🌷QURBANI KA BAYAN....🌷

QURBANI KA MUKAMMAL BAYAN....


╭┉─════──════──════─══ ╮
       *QURABANI KA BAYAN*   
╰┉─════──════──════─══ ╯
   

Allah Rabbul izzat irshad Farmata Hai..

*QURAAN-*

_Tum Apne Rab Ke Liye Namaz Padho Aur Qurbani Karo...._

*📓{Para-30, Sure Kausar Ayat No-2}*

Qurabni Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Hai Jo is ummat Ke Liye BAKI Rakhi Gai Aur Huzoor ﷺ Ko Iska Hukm Farmaya Gaya..........

Huzoor Sarware Kainaat ﷺ Ke Muqaddas Irshadaat...

*HADEES:*

_Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Eid Ke Din (Eidul Adha Me) Jo Paisa Qurbani Par Kharch Hua Usse Pyara Koi Rupya Nahi....._

*📚{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-15، الحديث-10894}*
HADEES:

🌠Hazrat Umme Salma رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne ZIL HIJJAH Ka Chand Dekha Aur iradah Qurbani Ka Ho To Jab Tak Qurbani Na Kar Le Baal Nakhun Na Kate....

📚{جامع الترمذي، كتاب الضحايا، باب ما جاء في إيجاب الأضاحي، جلد-3، صفحہ-123، الحديث-1500}

HADEES:

🌠Hazrat imame Hasan Bin Ali رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne Khush Dili Se Sawab Ki Talab Me Qurbani Ki Wo uske Liye Jahannam Se Rok (Pardah) Ho Jayegi....

📚{المعجم الكبير، جلد-3، صفحہ نمبر-84، الحديث-2736}

🔖Waqia Qurbaani Kya Hai? …..

📋Hiqayat :

🔪Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ek Raat Khwab Dekha Ki Koi Shakhs Gaib Se Aawaz Deta Hai Kehta Hai Ki,

🔪“Aye Ibrahim…! 
Tumhe Khuda Ka Huqm Hai Ki Apne Bete Ko Raah-e-Khuda Me Zibaah
Kardo” 

🔪Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur
“WAHI” Ki Qism Se Hota Hai Isliye Aap
Apne Mehboob Bete Hazrat Ismail (Alaihay
Salam) Ko Allah Ta’ala Ki Raah Me Qurbaan
Karne Ko Taiyyar Ho
Gaye.

🔪Chunki, 
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Abhi
Kam-Umr The, Isliye Aapne Unse Sirf ItnaKaha Ki Beta Rassi Aur Ek Churi Le Kar Mere Sath Chalo.

🔪Chunanche Apne Bete Ko Leker Aap Ek Jungal Me Pahunche…

🔪Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Pucha,
Abbajaan! 
Aap Yeh Churi Aur Rassi Le kar
Kyun Chalte Hain? Farmaaya “Aage Chal Kar Ek Qurbani Zabaah
Karenge” Phir Aage Chal kar
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saaf-Saaf Bayaan Farmaa Diya...

🔪Aur Kaha, 
“Beta! 
Main Allah Ta’ala Ki Raah Me
Tumhe Hi Zabaah Karne Aaya Hun, 
Maine Khwaab Me Dekha Hai
Ki Tumhe Zabaah Kar Raha Hoon”.
Beta! Yeh Allah Ta’ala
Ki Marzi Hai, Bata Tumhari Marzi Kya
Hai ?”

🔪Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya,
“Abbajaan! 
Jab Allah Ta’ala Ki Marzi Yahi Hai
Toh Phir Meri Marzi Ka Kya Sawaal? Aapko Jis Baat Ka Huqm Hua Hai, Aap Woh Kijiye! Insha- Allah Main Sabr Karke Dikhaounga…”!

🔪Bete Ka Yeh Zurrat Aamez Jawaab Sun Kar Hazrat Ibrahim (AlaihaySalam) Bade Khush
Hue Aur Apne Bete Ko Allah Ta’ala Ki Raah Me Zibaah Karne Par Taiyyar Ho gaye!

🔪Jab Aapne Apne Bete Ko Maathe Ke Bal
Litaaya Aur Gardhan Par Churi Rakhi Aur Use
Chalaya Toh Churi Ne Gardhan-A-Ismail Ko
Bilkul Na Kaata!

🔪Aapne Aur Jorse Churi Chalayi Toh Awaaz Aayi, “Bas Aye Ibraahim!
Tum Huqm-e-Iaahi Ki Taamil Kar Chuke Aur
Iss Sakht Imtihaan Me
Khare Utre…”!

🔪Aapne Mud Kar Dekha Toh Ek Doomba Paas
Hi Khada Tha Aur Aapse Keh Raha Tha Ki Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ki Jagah Mujhe Zabaah Kijiye!
Aur Inhen Hataa Dijiye, Chunanche
Hazrat Ibrahim (Alaihay
Salam) Ne Uss Doombe Ko Zibaah Farma Diya..!

