AHLE BAYT HAI..
AHLE BAYT KI MUHABBAT FARAYIZ E DEEN SE HAI AUR JO SAKSH UNSE BUGZ RAKHE WO MUNAFIK HAI.
AHLE BAYT KI MISAL HAZRAT NOOH ALEYHISSALAM KI KASHTI KI TRAH HAI JO USME SAWAR HUWA USNE NAJAT PAAYI AUR JO USSE KATRAYA HALAK W BARBAD HUWA.
AHLE BAYT E ATHAR ALLAH TAA'LA KI WO MAZBOOT RASSI HAI JISE MAZBOOTI SE THAMNE KA HUME HUKM MILA.
EK HADEES SHARIF ME HAI KE HUZUR AQDAS ... NE FARMAYA ME TUMME 2 CHEEZE CHORTA HU JAB TAK TUM UNHE NA CHOROGE HARGIZ GUMRAH NA HONGE.
EK AUR HADEES SHARIF ME HAI KE HUZUR NABI E KAREEM... NE FARMAYA KE
APNI AULAD KO 3 KHASLATE SIKHAWO...
APNE NABI KI MUHABBAT....
APNE NABI KE AHLE BAYT KI MUHABBAT AUR QUR'AN KI QIR'AT......
AHLE BAIT E ATHAR W SADAT E KIRAM KE FAZAEEL....
HADEES SHARIF KI ROSHNI ME AHLE BAYT W SADAT E KIRAM KE FAZAYIL....
Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya Me Tum Me 2 Cheeze Chorta Hu, Jab Tak Tum Unhe Na Choroge Hargiz Gumrah Na Honge...
Ek Aur Hadees Sharif Me Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya Apni Aulad Ko 3 Khaslate Sikhawo "Apne Nabi Ki Muhabbat" Apne Nabi Ki Ahle Bayt Ki Muhabbat" Aur "Qur'an Ki Tilawat"..
Ahle Bayt E Rasool Akram ﷺ Musalmano Ke Liye Duniya Me Kashti E Nooh Ki Manind Hai, Ahle Bayt Ki Muhabbat Unki Ita'at W Ittiba Zariya E Najat Hai..
Ahle Bayt Se Muhabbat Rasool E Kareem ﷺ Se Muhabbat Ki Alamat Hai...
Huzur E Akram ﷺ Ke Ghar Walo, Ajwaz E Mutahharat, Aulad E Paak Ki Muhabbat, Huzur E Akram ﷺ Ki Muhabbat Me Jeena Hai Aur Huzur ﷺ Ki Muhabbat Ka Zariya Hai...
Ahle Bayt E Athar Se Muhabbat Rakhne Walo Ko Rasoolallah ﷺ Ke Darbar Me Maqbooliyat Hasil Hoti Hai, Huzur Nabi E Kareem ﷺ Unse Raazi Aur Khush Hote Hai...
Ahle Bayt E Athar Ki Muhabbat Ka Takaza Hai Ke Tamam Sahab E Rasoolallah ﷺ Se Muhabbat Rakhi Jaaye, Jo Sahaba E Kiram رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Se Muhabbat Nahi Rakhta Woh Ahle Bayt E Athar Ka Bhi Mukhalif Hai Aur Rasool E Kareem ﷺ Ka Bhi Mukhalif W Baaghi Mardood Jahannami Hai...
Ahle Bayt Ki Muhabbat Ka Takaza Hai Unke Makam W Martabe Ki Marifat Hasil Ki Jaye, Kama Hakkahu Ta'zeem W Takrim Ki Jaaye, Unke Nakshe Qadam Ki Pairvi Ki Jaye...
Aale Rasoolallah ﷺ Ki Mar'efat [pehchan] Naar E Jahannam Se Aazadi Ka Sabab Aur Pulsirat Se Salamat Guzarne Me Aasani Ka Bayis Hai Aur Azab Se Bachne Ka Zariya Hai...
Ahle Bayt Ki Muhabbat Ka Matlab Ye Hai Ke Unpar Aetemad Kiya Jaaye Unke Farman Ki Taa'meel Ki Jaye....
