Posts

Showing posts from May, 2017

🌷 TAMHEED E IMAAN 🌷

TAMHEED E IMAAN IN ROMAN.... Part    1 HUZOOR Sayyad-e-Aalam Mehboob-e-Rabbul Aalameen Sallallahu Alaihi wa aalihi wasallam ke baare mein kya Imaan rakhna chaahiye? Qur’an wa Hadees ki Raushni mein Tamheed-e-Imaan Ba-Aayaat-e-Qur’an. Tasneef-e-Lateef Aala Hazrat Imam-e-Ahle Sunnat Maulana Shah Ahmad Raza Faazil-e-Bareilvi Rehmatulla ta'ala alaih. KHULAASA: Musalmaanon ! Yeh Mubaarak fatwa Tumhaare RAB Jalla wa Alaa Tumhaare Pyare Nabi MUHAMMAD Mustafa Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ki Izzat wa Azmat ki himaayat aur UN ke Gustaakhon par Hukme shar’ee ke bayaan wa hidaayat mein likha gaya. In gustaakhon ki gustaakhiyan jin par is mukhtasar fatwe me Radd hai, Teen qism hai: (1) Najaasat-e-Shaitaani (Ba-qaul gustaakhaan) ke Iblees ka Ilm MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ke Ilm se zyada wasee hai, Wus’ate Ilm shaitaan ke liye Nass (Qur’an ki Daleel) se saabit aur MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Al...