🔪Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Uth Baithe Aur
Iss Imtihaan Me Kaamyaab Ho gaye!

📚(Al-Quran : Para-23,
Kutub-A-Tafasir)

Hadees:

🌠Ummul Momineen Sayyedah Ayesha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne...

🌠Yaumun Nahar (10-wi Zilhijjah) Ko ibne Adam Ka Koi Amal Allah Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Ziyadah Pyara Nahi...

🌠Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Seeng Aur Baal Aur Khuron Ke Sath Ayega aur Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Allah Ke Nazdeek MAQAME Qubool Me Pahoch Jata Hai Lihaza Use Khush Dili Se Karo....

📚{جامع الترمذي، كتاب الأضاحي، باب ماجاء في فضل الأضحية، جلد-3، صفحہ نمبر-163، الحديث-1498}

🌠Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e-Alamiyan,Sardar-e-do jahaan,
Mehboob-e-Rehman عزوجل ,
Mere Aaqa E Do Jaha Muhammad Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم
ne farmaya,

🌠"Allah عزوجل ko Ashra-e-Zul Hijja se zyada kisi din me Apni ibadat kiya Jana pasandidi nahi iske har din ka Roza "Ek saal Ke Rozon" aur har shab ka qayam "Shab-e-Qadr" Ke barabar hai."

📗(Jamai Tirmizi, Jild-2, Safah-192, Hadees-758)

Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Ke Ahya (zindah rakhne) Me Jo Qurbani Wajib Hai wo Sirf Gani (maldar) Par Hai Aur uske WAJIB Hone Ki Kuch Shara'it Hain Jo Ye Hain.......

Musalman Hona Gair Muslim Par Wajib Nahi....

Muqaeem Hona Musafir Par Wajib Nahi....

MALIKE NISAB Hona..

Hurriyat Yani Aazad Hona Gulam Par Qurbani Wajib Nahi.......

Musalman Maldar Muqeem Aazad Mard Ya Aurat Ho Un Par Wajib Hai..........

Mas'ala:

🌠Shara'it Jo Upar Bayan Hui Unka Pure WAQT Me Paya Jana Zaroori Nahi Balki Qurbani Ke Liye Jo WAQT MUQARRAR Hai (10wi Zilhijja Se 12wi Ke Suraj Dobne Tak) Usme Se Kisi Hisse Me Shara'it Paai Gai To Qurbani Wajib Hai, Masalan Eik Shakhs Shuru Waqt Me Kafir Tha Phir Musalman Hua Aur Abhi Qurbani Ka WAQT hai To Uspe Qurbani Wajib Hai Eik Shakhs Gulam Tha Ab Azad Hua Uspe Wajib Hai, Eik Shakhs FAQEER Tha Ab Gani Hua Uspe Wajib Hai.....

📚{الفتاوى الهندية، كتاب الأضحية، الباب الأول في تفسيرها.......إلخ جلد-5، صفحہ-293}

Mas'ala:

🌠Musafir Par Agarche Wajib Nahi Magar NAFL Ke Taur Par Kar Sakta Hai, Sawab Payega, Hujjaaj (Haj Karne Wale) Jo Musafir Hain Un Par Qurabni Wajib Nahi, Haan Jo Wahan Ke Sukkan (Rehne wale) Hain Un par WAJIB Hai Wo Log Musafir Nahi Hain...

📚{الدرالمختار"و"ردالمحتار، كتاب الأضحية، جلد-9، صفحہ 524}

Hadees:

🌠Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne........

🌠Jisme Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare Wo Hamari Eid Gaah Ke Qareeb Na Aaye....

📚{سنن ابن ماجہ، كتاب الأضاحي، باب الأضاحي واجبةهى أم لا، جلد-3، صفحہ-539، الحديث-3123}

Mas'ala:

🌠Jo Shakhs 200 Darham Ya 20 Dinaar Ka Malik Ho Ya Hajat Ke Siwa kisi Aisi Chiz ka Malik Ho Jiski Qimat 200 Darham Ho Wo Gani Hai Aur uspe Qurbani Wajib Hai.....

📚{الفتاوى الهندية، جلد-5، صفحہ-292}

Mas'ala:

🌠Jis Shakhs Par Qarz Ho Aur Qarz Ki Raqam Nikal Lee Jaye To Phir Qurbani Ka Nisab Baqi Nahi Rehta Uspe Qurabni Wajib Nahi.....

🌠Agar Maal Hai Magar Maujood Nahi Qurbani Ke Bad Milega To Bad Me Uspe Wajib Nahi...

