TARJUMA-E-KANZUL IMAAN, ALBUM-11..
🖎SUREH KAHA'F....
✍🏻①.
✏Sab Khoobiya Allah Ko Jisne Apne Bande Par Qitab Utari Aur Usme Aslan Kaji na Rakhi...
✍🏻②.
🖊Adal Wali Qitab Ke Allah Ke Sakht Azab Se Daraye Aur Imaan Walo ko Jo Nek Kaam Kare Basharat De Ke Unke Liye Acha Sawab hai..
✍🏻③.
✏Jisme Hamesha Rahenge...
✍🏻④.
🖊Aur Unko Darawo Jo Kehte hai Allah Ne Apna Koi Baccha Banaya..
✍🏻⑤.
✏Is Bare me Na Woh Kuch Ilm Rakhte hai Na Unke Baap Dada Kitna Bada Bol hai Ke Unke Munh Nikalta hai Neera Jooth Keh Rahe hai...
✍🏻⑥.
✏To Kahin Tum Apni Jaan Par Khel Jaoge Unke Piche Agar Woh Is Bat par Imaan Na Laye Ghum se...
✍🏻⑦.
🖊Beshak Humne Zameen Ka Singaar Kiya Jo Kuch Uspar hai Ke Unhe Aazmaye Unme Kiske Kaam Behter hai..
✍🏻⑧.
✏Aur Beshak Jo Kuch Uspar hai Ek Din Hum Use Patt kar Medan Kar Chorenge..
✍🏻⑨.
🖊Kya Tumhe Maloom Huwa ke Pahad ki Khoh(खोह) Aur Jungle ke Kinare wale Humari Ek Ajeeb Nishani The..
✍🏻⑩.
✏Jab Un Jawano Ne Gaar Me Panah Li Fir Bole Aye Humare Rabb Hume Apne Pas Se Rehmat de Aur Humare Kaam Me Humare Liye Raah-Yabi ke Saman Kar...
✍🏻⑪.
✏To Humne Us Gaar me Unke Kaano Par Ginti ke Kayi Baras Thapka..
✍🏻⑫.
🖊Fir Humne Unhe Jagaya Ke Dekhe Do Giroh Me Koun Unke Thehrne ki Muddat Zyada Theek Batata hai..
✍🏻⑬.
✏Hum Unka Theek-Theek Haal Tumhe Sunaye Wo Kuch Jawan The Ke Apne Rabb Par Imaan Laye Aur Humne Unko Hidayat Badhayi..
✍🏻⑭.
🖊Aur Humne Unki Dharas(ढारस) Bandhaai Jab Khade Hokar Bole Ke Humara Rabb Wo Hai Jo Aasman Aur Zameen ka Rabb hai Hum Uske Siwa Kisi Ma'bood ko Na Poojenge Esa Ho to Zaroor Humne Hadd se Guzri Huyi Baat Kahi...
✍🏻⑮.
✏Ye Jo Humari Qoum hai Usne Allah Ke Siwa Khuda Bana Rakhe hai Kyo nahi Late Unpar Koi Roshan Sanad To Usse Badhkar Zalim koun Jo Allah Par Jooth Baandhe...
✍🏻⑯.
✏Aur Jab Tum Unse Aur Jo Kuch Woh Allah Ke Siwa Poojte Hai Sabse Alag Ho Jao To Gaar me Panah lo Tumhara Rabb Tumhare Liye Apni Rehmat Fayla Dega Aur Tumhare Kaam me Asani ke Saman Bana dega...
✍🏻⑰.
🖊Aur Aye Mehboob ! Tum Suraj Ko Dekhoge Ke Jab Nikalta hai To Unke Gaar se Dahini Taraf Bach Jata Hai Aur Jab Doobta hai To Unse Baye Taraf Qatra jata hai Halanke Wo Us Gaar ke Khule Medan me hai Ye Allah Ki Nishaniyo me Se Hai Jise Allah Raah de Wohi Raah Par Hai Aur Jise Gumrah Kare To Hargiz Uska Koi Himayati Raah Dikhane Wala na Paoge....
✍🏻⑱
✏Aur Tum Unhe Jaagta Samjo Aur Woh Sote hai Aur Hum Unki Dahini Bayi Karwat Badalte hai Aur Unka Kutta Apni Kalaiya Failaye Huwe hai Gaar ki Choukhat par Aye Sunne Wale Agar Tu Unhe Jhank Kar Dekhe To Unse Pith Ferkar Bhage Aur Unse Haibat me Bhar Jaye..