*YAAD RAHE KE AHLE BAYT KI ITA'AT BHI UNHI EHKAAM ME HAI JO KHILAF E SHAR'A NA HO...*
Ahle Bayt Aur Qur'an Lazim W Malzoom Hai, Ahle Bayt E Athar Ke Aqaeed W Aa'mal Qur'an W Hadees Ke Khilaf Nahi Ho Sakte, Ye Paak Baaz Hai, Mulhid, Gumrah Aur Be-Deen Nahi Ho Sakte.
Isi Liye Farmaya Gaya Ke Tum Qur'an Aur Ahle Bayt Ki Mazbooti Se Thaame Rahoge To Gumrah Na Honge...
Ahle Bayt Ke Bare Me Allah Taa'la Se Darte Rehna Lazim Hai Ke Kahin Unki Be'adabi W Gustakhi Ya Unki Touheen W Tankees Na Hone Paaye..
Imaan Ki Zeenat, Deen Ki Rounak, Qur'an Majid Aur Ahle Bayt E Athar Se Hai, Ye Dono Ese Bhari Bharkam Ya Nafees Tareen Cheeze Hai Jo Mata E Imaan Me Sabse Ziyada Keemti Hai...
Qur'an W Ahle Bayt Medan E Mehshar Me, Houz E Kousar Par RasoolAllah ﷺ Ki Bargah E Auliya Me Apne Muhibbin W Mutbayin Ki Sifarish Karenge Aur Unki Shifarish Maqbool Hogi...
Ahle Bayt E Athar Ne Kabhi Namaz Nahi Chori, Ahle Bayte Athar Deen E Islam Ki Zeenat Hai.
Huzur ﷺ Ne Farmaya Aale Muhammad ﷺ Ki Pehchan Jahannam Se Aazadi Ka Sabab Hai, Aale Muhammad ﷺ Ki Muhabbat Pulsirat Se Salamat Guzarne Me Aasani Ka Bayis Hai, Aale Muhammad ﷺ Se Dosti Rakhna Azab E Qabr Se Bachne Ka Zariya Hai...
Hazrat Imam Qazi Ayaz Maliki رضی الله عنہ Farmate Hai Ke Ba'az Ulema Ne Farmaya Ki .
Aale Muhammad ﷺ Ki Pehchan Ka Matlab Ye Hai Ke Rasool E Kareem Ki Nisbat Se Unhe Jo Izzat W Martaba Hasil Hai Use Pehchan Liya To Uski Wajah Se Usne Unke Haq Aur Unki Hurmat Ke Wajib Hone Ko Pehchan Liya.
(Ash'shifa, Jild-02)
Huzur ﷺ Apni Ummat Ke Har Nek W Bad Aadmi Aur Har Nek W Bad Amal Ko Jante Hai Aur Dekhte Hai, Huzur ﷺ Ki Nisbat Ke Lihaz W Adab Se Aadmi Ka Anjam Accha Hota Hai Lihaza Har Us Cheez Ka Dil Me Adav W Ehteram Rakhna Chahiye Jiska Huzur ﷺ Se Ta'lluk Ho.
BARGAAH E ILAHI ME ILTEJA W DUWA.
Bargahe Ilahi Me Ilteja W Duwa Hai Ke Apne Habib Sarkar E Do Aalam Huzur ﷺ Ke Sadqe Me Apne Mehboob Ki Aur Qur'an Majeed Aur Ahle Bayt E Athar ki Sacchi Muhabbat Ata Farmaye Aur Unke Hukook Ada Karne Ki Toufik Ata Farmaye.
Ameen..
SADAT E KIRAM(SAIYEDO) KI BARGAH ME MOA'DABANA GUZARISH...
Sadat E Kiram Se Takhallus W Khaksari Se Aajizana W Moa'dabana Apeel Hai Ke Woh Apni Wirasat Ki Shaan Dobala Karte Huwe Apne Kirdar W Amal Me Aisa Rang Dikhaye Ke Gulaman E Rasool Aur Awamunnas Jise Dekhkar Be-Sakhta Keh Uthe Ke YEH HAI AULAD E RASOOL ﷺ.
Bas Yahi Humari Aazizana Guzarish Hai Aur Yahi Humari Aap Hazraat Ke Liye Mukhlisana Tamanna W Aarzu Hai...
MUKAMMAL..
Comments
Post a Comment