📚{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, Page-333}

Mas'ala:

🌠Ek Shakhs Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi Wo Gum Ho Gai Aur uska Maal Nisab Se Kam Hua To uspe Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Karna Wajib Nahi, 
Agar Wo Qurbani Ke Ayyam Me Hi Mil Gai Lekin Ab Ye Shakhs Gani (Malike nisab) Nahi Raha To Ispe Bhi Qurbani Wajib Nahi....

📚{Alamgiri, Volume-5, Page-292}


Hadees:

🌠Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Kehte Hain Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Raat Me Qurbani Karne Se Mana Farmaya...

📚{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-152، الحديث-11458}

Mas'ala:

🌠Qurbani Ke WAQT Me Qurbani Hi Karna Lazim Hai,
Koi Dusri Chiz Uske Qayama Muqam Nahi Ho sakti, Masalan Bajaye Qurbani Ke Bakri Ki Qimat Sadqa Kar Dee To Ye Na'kaafi Hai...

📚{الفتاوى الهندية، جلد-5، صفحہ-293}

Mas'ala:

🌠Qurbani Ka WAQT 10wi zilhijjah Ke Tuluye Subhe Sadiq Se 12wi Ke Guroobe Aaftab Tak Hai, Yani 3-Din Aur 2-Raten, Aur in Dino Ko Ayyame Nahar Kehte Hain....

📚{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, page-336}

Mas'ala:

🌠10wi Ki Bad ki 2no Raten ayyame Nahar Me Dakhil Hai in Me Bhi Qurbani Ho Sakti Hai, Magar Raat Me Zabah Karna Makrooh Hai...

📚{Bahar-E-Shari'at, Hissa -15, page-336}

Mas'ala:

🌠Shaher Me Qurbani Ke Liye Shart Hai Ki Namaze Eid Ho Chuki Ho, Dihat Me Chunki Eid Ki Namaz Jayez Nahi Is liye Wahan Tulooye Fajr Ke Bad Qurbani Kar Sakte Hain Magar Behtar Ye Hain Ki Suraj Nikalne Ke Bad Ki Jaye,....

📚{Alamgiri, Volume-5, Page-295}

QURBANI EK MAALI IBADAT HAI JO GHANI PAR WAJIB HAI KHAAS JANWAR KO KHAAS DIN ME ALLAH KE LIYE SAWAB KI NIYYAT SE ZIBAH KARNA KURBANI HAI JO MUSALMAN MUQEEM, MALIKE NISAB, 
AAZAD PAR WAJIB HAI...

🔖MAS'ALA No:- 01.

🔪Jis Trag Qurbani Mard Par Wajib hai Usi Trah Aurat par bhi Wajib hai....

🔖MAS'ALA No:- 02

🔪Musafir Par Qurbani Wajib Nahi Lekin Agar Nafil ke Tor par Kare to Kar sakta hai Sawab Paega...

🔖MAS'ALA No:- 03

🔪Malike Nisab Hone se Muraad Itna Maal hona Hai Jitna Maal Hone se Sadqa E Fitr Wajib Hota hai! 
Yani Hajate Asliya Ke Alawa 200 Dirham(52.5 TOLA CHANDI) Ya 20 Dinar(7.5 TOLA GOLD) Ka Malik ho....

🔖MAS'ALA No:- 04

🔪Jo Saksh Malike Nisab Ya Hajat Ke Siwa Kisi Esi Cheez ka Malik ho Jiski Qeemat 200 Dirham ho To Wo Ghani Hai Uspar Qurbani Wajib hai...

🔖QURBANI KA WAQT:- 5

🔪10Vi Zulhijja ki Subha Sadik Se 12 vi Ke Gurub-e-Aftab Tak Yani 3 din Aur 2 Rate Lekin 10vi Shab me Afzal hai fir 11 vi Fir 12 vi....


📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 242/243)

MAS'ALA No:- 06*

🔪Shehar Me Qurbani Ki Jae To Shart Ye hai Ki Namaz-E-Eid Ke Bad Ho Aur Dehat me Chunki Namaz Eid Nahi Isi Liye Subha Sadik Se ho Sakti hai....

*🔖MAS'ALA No:- 06*

🔪Qurbani Ke Waqt Me Qurbani Hi Karni Lazim hai Itni Qeemat Ya Itni Qeemat Ka Janwar Sadqa Karne se Wajib Ada na hoga....

🔖MAS'ALA No:- 07.

🔪Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Bad Kurbani Fout ho Gai Ab Nahi Ho Sakti Lihaza Agar koi Janwar Qurbani ke Liye Kharid Rakha hai To Usko Sadka Kare Warna Ek Bakri Ki Qeemat Sadqa Kare....

🔖MAS'ALA No:- 08.