✍🏻⑲.
🖊Aur Yunhi Humne Unko Jagaya Ke Apas me Ek Dusre se Ehwal Puche Unme Ek Kehne Wala bola Tum Yaha Kitni Der Rahe Kuch Bole Ek Din Rahe Ya Din Se Kum Dusre Bole Tumhara Rabb Khoob Janta Hai Jitna Tum Thehre To Apne Me Ek Ko Ye Chandi Lekar Sehar me Bhejo Fir Woh Gour Kare ke Waha Konsa Khana Zyada Suthra hai Ke Tumhare Liye Unme se Khane ko laye Aur Chahiye Ke Narmi Kare Aur Hargiz Kisi ko Tumhari Ittela Na de..
✍🏻⑳.
✏Beshak Agar Woh Tumhe Jaan Lenge To Tumhe Pathraw Karenge Ya Apne Deen Me Fer Lenge Aur Esa Ho to Tumhara Kabhi Bhala Na Hoga....
✍🏻②①.
✏Aur Isi Trah Humne Unko Ittela Kar di Ke Log Jaan le Ke Allah Ka Wa'da Saccha hai Aur Qayamat Me Koi Shubha Nahi Jab Woh Log Unhe Ma'mmle me Baham Jagadne Lage To Bole Unke Gaar Par Koi Imarat Banao Unka Rabb Unhe khoob Janta hai Woh Bole Jo Us Kaam me Galib Rahe The Kasam Hai Ke Hum To Unpar Masjid Banayenge..
✍🏻②②.
🖊Ab Kahenge Ke Woh Teen (3) Hai Choutha Unka Kutta Aur Kuch Kahenge Paanch (5) Chatta(6) Unka Kutta Be-Dekhe Alautka Baat Aur Kuch Kahenge Saat (7) Hai 8wa Unka Kutta Tum Farmao Mera Rabb Unki Ginti Khoob Janta hai Unhe Nahi Jante Magar Thode To Unke Bare me Behas na Karo Magar Itni Behas Jo Zahir ho Chuki Aur Unke Bare me Kisi Qitab me Kuch na Pucho...
✍🏻②③.
✏Aur Hargiz Kisi Baat ko Na Kehna Ke Me Kal Ye Kar Dunga Magar Ye ke Allah Chahe..
✍🏻②④.
🖊Aur Apne Rabb ki Yaad Kar Jab Tu Bhool Jaye Aur Yun Keh ke Qareeb hai Ke Mera Rabb Muje Usse Nazdik Tarr Raaste ki Raah Dikhaye..
✍🏻②⑤.
✏Aur Woh Apne Gaar me 300 Baras Thehre Nou(9) Upar...
✍🏻②⑥.
✏Tum Farmawo Allah Khoob Janta hai Woh Jitna Thehre Usi Ke liye Hai Aasmano Aur Zameeno Ke Sab Gaib Woh Kya hi Dekhta Aur Kya hi Sunta hai Uske Siwa Unka Koi Waali Nahi Aur Woh Apne Huqm Me Kiski Ko Sharik Nahi Karta..
✍🏻②⑦.
🖊Aur Tilawat Karo Jo Tumhare Rabb ki Qitab Tumhe "WAHI" huyi Uski Bato ka Koi Badalne Wala nahi Aur Hargiz Tum Uske Siwa Panah Na Pawoge..
✍🏻②⑧.
✏Aur Apni Jaan Unse Manoos Rakho Jo Subha-W-Shaam Apne Rabb ko Pukarte hai Uski Raza Chahte hai Aur Tumhari Aankhe Unhe Chorkar Aur Par Na Pade kya Tum Duniya ki Zindagi Ka Shingar Chahoge Aur Uska Kaha Na Mano Jiska Dil Humne Apni Yaad se Gafil Kar Diya Aur Wo Apni Khawaish Ke Piche Chala Aur Uska Kaam Hadd se Guzar Gaya..
✍🏻②⑨.
