YOUM-E-WISAL KHALEEFA-E-AWWAL AMEER'UL'MOMINEEN SAIYEDNA ABU'BAKR SIDDIQ رضی الله عنہ.
🔮Alqab : 🌹Siddeeqe akbar, Gaare yaare nabi, Afzalun naas ba’adal Ambiya, Saani isnain, Khalifatul-RasoolAllah, Ateeq. 🎋Aap ki wiladat 573 A.D. me Makka me hui. 🌹Aap ke waalid ka naam Hazrat Usman Abu Quhafa ibn Amir aur waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai. 🎋Aap Quraish ke Banu Taym kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka asl naam Abdullah hai. 🔮Hazrat Abu Bakr Siddeeq رضی الله عنہ Qabl Az Islam bahut bade Tajir the. 🌹Aap ek Martaba Mulke Sham gaye to waha ek Khuwab dekha ke Chaand aur Suraj Aasman se neeche utar aaye hai, aur dono Hazrat Abu Bakr ki god me Dakhil hogaye hai… Hazrat Abu Bakrرضی الله عنہ ne dono ko pakad kar seene se laga liya,aur apni chadar Mubarak upar daldi… 🎋Sub’h ko aap bedar huwe to us Ajeeb-o Gareeb Khuwab ki Ta’abeer puchh ne ek Rahib ke pas gaye,us Rahib ne sara Khuwab sunkar puchha! Aap ka naam kya hai kaha ke rahne wale hain aur kaunse Qabeela ke hain? 🌹Farmaya : Mera Naam Abu Bakr hai,Makkah ka Rahne wa...