🔪Jab Qurbani ki Sharte Pai Jae (Jinka Aage Bayan Aaya) To Ek Bakri Ya Bhed Ka Jibah Karna Ya Ount, Gaay, Bhens, Ka 7va Hissa Wajib hai, Isse Kum Nahi Ho Sakta Yaha Tak ki Agar Kisi Sharik ka Hissa 7ve Se Kum Hai to Kisi ki Qurbani Sahi Nahi hogi Haan 7 Se Kum Sharik ho Aur Hisse Bhi Kum Wa Besh Ho Lekin Kisi Ka Hissa 7ve se Kum na ho To Zaiz hai....

🔖MAS'ALA No:- 09.

🔪Qurbani Ke Sab Shariko Ki Niyyat Sirf Sawab Pane Honi Chahiye Khali Gosht Hasil Karna Na ho Lihaza Aqeeqa Karne Wala Sharik Ho Sakta ho
(Ki Aqeeqa Bhi Takarrub ki Ek Surat hai)

🔖QURBANI KA TAREEKA :- 

🔪Qurbani Ke Janwar Ko Zibah Karne Se Pehle Chara(GHANS) Aur Pani De De Pehle se Churi Tezz Kar le Lekin Janwar ke Samne Na Kare Janwar ko Baye Pehlu Par Is Trah Letaye Ki Qibla Ki Taraf Uska Munh ho Jae Aur Zibah Karne Wala Apna Dahina Per uske Pehlu Par Rakh kar Tez Churi Se Jald Zibah Kar de Aur Zubah se Pehle Dua Padhe.....

🔪Dua Khatm Karte hi Churi Chala De Zibah Me Charo Raghe Kate Ya kum Se Kum 3 Isse Jyada Na Kate Churi Muhre Tak Pahoch Jae Ki Ye Be Wajah ki Taklif hai Janwar Thanda Hone Par Per(Legs) Kate Khaal Utare Aur Agar Mushtarak Janwar Ho Jese Gaay, Ount, Bhens, To Fala Ki Jagah Sab Shariko Ke Naam Le....

📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 243/244)

MAS'ALA No:- 10

🔪Agar Dusre Se Zibah Karvae To Behter hai ki Khud bhi Hazir Rahe Gosht Aur Khaal Agar Janwar Bada hai To Gosht Tol Kar(Wazan Karke)Takseem Kare Atkal Se Na Bate Ki Agar Kisi ko Jyada Pahoch Gaya To Dusre ke Maaf Karne Se bhi Zaiz Na hoga Ki Haq e Shara hai....

🔪Fir Apne Hisse Ke 3 Hisse Karke 1 Hissa Faqeero ko De de Aur 1 Hissa Dost Ahbab Aur Azeezo ko De Aur Ek Hissa Apne Ghar Walo ke liye Rakhe Khud bhi Khaye Bal Baccho ko bhi Khilae Agar Ghar Wale Zyada ho To Kul Ghar Sarf me La Sakta hai Aur Kul Sadqa bhi Kar Sakta hai Agarche Ek Hissa Apne liye Behter hai...

🔖MAS'ALA No:- 11.

🔪Agar Maiyyat Ki Taraf se Qurbani Ki to Uske Gosht Ka bhi Yahi Huqm hai Albatta Agar Maiyyat Ne Kaha tha ki Meri Taraf se Kurbani Kar dena To Is Surat me Kul Gosht Sadqa Kar de....

🔖MAS'ALA No:- 12.

🔪Qurbani Agar Mayyat Ki hai To Uska Gosht Na Khud Kha Sakte hai Na Ghani Ko Khila Sakta hai Balki Usko Sadqa Kar dena Wajib hai...

🔖MAS'ALA No:- 13.

🔪Qurbani Karne Wala Bakri Eid ke Din Sabse Pehle Kurbani Ka Gosht Khae Ye Mustahab hai...

🔖MAS'ALA No:- 14.

🔪Qurbani Ka Gosht Kafir Ko Na de
(Ki Yaha Ke Kuffar Harbi hai)

📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 244)
🔖QURBAANI KARNE KI FAZILAT......

🔪Huzur sallallahu alayhi waalihi wasallam farmate hai k...

🔪Qurbaani karnewale ko Qurbani k Jaanwar k har baal k badle me Ek Neki Milti hai...

🔪Jisne khush dili se sawab paane k liye Qurbaani ki to wo jahannam ki aag se hijaab ( parda..rukaawat ) ho jayegi...

🔪Aey Fatema...
Apni Qurbaani k paas Maujood Raho kyun k us k khoon ka pehla Qatra girega to Tumhare sare gunah maaf kar diye jaayenge...

🔪Jis ko bhi Qurbaani karne ki wus-at ( taaqat ) ho or fir bhi wo Qurbaani na kare to hamari Eidgaah k Qariib na aaye.......

🔖QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB HAI TO......