🖊Aur Farma Do Ke Haqq Tumhare Rabb ki Taraf se hai To Jo Chahe Imaan Laye Aur Jo Chahe Kufr Kare Beshak Humne Zalimo ke Liye Wo Aag Taiyar Kar Rakhi hai Jiski Deeware Unhe Gher Legi Aur agar Pani Ke liye Fariyad Kare To Unki Fariyad-Rasi Hogi Us Pani se Ke Charkh Diye Huwe Dhaat(धात) Ki Trah hai Ke Unke Munh Bhoon Dega Kya Hi Bura Pina hai..
✍🏻③ⓞ.
✏Aur Dozakh Kya Hi Buri Thehrane ki Jagah Beshak Jo Imaan Laye Aur Nek Kaam Kiye Hum Unke Neg(Azr) Zaye Nahi Karte...
✍🏻③①.
✏Jinke Kaam Ache ho Unke Liye Basne Ke Baagh hai Unke Niche Nadiya Bahe Wo Usme Sone ke Kangan Pehenaye Jayenge Aur Sabz Kapde Qareeb Aur Qanadiz ke Pehnenge Waha Takhto Par Takiya Lagaye kya Hi Acha Sawab Aur Jannat Kya hi Achi Aaram Ki Jagah..
✍🏻③②.
🖊Aur Unke Samne 2 Mardo Ka Haal Bayan Kar Ke Unme Ek Ko Humne Angooro ke 2 Baagh Diye Aur Unko Khazuro Se Dhanp Liya Aur Unke Bich-Bich me Kheti Rakhi..
✍🏻③③.
✏Dono Baagh Apne Phal Laye Aur Usme Kuch bhi Kami Na Di Aur Dono ke Bich Me Humne Nehar Banayi Aur Woh Phal Rakhta tha..
✍🏻③④.
🖊To Apne Sathi Se Bola Aur Woh Usse Radd-O-Badal Karta Tha Me Tujhse Maal me Zyada hu Aur Aadmiyo ka Zyada Zor Rakhta hu..
✍🏻③⑤.
✏Apne Baagh me Gaya Aur Apni Jaan Par Zulm Karta Huwa Bola Muje Gumaan Nahi Ke Ye Kabhi Fana Ho...
✍🏻③⑥.
✏Aur Me Gumaan Nahi Karta Ke Qayamat Qayim Ho Aur Agar Me Apne Rabb ki Taraf Fir Gaya Bhi To Zaroor Us Baagh Se Behter Palatne Ki Jagah Paunga..
✍🏻③⑦.
🖊Uske Sathi Ne Usse Ulat Fer Karte Huwe Jawab Diya Kya Tu Uske Sath Kufr Karta Hai Jisne Tujhe Mitti se Banaya Fir Nithre Paani Ki Bund se Fir Tujhe Theek Mard Kiya...
✍🏻③⑧.
✏Lekin Me To Yahi Kehta hu Ke Woh Allah Hi Mera Rabb hai Aur Kisi Ko Apne Rabb Ka Sharik Nahi Karta hu..
✍🏻③⑨.
🖊Aur Kyo na Huwa Ke Jab Tu Apne Baagh Me Gaya To Kaha Hota Jo Chahe Allah Hume Kuch Zor Nahi Magar Allah Ki Madad Ka Agar Tu Muje Apne Se Maal-W-Aulad Me Kum Dekhta tha To Qareeb Hai Ke Mera Rabb Muje Tere Baagh Se Acha de...
✍🏻④ⓞ.
✏Aur Tere Baagh Par Aasman Se Beejliya Utare To Woh Patt Par Medan Hokar Reh Jaye Ya Uska Paani Zameen me Dhas Jaye...
✍🏻④①.
✏Fir Tu Use Hargiz Talash Na Kar Sake..
✍🏻④②.
🖊Aur Uske Phal Gher Liye Gaye To Apne Hath Malta Reh Gaya Us Lagat Par jo Us Baagh me Kharch Ki Thi Aur Woh Apni Tattiyo Par Gira Huwa Tha Aur Keh Raha hai Aye Kash Mene Apne Rabb Ka Kisi ko Sharik Na Kiya hota..
✍🏻④③.
✏Aur Uske Pas Koi Jama'at Na Thi Ke Allah Ke Samne Uski Madad Karti Na Woh Badla Lene ke Qabil Tha.
✍🏻④④.
🖊Yaha Khulta hai Ke Ikhtiyar Sacche Allah Ka Hai Uska Sawab Sabse Behter Aur Use Manne Ka Anjam Sabse Bhala..
✍🏻④⑤.
✏Aur Unke Samne Zindagani Duniya ki Kahawat Bayan Karo Jese Ek Paani Humne Aasman Se Utara To Uske Sabab Zameen Ka Sabza Ghana Hokar Nikla Ke Sookhi Ghaas Ho Gaya Jise Hawaye Udaye Aur Allah Har Cheez Par Qaabu Wala hai..
✍🏻④⑥.
✏Maal Aur Bete Ye Jeeti Duniya Ka Shingaar Hai Aur Baaki Rehne Wali Achi Bate Unka Sawab Tumhare Rabb Ke Yaha Behter Aur Wo Ummid me Sabse Bhali..
✍🏻④⑦.
🖊Aur Jis Din Hum Pahado ko Chalayenge Aur Tum Zameen ko Saaf Khuli Huyi Dekhoge Aur Hum Unhe Uthayenge To Unme se Kisi ko Na Chorenge..
✍🏻④⑧.
✏Aur Sab Tumhare Rabb Ke Huzur Para Bandhe Pesh Honge Beshak Tum Humare Pas Wese hi Aaye Jesa Humne Tumhe Pehli Baar Banaya tha Balke Tumhara Gumaan Tha Ke Hum Hargiz Tumhare Liye Koi Wa'da Ka Waqt Na Rakhenge..
✍🏻④⑨.
🖊Aur Na'ma-E-Aamal Rakha Jaega To Tum Mujrimo ko Dekhoge Ke Uske Likhe se Darte Honge Aur Kahenge Haye Kharabi Humari Us Nawishta Ko Kya Huwa Na Usne Koi Chota Gunaah Chora Na Bada Jise Gher Na Liya Ho Aur Apna Sab Kiya Unhone Samne Paya Aur Tumhara Rabb kisi par Zulm Nahi Karta..
✍🏻⑤ⓞ.
✏Aur Yaad Karo Jab Humne Farishto ko Farmaya Ke Adam Ko Sajda Karo To Sabne Sajda Kiya Siwa Iblees Ke Ke Qoum-E-Jinn Se Tha To Apne Rabb Ke Huqm Se Nikal Gaya Bhala Kya Use Aur Uski Aulad ko Mere Siwa Dost Banate ho Aur Woh Humare Dushman hai Zalimo Ko Kya hi Bura Badla Mila...
✍🏻⑤①.
✏Na Mene Aasmano Aur Zameen Ko Banate Waqt Unhe Samne Bitha Liya Tha Na Khud Unke Banate Waqt Aur Na Meri Shaan Ke Gumrah Karne Walo ko Ba'zu Banau..
✍🏻⑤②.
🖊Aur Jis Din Farmayega Ke Pukaro Mere Shariko ko Jo Tum Gumaan Karte The To Unhe Pukarenge Woh Unhe Jawab Na Denge Aur Hum Unke Darmiyan Ek Hilaqakat Ka Meidan Kar Denge...
✍🏻⑤③.
✏Aur Mujrim Dozakh Ko Dekhenge To Yakeen Karenge Ke Unhe Usme Girna hai Aur Usse Firne ki Koi Jagah Na Payenge..
✍🏻⑤④.
🖊Aur Beshak Humne Logo ke Liye Is Qur'an me Har Kism ki Misl Trah-Trah Bayan Farmayi Aur Aadmi Har Cheez Se Badhkar Jaghralu hai...
✍🏻⑤⑤.
✏Aur Aadmiyo Ko Kis Cheez Ne Usse Roka ke Imaan Late Jab Hidayat Unke Pas Aayi Aur Apne Rabb se Muafi Mangte Magar Ye ke Unpar Aglo ka Dastoor Aaye Ya Unpar Kism-Kism Ka Azab Aaye...
✍🏻⑤⑥.
✏Aur Hum Rasoolo Ko Nahi Bhejte Khushi Aur Darr Sunane Wale Aur Jo Kafir hai Wo Batil Ke Sath Jagadte Hai Ke Usse Haqq ko Hata de...
✍🏻⑤⑦.