🔪Agar kisi par Qurbaani Waajib hai Aur us Waqt us k paas Rupye nahi to udhaar lekar ya koi chiz bech kar k Qurbaani kare... 

📘(Fatawa-E-Amjadiya-Jild,3, Safa,315)

🔪Hazrate Ahmed bin Ishaaq Rehmatullah alahi kehte hain k...
Mera aik gharib bhai tha
Gharib tha fir bhi Allah ki Raza k liye Qurbaani karta tha..

🔪Uske marne k bad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai
mene dekha k Mera bhai Ek ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai mene poocha k Allah ki baargah me tera kya maamla raha
to wo bola k...

🔪Ek budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya To mene poocha k ye sab ghode ?
To kehne laga k...

🔪Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai...
To mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola k...
JANNAT ki taraf..
Aur meri nazron se gayab ho gaya......

🔪Ye to nafli Qurbaani ka ajar o sawaab hai Waajib ka aur zyada sawaab hoga Aur Ek dusra pehlu ye bhi pata chala ki Jo log waajib hone k bad bhi Qurbaani nahi karte un k liye bhi is mein ibrat O raghbat hai Ke Wo kitni badi saadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain.....

📓(DURRATUN NAASIHIIN)
📔(TIRMIZI)
📒(AL MO JAMUL KABIR)
📚 (AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI..)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

QURBAANI dusre ki or Naabaaligh ki.....

🔪Kuch log saare ghar waalon ki taraf se sirf Eik bakra Qurbaani karte hai jab k ghar k kain log saahibe nisaab hote hai 
Aur sab par waajib hoti hai to...

🔪Ese me sab par Alag Alag Qurbaani waajib hai to aik bakra jo sabki taraf se kiya gaya to kisi ka bhi waajib ada na huwa..

🔪Naabaaligh ki taraf se Qurbaani waajib nahi lekin kar dena behtar hai.

🔪Baaligh awlaad ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chaahe to Ijaazat lekar kare...

🔪Agar ijaazat k baghair kar di to unki taraf se waajib ada na hoga.

🔪Ijaazat 2 tarah ki hoti hai... 1)Saraahatan....
Jaise k un mese koi saaf tor par kehde k Meri taraf se Qurbaani kar do...

2)Dalaalatan....
Under stood...
Jaise apni Biwi ya Awlaad ki taraf se Qurbaani karta hi hai...
AUr wo bhi jaante hai..
Aur wo raazi hai....
ye bhi ijaazat hi hai..

🔖Qurbaani k janwar ki umar kitni ho

🔖Jaanwar kaisa hona chaahiye..

🔪Qurbaani k jaanwar ki umar...

✅Uunt..( Camel ) ...5 saal...

✅Gaay..Bhens.......2 saal...

✅Bakra..................1 saal...

🔪In jaanwaron ki nasal k NAR MAADA bachche denewali na denewali sab ki Qurbaani jaaiz hai..

🔪Bakre me Bakri...Dumba...Dumbi...Bhed...Nar...Maada...sab aa gaye..

🔪Uupar bataaye huwe tamaam jaanwaron ki umar bataayi hui umar se kam umar ho to chaahe aik din bhi kam ho to Qurbaani jaaiz nahi...
Zyada ho to jaaiz hai...
bl k afzal hai.

📚(BAHARE SHARIYAT)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
📚(FATAWA AHLE SUNNAT)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

QURBAANI ka waqt kab se kab tak hota hai...

✅QURBAANI k waqt me sharaait ka 
hona kya chiiz hai...?

🔪10 Zulhijjah ki subha saadiq 
( sehri khatm ka waqt ) se lekar 12 zulhijjah k ghurub aaftaab 
( maghrib ki azaan tak ) tak hai...

🔖MASALA:-

🔪City ( sheher ) me Qurbaani kii jaaye to SHART ye hai k Eid ki Namaaz k baad ho or Gaanw (Village ) mein Eid ki namaaz nahi hoti isliye wahaan subha saadiq se ho sakti hai Aur(Jis gaanw mein Eid ki namaaz hoti ho wahan namaaz k bad Qurbaani karein )

🔪Maal or dusri shartein Qurbaani k uupar bataaye huwe waqt me paayi gayi to Qurbaani waajib hogi...

🔪Is masle ko bayaan karte huwe Hazrat Mufti Amjad Ali Aaazmi Alayhirrehman Bahaare shariyat me farmate hai Ki...

🔪Ye zaruri nahi k 10 wi ko hi Qurbaani kar daale upar bataye huwe waqt me jab chaahe kare...

📚(AALAMGIIRI)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)

✅QURBAANI kise kehte hai ?

✅QURBAANI ka jaanwar kaysa ho ?

🔪Qurbaani Ek maal se honewaali ibaadat hai jo Maaldar par waajib hai... 

🔪Khaas jaanwar ko khaas din me ALLAH k liye sawaab ki niyyat se ZABAH karna
isko Qurbaani kehte hai..

🔪Gaay...
Bhens...
Uunt...
Bakra...
( Cow..Buffalo..Camel ) in jaanwaron me 7 Qurbaani ho sakti hai...

🔪Qurbaani k waqt me Qurbaani karna hi laazim hai Koi dusri chiiz is k badle me nahi ho sakti...

🔪Jaise koi Qurbaani ka bakra ya utna paisa khairaat karde ye naa kaafi hai...( waajib ada na hoga )

🔪Qurbaani ka jaanwar be aib 
( without any defect ) hona zaruri hai Agar thoda aib hai jaise kaan me chiraa ya suraakh to Qurbaani makrooh hogi or zyada aib ho to Qurbaani nahi hogi.....

📚(BAHARE SHARIYAT)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)

PART NO:- 16*

🔖QURBAANI k aibdaar (defected ) 
jaanwaron ki tafsiil
Jinki Qurbaani nahi hoti..! 

🔪Aisa paagal jaanwar jo charta na ho.

🔪Itna kamzor k haddiyon me maghaz na raha..
khada bhi na reh pata ho.

🔪Andha ya aysa kaana jis ka kaanaapan zaahir ho.....

🔪Aysa biimaar jo bimaari ki wajah se chaara na khaaye.

🔪Aysa langda jo khud apne pairon se chal kar qurbaan gaah tak na ja sake.

🔪Jis k paidaaishi kaan na hon ya aik kaan na ho....

🔪Wah-shi yani jangli jaanwar jaise nil gaaye.

🔪Jangli bakra ya khunsa jaanwar matlab Aysa k jisme Nar or Maada dono ki Alaamatein hon.

🔪Ya jal-laa-la yani jo sirf napaak khaata ho.

🔪Ya jiska Ek pair kaat liya gaya ho.

🔪Dum ya chakki 1/3 ( kul mese tisra hissa ) se zyada kate huwe ho
Naak kati hui ho Daant na ho..
gir gaye hon.

🔪Than kate huwe hon ya suukh gaye hon.
In sab ki Qurbaani NA JAAIZ hai...

🔪Agar bakri me aik than sookh gaya ho or gaay bhens me dono than sookh gaye ho to najaaiz hai.

📚(BAHAARE SHARIYAT)
📔 (DURRE MUKHTAAR)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)

SING KA MASLA-PET ME BACHCHA

🔪Jis jaanwar k paidaaishi sing na ho uski Qurbaani jaaiz hai....
Aur sing the magar toot gaye
agar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi or sirf uupar se toote hai
jad salaamat hai to ho jayegi.

🔪Qurbaani karte waqt jaanwar uchlaa kudaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi..... 

🔪Aur uchal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi....

🔪Qurbaani ki Aur us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai...

🔪Aur agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai.
Qurbaani ho gayi.

🔖DUSRE SE QURBANI karwane mein Kin Cheezo Ka Khayal Rakhe???

🔪Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho Aur agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de... lekin khud bhi haazir rahe Ye behtar hai...

🔪Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko Bismillah Kehna WAAJIB hai....

🔪Agar dono mese Ek ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padhli hogi muje padhne ki zarurat nahi In dono surton me jaanwar HALAAL na huwa..

🔖QURBAANI zabah karne me konsi 
Aur kitni ragein kaatni hai...?

🔪Allama Mufti Amjad Ali Alayhirrahmaan Farmate hai... 

🔪Jo ragein zabah me kaati jaati hain wo 4 hai..

✅HULQUM...
Ye wo hai jisme saans aati jaati hai...

✅MURI...
Isse khaana paani utarta hai...
In dono k aas paas do ragein aur hai Jo khoon ki hai...

🔪In ragon ko WA DA JAIN kehte hai zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai...
Matlab agar 3 bhi kat gayi jaanwar halaal ho jayega Aur...

🔪Agar chaaron me se har aik rag zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega...or..agar..

🔪Aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi...

🔖QURBAANI ka Chamda/Jhol/
Rassi..
In chizon ka kya kare...?

🔪Chamda/Jhol/Rassi...
In sab ko sadqa kar dein...
Chamde ko apne kaam me bhi le sakta hai....

🔪Jaise Dhol...
Jaa-Namaaz...
Bichona bana sakta hai...
Lekin bech kar uski qiimat apne kaam me lana jaaiz nahi...

🔪Agar bech diya to us qiimat ko sadqa kar dena waajib hai.

🔪Chamda madarse me dena jaaiz hai Aur agar madarse me dene ki niyyat se chamda bech kar qiimat madarse me de dein to ye bhi jaaiz hai....

🔪Qurbaani ka gosht ya chamda qasaab ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori me nahi de sakte or ujrat ( badle ) me bhi nahi.