🖊Aur Unhone Meri Ayato ki Aur Jo Darr Unhe Sunaye Gaye the Uski Hasi Bana Li Aur Usse Badhkar Zalim koun Jise Uske Rabb ki Ayate Yaad Dilayi Jaye To Woh Unse Munh Fer le Aur Uske Hath Jo Aage Bhej Chuke Use Bhool Jaye Humne Unke Dilo Par Gilaf Kar Diye Hai Ke Qur'an Na Samje Aur Unke Kaano me Gurani Aur Agar Tum Unhe Hidayat Ki Traf Bulao To Jab bhi Hargiz Kabhi Raah na Payege...
✍🏻⑤⑧.
✏Aur Tumhara Rabb Bakshne Wala Meharban Hai Agar Woh Unhe Unke Kiye Par Pakadta To Jald Unpar Azab Bhejta Balke Unke Liye Ek Wa'de ka Waqt hai Jiske Samne Koi Panah Na Payenge...
✍🏻⑤⑨.
🖊Aur Ye Bastiya Humne Tabah Kar di Jab Unhone Zulm Kiya Aur Humne Unki Barbadi Ka Ek Wa'da Rakha Tha..
✍🏻⑥ⓞ.
✏Aur Yaad Karo Jab Moosa Ne Apne Khadim Se Kaha Me Ba'az Na Rahunga Jab Tak Waha Na Pahochu Jaha 2 Samundar Mile Ya Karnu Chala Jau...
✍🏻⑥①.
✏Fir Jab Woh Dono Un Dariyao Ke Milne ki Jagah Pahoche Apni Machli Bhool Gaye Aur Usne Samandar Me Apni Raah Li Surang Banati...
✍🏻⑥②.
🖊Fir Jab Waha se Guzar Gaye Moosa Ne Khadim Se Kaha Humara Subha Ka Khana Lawo Beshak Hume Apne Is Safar me Badi Mashakkat Ka Samna Huwa...
✍🏻⑥③.
✏Bola Bhala Dekhiye To Jab Humne Is Chattan Ke Pas Jagah Li thi To Beshak Me Machli ko Bhool Gaya Aur Muje Shetan Hi ne Bhoola Diya Ke Me Uska Mazkoor Karu Aur Usne To Samundar me Apni Raah Li Achamba Hai..
✍🏻⑥④.
🖊Moosa Ne Kaha Yahi Hum Chahte the To Piche Palte Apne Qadmo Ke Nishan Dekhte..
✍🏻⑥⑤.
✏To Humare Bando me Se Ek Banda Paya Jise Humne Apne Paas Se Rehmat Di Aur Use Apna Ilm-E-Ladunni Ata Kiya..
✍🏻⑥⑥.
✏Usse Moosa Ne Kaha Kya Me Tumhare Sath Rahu Is Shart Par Ke Tum Muje Sikha Doge Nek Baat Jo Tumhe Taleem Huyi..
✍🏻⑥⑦.
🖊Kaha Aap Mere Sath Hargiz Na Thehar Sakenge.
✍🏻⑥⑧.
✏Aur Is Bat Par Kyunkar Sabr Karenge Jise Apka Ilm Muheet Nahi..
✍🏻⑥⑨.
🖊Kaha Anqareeb Allah Chahe To Tum Muje Sabir Pawoge Aur Me Tumhare Kisi Huqm Ke Khilaf Na Karunga...
✍🏻⑦ⓞ.
✏Kaha To Agar Aap Mere Sath Rehte Hai To Mujse Kisi Baat ko Na Puchna Jab Tak Me Khud Uska Zikr Na Karu...
✍🏻⑦①.
✏Ab Dono Chale Yaha Tak Ke Kashti me Sawar Huwe Us Bande Ne Use Cheer Dala Moosa Ne Kaha Kya Tumne Use Isi Liye Cheera Ke Uske Sawaro ko Dooba Do..
✍🏻⑦②.
🖊Beshak Ye Tumne Buri Baat ki Kaha Me Na Kehta Tha Ke Mere Sath Hargiz Na Thehar Sakenge..
✍🏻⑦③.
✏Kaha Mujse Meri Bhool Par Giraft Na Karo Aur Mujhpar Mere Kaam Me Mushkil Na Dalo.
✍🏻⑦④.
🖊Fir Dono Chale Yaha Tak Ke Jab Ek Ladka Mila Us Bande ne Use Qatl Kar Diya Moosa ne Kaha Kya Tumne Ek Suthri Jaan Be Kisi Jaan Ke Badle Qatl Kar Di Beshak Tumne bhot Buri Baat ki...