📚 (AALAMGIIRI)
📚(BAHARE SHARIYAT)
📚(DURRE MUKHTAAR)
📒(RADDUL MOHTAAR)
📔(QANOONE SHARIYAT)
📓(ABLAQ GHODE SUWAAR)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)

JAANWAR ZABAH karne ka Tariqa....

🔪Sunnat ye chali aa rahi hai k zabah karne waala or jaanwar dono ka rukh qible ki taraf hon... 
India me qibla maghrib ( west ) me hai..

🔪Isliye jaanwar ka sar junub ( south ) ki taraf hona chahiye ta k jaanwar ulte pehlu letaa ho or uski peeth 0mashriq ( east ) ki taraf ho ta k uska munh qible ki taraf ho jaye...

🔪Zabah karne waala apna siidha pair jaanwar ki gardan k sidhe hisse yani gardan k qarib pehlu par rakkhe or dua padhe fir Bismillah
AllahuAkbar padh kar zabah kare....

🔪Khud apna ya jaanwar ka munh qible ki taraf na kiya to makruh hai.....

🔖QURBAANI k janwar par Zulm na kare....

🔪Zabah karne k baad jab tak jaanwar Thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza (Body parts ) alag karne ki ujlat Jaldi Na karein.

🔪Aaqa Sallallahu alayhi waalihi wasallam ne jahannam me aik awrat ko is haal me dekha k...

🔪Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai...use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya me us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi...

🔪Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq me aam hai.

🔪Ek baar hamare Aaqa Sallallahualyhiwasallam Ek aadmi k paas se guzre..

🔪Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi Aaqa ne irsaad farmaya...

🔪Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?
kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?
Ise litaane se pehle apni chhuri tez kyun na kar li..?

🔪Siyeduna Faaruqe Azam Radiyallahu Taala anh ne aik shakhs ko dekha jo bakri ko zabah karne k liye use taang se pakad kar ghasiit raha hai..

🔪Aapne usse kaha Tere liye kharaabi ho Ise mot ki taraf achche andaaz me le ja.

🔪Kisine khwaab me Imam Ghezaali Alayhirreahman ko dekh kar pucha k...

🔪Allah ne aap k saath kya maamla farmaya..??
Jawab diya... 
Allah ne muje bakhsh diya or wajah batate huwe farmaya...

Ek baar aik makkhi siyahi ( ink ) piine k liye mere qalam ( pen ) par beth gayi..
Me likhne se ruk gaya yahan tak k wo siyahi pii kar ud gayi...

🔖SUBHANALLAH...

Ek makkhi par taras khaane ki wajah se najaat ho gayi...

⛔NOTE....

🔪To jaanwaron par tashaddud..
sakhti se bachna chahiye...
ye amal hamari aakhirat ki barbaadi ka sabab ban sakta hai.

📒(AZ ZAWAAJIR)
📔(SUNANUL KUBRA-BAYHAQI)
📓(LATAAIFUL MINAN WAL AKHLAAQ)
📚(LISH SHERAANI)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)
📚(FATAWA RAZWIYA)

QURBAANI hissewali ka gosht kaise taqsim karna hai...?

🔪Agar hissewaali Qurbaani ki to zururi hai k gosht wazan kar k 7 hisse alag alag kiye jaayein...
Andaaze se taqsim karna jaaiz nahi or agar andaaze se hisse kiye to gunahgaar honge......

🔪Ba-khushi Ek dusre ko kam zyaada maaf kar dena bhi kaafi nahi Agar sab Ek hi ghar me rehte hain k mil Baant kar hi khaayenge Sab hissedaar apna apna hissa lena nahi chaahte to aysi surat mein wazan karne ki zarurat nai......

📚(BAHARE SHARIYAT)

🔖QURBAANI hissewali k hisse alag 
karne k 2 HIILE K Tariqe......

🔪PEHLA tariqa zabah k baad us janwar ( Ount..Gaay..Bhens ) ka saara Gosht aik ayse baaligh musalman ko hiba kar dein ( maalik bana dein ) jo unki Qurbaani me sharik ( shamil ) na ho Aur
Ab wo andaaze se sab me taqsiim kar sakta hai......

🔖DUSRA tariqa Isse bhi aasaan hai gosht taqsiim se pehle usme dusri jins jaise KALEJI...MAGHAZ...milaa dein to ab andaaze se taqsim kar sakte hain.......

🔪Agar kayin chiizen daali hai to har aik me se sab ko sab mese tukda tukda dena zaruri nahi......

🔪Gosht k saath sirf aik chiiz bhi dena kaafi hai...
jaise...TILLI...KALEJI...SIRRI...PAAYE..daale hai to gosht k sath kisi ko tilli..kisi ko kaleji...kisi ko paaye...kisi ko sirri to bhi sahi taqsiim ho jaayegi.