✍🏻⑦⑤.
✏Kaha Mene Apse Na Kaha tha Ke Aap Hargiz Mere Sath Na Thehar Sakenge..
✍🏻⑦⑥.
✏Kaha Uske Bad Me Tumse Kuch Puchu To Fir Mere Sath Na Rehna Beshak Meri Taraf Se Tumhara Uzr Pura Ho Chuka..
✍🏻⑦⑦.
🖊Fir Dono Chale Yaha Tak Ke Jab Ek Gaanw Walo Ke Pas Aaye Un Dahkano se Khana Manga Unhone Unhe Dawat Deni Qabool Na ki Fir Dono Ne us Gaanw me Ek Deewar Payi Ke Gira Chahti hai Un Bande Use Sidha Kar Diya Moosa Ne Kaha Tum Chahte to Uspar Koi Mazduri Le lete..
✍🏻⑦⑧.
✏Kaha Ye Meri Aur Apki Judai Hai Ab Me Apko Un Bato ka Fer Bataunga Jinpar Aapse Sabr na Ho Saka...
✍🏻⑦⑨.
🖊Woh Jo Kashti thi Wo Kuch Mohtajo Ki Thi Ke Dariya me Kaam Karte the To Mene Chaha Ke Use Ayetdar Karu Aur Unke Piche Ek Badshah Tha Ke Har Sabit Kashti Zabrdasti Cheen Leta..
✍🏻⑧ⓞ.
✏Aur Woh jo Ladka tha Uske Maa-Baap Musalman The To Hume Darr Huwa Ke Woh Unko Sarkashi Aur Kufr Par Charhave...
✍🏻⑧①.
✏To Humne Chaha Ke Un Dono Ka Rabb Usse Behter Suthra Aur Usse Zyada Meharbani Me Qareeb Ata Kare..
✍🏻⑧②.
🖊Rahi Woh Deedar Wo Sehar Ke 2 Yateem Ladko Ki thi Aur Uske Niche Unka Khazana Tha Aur Unka Baap Nek Aadmi Tha To Apke Rabb Ne Chaha Ke Woh Dono Apni Jawani ko Pahoche Aur Apna Khazana Nikale Apke Rabb Ki Rehmat se Aur Ye Kuch Mene Apne Huqm se Na Kiya Ye Fer hai Un Bato Ka Jispar Aapse Sabr Na Ho Saka...
✍🏻⑧③.
✏Aur Tumse Zulkarnain Ko Puchte hai Tum Farmawo Me Tumhe Uska Mazkoor Padhkar Sunata hu..
✍🏻⑧④.
🖊Beshak Humne Use Zameen Me Qabu Diya Aur Har Cheez Ka Ek Saman Ata Farmaya...
✍🏻⑧⑤.
✏To Woh Ek Saman Ke Piche Chala..
✍🏻⑧⑥.
✏Yaha Tak Ke Jab Suraj Doobne Ki Jagah Pahocha Use Ek Siyah Kichad Ke Chashme Me Doobta Paya Aur Waha Ek Qoum Mili Humne Farmaya Aye Zulkarnain Ya To Tu Unhe Azab de Ya Unke Sath Bhalayi Ikhtiyar Kare...
✍🏻⑧⑦.
🖊Arz Ki Ke Jisne Zulm Kiya Use to Hum Anqareeb Saza Denge Fir Apne Rabb ki Taraf Fera Jaega Woh Use Buri Maar Dega...
✍🏻⑧⑧.
✏Aur Jo Imaan Laya Aur Nek Kaam Kiya to Uska Badla Bhalayi hai Aur Anqareeb Hum Use Asan Kaam Kahenge..
✍🏻⑧⑨.
🖊Fir Ek Saman Ke Piche Chala..
✍🏻⑨ⓞ.
✏Yaha Tak Ke Jab Suraj Nikalne ki Jagah Pahucha Use Esi Qoum Par Nikalta paya Jinke Liye Humne Suraj Se Koi Aaadh(आण) Nahi Rakhi Bat Yahi hai...
✍🏻⑨①.
✏Aur Jo Kuch Uske Pas tha Sabko Humara Ilm Muheet hai..
✍🏻⑨②.
🖊Fir Ek Saman Ke Piche Chala.
✍🏻⑨③.
✏Yaha Tak Ke Jab 2 Paharo ke Bich Pahucha Unse Udhar Kuch Ese Log Paye Ke Koi Bat Samajte Maloom Na Hote the..
✍🏻⑨④.
🖊Unhone Kaha Aye Zulkarnain ! Beshak Yajooj Majooj Zameen Me Fasad Machate hai To Kya Hum Apke Liye Kuch Maal Mukarrar Kar de Ispar Ke Aap Humme Aur Unme Ek Deewar Bana de...
✍🏻⑨⑤.
✏Kaha Wo Jispar Muje Mere Rabb Ne Qabu Diya Hai Behter hai To Meri Madad Taqat se Karo Me Tumme Aur Unme Ek Mazboot Aarh(आण) Bana Du...
✍🏻⑨⑥.
✏Mere Pas Lohe ke Takht Lawo Yaha Tak Ke Jab Wo Deewar Dono Pahado Ke Kinaro Se Barabar Kar Di Kaha Dhunko Yaha Tak Ke Jab Use Aag Kar Diya Kaha Lao Me Ispar Gala Huwa Tamba Undhel Du..
✍🏻⑨⑦.
🖊To Yajuj-W-Majuj Uspar Na Chadh Sake Aur Na Usme Surakh Kar Sake..
✍🏻⑨⑧.
✏Kaha Ye Mere Rabb ki Rehmat hai Fir Jab Mere Rabb Ka Wa'da Ayega Use Pash-Pash Kar Dega Aur Mere Rabb Ka Wa'da Saccha hai..
✍🏻⑨⑨.
🖊Aur Us Din Hum Unhe Chor Denge Ke Unka Ek Giroh Dusre par Rela Aawega Aur Soor Funka Jaega To Hum Sabko Ikattha Kar Laenge..
✍🏻①ⓞⓞ.
✏Aur Hum Us Din Jannam Kafiro ke Samne Laenge...
✍🏻①ⓞ①.
✏Woh Jinki Anakho Par Meri Yaad se Parda Pada Tha Aur Haqq Bat Sun Na Sakte the..
✍🏻①ⓞ②.
🖊To Kya Kafir Ye Samajte Hai Ke Mere Bando ko Mere Siwa Himayati Bana Lenge Beshak Humne Kafiro ki Mehmani ko Jahannam Taiyar Kar Rakhi hai..
✍🏻①ⓞ③.
✏Tum Farmawo Kya Hum Tumhe Bata de Ke Sabse Badhkar Nakis Amal Kiske hai...
✍🏻①ⓞ④.
🖊Unke Jinki Sari Koshish Duniya ki Zindagi Me Ghoom Gayi Aur Wo Is Khayal me hai ke Hum Acha Kaam Kar Rahe hai...
✍🏻①ⓞ⑤.
✏Ye Log Jinhone Apne Rabb ki Ayate Aur Unka Milna Na Mana To Unka Kiya Dhara Sab Aqarat Hai, To Hum Unke Liye Qayamat Ke Din Koi Tool Na Qayam Karenge...
✍🏻①ⓞ⑥.
✏Ye Unka Badla Hai Jahannam Uspar Ke Unhone Kufr Kiya Aur Meri Ayato Aur Mere Rasoolo Ki Hansi Banayi..
✍🏻①ⓞ⑦.
🖊Beshak Jo Imaan Laye Aur Ache Kaam kiye Firdous Ke Baagh Unki Mehmani hai..
✍🏻①ⓞ⑧.
✏Wohi Hamesha Unhi me Rahenge Unse Jagah Badalna Na Chahenge..
✍🏻①ⓞ⑨.
🖊Tum Farma Do Agar Samundar Mere Rabb ki Bato Ke Liye Siyahi Ho to Zaroor Samundar Khatm ho Jaega Aur Mere Rabb ki Bate Khatm na Hogi Agar Hum Wesa hi Unki Madad ko Le Aaye...
✍🏻①①ⓞ.
✏Tum Farmawo Zahir Soorate Bashri Me To Me Tum Jesa Hu Muje "WAHI" Aati hai Ke Tumhara Ma'bood Ek Hi Ma'bood hai To Jise Apne Rabb se Milne ki Ummid Ho Use Chahiye ke Nek Kaam kare Aur Apne Rabb ki Bandagi me Kisi ko Sharik Na thehraye...
Comments
Post a Comment