📚(DURRE MUKHTAAR)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

🔖QUBAANI k janwar
Ya koi bhi HALAAL jaanwar ki wo chizein K..
Kuch HARAAM
Kuch MAMNU...
Kuch MAKRUH hain Unki tafsiil...

🔸Ragon ka khoon..
🔸Pitta..
🔸Phukna..Masaana..
🔸Maadah ya Nar hone ki nishani..
🔸Baide...( Kapure )...
🔸Ghudood...
🔸Haraam maghaz..
🔸Gardan k 2 putthe jo shaano tak khiche hote hai..
🔸Jigar..Kaleji..ka khoon..
🔸Tilli ka khoon..
🔸Gosht ka khoon k zabah hone k bad nikalta hai.
🔸Dil ka khoon..
🔸Pit...wo pila paani jo pitte me hota hai. 
🔸Naak ki ratubat...riinth..
🔸Paakhaane ka maqaam..
🔸Ojhdi..hojdi..
🔸Aantein..
🔸Nutfaa.....Mani..
🔸Wo nutfa jo khoon ho gaya..
🔸Wo nutfaa jo gosht ka lothda ho gaya.
🔸Wo nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.

📚(FATAWA RAZWIYA)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki Wo chiizein jo nahi khaani chahiye
Aaj kal be khabri mein pakaayi 
or khaayi jaati hai Un chizon ki tafsiil.....

KHOON.....

🔪Zabah k waqt jo khoon nikalta hai usko Dame Masfuh Kehte hai..
Ye Naapaak hota hai iska khaana haraam hai.....

🔪Zabah k baad jo khoon gosht me reh jaata hai Jaise gardan k kate huwe hisse par.....
Dil k Andar...
Kaleji or tilli me or gosht k andar ki chhoti chhoti ragon me...

🔪Ye sab naapaak to nahi magar is Khoon ka bhi khaanaa mamnu hai...
Isliye Pakaane se pehle khoob achchi tarah safaai kar lein.....

🔪Pakne k bad wo ragein kaali dori ki tarah ho jaati hain Khaas kar Bheje..
Sirri..
Paaye or Murghi ki Raan or Par k Gosht me baarik kaali Doriyan dekhi jaati hai Khaate waqt inko nikaal dein... 

🔪Murghi ka dil bhi poora ( Bina kaate ) na pakaayein...
Lambaai me 4 chiire kar k iska khoon saaf kar lein.

📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

HARAAM MAGHAZ

🔪Ye safed dore ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan k andar se guzarta huwa poori riidh ki haddi me aakhir tak jaata hai...

🔪Aksar maahir cuting karne wale ise nikaal lete hai..
Magar ye bhi dekha gaya k be ehtiyati ki wajah se thoda bohot reh jaata hai or pak bhi jaata hai....

🔪Chaanp...
Gardan or Kamar ka gosht dhote waqt haraam maghaz talaash kar k nikaal diya karein....

🔪Ye chiiz murghi or dusre parindon ki gardan or riidh ki haddi me bhi hoti hai...
Pakaane se pehle isko nikaalna muskil hai isliye khaate waqt nikaal dena chahiye.....

📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

PUTTHE

🔪Gardan ki mazbooti k liye uski dono taraf piile rang k 2 lambe lambe putthe kandhon tak khinche huwe hote hai Inka khaana mamnu hai.

🔪Gaay or Bakri k Aasaani se nazar aate hai....
Magar murghi or dusre parindon k nazar nahi aate Khaate waqt dhoond kar ya kisi jaanne wale se puch kar nlkaal dein.

📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

KAPURAA...

🔪Kapure ko khusye Fote Ya baidah bhi kehte hai Inka khaana makroohe Tehrimi hai Ye Bel...Bakre...me saaf Nazar aate hai...

🔪Murghe ( nar ) ka pet khol kar Aantein Hatayein to piith k andar Ande ki Tarah 2 biij nazar aate hai..
Ye kapure hai Inko nikaal dein.

🔪Afsos musalmano ki kuch hotelon Me dil kaleji k alawa bakre bel k kapure bhoon kar pesh kiye jaate hain..... 
AFSOS.

📚 (ABLAQ GHODE SUWAAR)

OJHDI...Hojdi.

🔪Ojhdi k andar Ghalaazat ( naapaaki ) bhari hoti hai
Iska khaana makroohe tehrimi hai...
Magar bohot se log shokh se khaate hai.

📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)

PART END...

Comments

Popular posts from this blog

🌷GULZAR-E-SHOHDA🌷 ALBUM NO-01....

💟SEERAT E PAAK KHATOON E JANNAT💟

SEERAT-E- SAIYEDNA SHER-E-KHUDA ALI-E-MURTUZA.